(Kartik goes in his room and call Naira)
Kartik- Hello Naira...
Naira- Haan Kartik bolo..
Kartik- Waha ka haal kaisa hai...?
naira- jaisa tum soch rahe ho waisa hi haal hai..., or waha?
kartik- yaha ka haal bhi behaal hai...
naira- aab Kya kare kartik...
kartik- mujhe toh kuch samajh nahi raha filhal ke liye toh bas tumse milna hai... milogi??
naira- hmm lekin kaise?
kartik- tumhare ghar ke pass wale park mai milte hai....
naira- hm okay...
(then jab naira or kartik ghar se nikal rahe hote hai tab naitik or Manish dono ko dekh lete hai)
Naitik/Manish- Kartik/Naira Itni raat ko kaha ja raha/rahi hai...
(then dono kartik naira ke picha karte hai then kartik naira milte hai)
Naira- Kartik!!!
Kartik- Naira!!!
(dono bhaag kar gale milte hai or dono baape dekh lete hai😲)
Naira- kartik yeh sab Kya ho raha hai...
kartik- kaha humne socha tha ki gayu or vikram ki shadi ke baad hum sabko bata denge humare bare mai lekin yeh toh ulta hi hota ja raha hai...
(dono hug break karte hai)
naira- mujhe toh gayu di ki bohot tension ho rahi unki haalat bohot kharab hai kartik aab Kya hoga...
kartik- pata nahi sabse pehele toh Hume jiski vajah se vikram ka accident hua hai us aadmi ko dhundhna hoga phir shayad papa or naitik uncle ke bich sab thik ho jaye...
naira- sirf papa or Manish uncle hi nahi kartik dono families ke bich misunderstanding ne janam le liya hai...
kartik- lekin jab tak hum saath hai toh hum kuch galat hone nahi denge... tum ho na mere saath....
naira- tum na mendhak ke mendhak hi rahoge... mai toh humesha se tumhare saath hi hu or aage bhi humesha tumhara saath dungi I promise...
kartik- mai bhi I also promise...
(dono hug karte hai)
kartik- aacha aab isi baat mai eek kiss...
naira- tumhe iss maahol mai bhi chummi chahiye...
kartik- Kya karu aadat se majboor hu na...😉
(dono hasne lagte hai or chummi karne wale hote hai ki...)
Manish/Naitik- Kartik!!!😡/Naira!!!😡
(then kaira aapne papao ko dekhkar shock ho jate hai)
KaiRa- PaPa!!!
Naitik- yaha Kya ho raha hai yeh sab naira...
manish- kartik chalo mere saath...
kartik- papa uncle aap please galat mat samajhiye hum aapko sab batate hai...
naitik- mujhe kuch nahi sunna chalo naira...
naira- nahi papa aapko baat Sunni hi padegi...
kartik- Naira... naira aabhi Hume ghar jakar iss bare mai baat karni chahiye...
naira- okay.... bye..
kartik- bye...
(dono hug karte hai)
Manish- kartik maine kaha chalo ghar...
(dono hug break karte hai or aapne baapo ke saath ghar chale jate hai or ghar jakar hota hai tamasha)
dadi- Yeh Kya hai Manish... kittu Itni raat ko kaha gaya tha..
(other side)
Naitik- Yeh toh aap naira se hi puchiye akshara...
akshara- Naira batao kaha gai thi tum...
naira- kartik se Milne.....
(other side)
swarna- Kya naira se Milne... lekin kiu...
kartik- kiuki mai...
(other side)
chotidadi- kiuki tum Kya naira...
dadu- haan batao naira beta kiu gai thi Itni raat ko...
(other side)
surekha- Itni raat ko Milne gaye the or woh bhi eek ladki se tumhe ho Kya gaya hai kartik kiu gaye the tum batao...
(other side)
Rashmi- do you know what naira aas pass ke padosiyo ne aagar dekh liya hota toh kitni baate banate woh log... chup kiu khadi ho kuch toh bolo na naira...
(other side)
keerti- kartik tum batate ho ya mai naira se puchu phone karke...
kartik- nahi aap use pareshan mat kijiye mai...
(other side)
badidadi- tum... Kya naira... bol beta...
Naitik- bolo naira... aagar mai bolunga toh tumhe lagega mai badha chadhakar bol raha hu isse aacha toh tum hi bolo...
(other side)
manish- tum hi keh rahe the na ki tum ghar par aakar bataoge batao sabko everyone waiting for you answer kartik batao...
dadi- kittu batao na Kya baat hai Itni raat ko eek ladki se Milne kiu gaye the tum... yeh London nahi hai beta waha yeh sab chalta hai lekin yaha nahi yaha log galat matlab nikal lete hai in sabka.. batao na kittu...
(Sab kehte hai batao batao or irritate hokar kaira keh hi dete hai ki...)
KaiRa (Shout)- KIUKI MAI OR KARTIK/NAIRA HUM EEK DUSRE SE PYAR KARTE HAI!!!!!!!
All- Kya!!!
Naira (teary eyes)- haan bohot pyar karte hai eek dusre se or sab se nahi jab hum Switzerland gaye the tab se...
(other side)
kartik (teary eyes)- Switzerland ke pahele hi din jab hum raat ko Bollywood club mai gaye the or us din naira ke peeche gunde padh gaye the toh maine bachaya or weak moment mai maine use keh diya tha par woh nahi maani nahi or uske dusre din jab maine sabse kaha tha ki mai phirse London jana chahta hu woh maine gusse mai keh diya tha hurt hokar lekin phir naira ke birthday ke din usne bhi mujhe kaha ki woh mujhse pyar karti hai...
(other side)
Akshara- hey bhagwan itna sab ho gaya or tumne kuch kaha bhi nahi...
naira- mumma humne socha tha ki jab humare bado ki shadi ho jayegi tab hum sabko bata denge par sab kuch kharab ho gaya...
(other side)
Manish- par tum or naira aab eek nahi ho sakte tumhare liye yahi sahi hoga ki tum us ladki se dur raho...
kartik (shocked)- Yeh aap Kya keh hai papa aisa nahi ho sakta mai naira se bohot pyar karta hu mai uske bina reh sakta...
(other side)
naitik- Naira tum kartik ko bhul jao... tum dono aab kabhi eek nahi ho sakte...
naira- nahi papa... mai kartik ke bina nahi reh sakti... mai usse bohot pyar karti hu papa.. aap please aisa mat boliye...
(other side)
manish- maine eek baar keh diya toh keh diya bas tum aab naira se nahi Miloge yeh mera faisla hai aab no more discussions!!
(Other side)
naitik- tum aab kartik se nahi mil sakti jisse mai aab nafrat karta hu uske bete ke saath tum pyar nahi kar sakti this is my last decision...
KaiRa- Mai or Kartik/Naira hum eek dusre se pyar karte the hai or humesha karte rahenge or eek dusre se hi shadi karenge or yeh mera faisla hai!!!
YOU ARE READING
Pehele Pyar Ka Pehela Nasha💘
RomanceNaira was a cute and kind hearted girl, her life was going smoothly by dancing to her passion but then a prince charming came into her life, I mean frog Prince😂 so let's see what's happen...