Naira- Aacha thik hai thik hai jao mai ready hokar aati hu...
Kartik- (pulling her cheeks) That's like a good girl!!!
(then kartik is left)
Naira- Urgghh iss mendhak ke bacche ko mai chodungi nahi😤
(then kuch der baad naira niche aati hai)
kartik- oh aa gai tum aab chalo ...
naira- haan chalo...😞
(then woh dono jogging karna shuru karte hai...)
(In Singhaniya Sadan)
(Gayu Kartik ko phone karti hai)
Gayu- hello kartik!!!
kartik- hi kaisi ho tum...
gayu- mai thik hu tum or naira kaise ho..
kartik- haan hum dono bhi thik hi hai...
Naira- kiska phone hai...
kartik- tumhari behen gayu ka...
naira- gayu di ka lao mujhe do...
naira- hi gayu di kaise ho aap aapko pata hai is insaan ne mujhe gulam banake rakha hua hai matlab mai aapni marji ka kuch kar bhi nahi sakti kabhi yeh karo kabhi woh karo dawai khao jogging karo subhay jaldi utho etc etc... gayu di mujhe aapki or puri family ki bohot yaad aa rahi hai arre aap kuch bol kiu nahi rahi biliye na...
gayu- arre naira tum toh chup ho jao phir mai bolungi na...
(then gayu ko samarth ka phone aata hai)
gayu- kartik samarth ka phone aa raha hai mai unhe bhi add karlu Kya woh bhi tumse baat karna chah rahe honge so...
kartik- haan haan karlo add...
(then gayu samarth ko bhi uss call mai add karti hai)
kartik- hi samarth chachu kaise ho aap..
samarth- meri chodo... tum batao or naira kaisi hai?
kartik- haan chachu hum dono bilkul thik hai...
samarth- kartik dekh itna kuch ho gaya naira ki yaddash bhi chali gai use bhi problem ho rahi hogi tere saath adjust karne mai isiliye maine kaha tha ki tum dono shadi karlo lekin nahi...
gayu- samarth thik keh rahe hai kartik tum karlo naira se shadi...
naira- no never ever mujhe iss mendhak se shadi nahi karni because I don't like or love him or iss mendhak se shadi karne se aacha toh mai jaher khake mar jau...
Kartik/ gayu/samarth- Naira!!!🤦♂️🤦♀️🤦♂️
kartik- samarth chachu gayu jab tak sab thik nahi ho jata... dono family ki misunderstanding clear nahi ho jati... papa or naitik uncle ki bich mai phirse dosti nahi ho jati... sab humare shadi ke liye nahi maan jate... tab tak mai naira se shadi nahi karunga mai chahta hu ki humari shadi sabki rajamamdi se ho sab khushi khushi Hume aashirwaad de sake...
samarth/gayu- thik hai jaisi tumhari marji!!!
(then gayu or samarth ke piche se koi aawaj marta hai)
Borth- Samarth/Gayu!!!
(then dono piche mudte hai or dekhte hai ki unke piche Manish Or Naitik hai!!! then dono jaldi se phone cut karte hai... then kuch der baad dono parivaar aapne aapne ghar ke hall mai aate hai)
(In Goenka Villa)
Manish- Sanarth jara bataoge ki yeh sab Kya ho raha hai...
(other side)
Gayu- mamaji woh...
Naitik- kabse woh woh kiye is rahi ho uske baad bhi toh kuch bolo...
(other side)
dadi- yeh sab Kya ho raha hai Manish...
manish- woh toh yeh hi batayega maa ki Kya ho raha hai batao samarth kisse phone par baat kar rahe the?
(other side)
naitik- haan jaldi batao gayu kisse baat kar rahi thi tum...
samarth/gayu- KARTIK NAIRA SE!!!
All (expect naitik and manish- KYA!!!
(other side)
keerti- kartik... aapne Hume bataya kiu nahi ke kartik se aap baat karte hai aap uske touch mai hai...
(other side)
gayu- woh un dono ne hi mana kiya tha kehne ko....
(other side)
Naksh- Kya...
samarth- haan woh dono chahte the ki pehele dono parivaaro ke bich sab kuch thik ho jaye phir hi woh dono wapas aayenge...
(other side)
Akshara- woh dono gaye kaha hai... hai kaha par dono 1 saal se...
gayu- woh dono London mai hai kartik ke do friends ke Neil nikhil or un dono ki eek behen bhi hai riddhima woh 5 eek hi flat mai rehete hai naira riddhima ke saath or kartik Neil nikhil ke saath...
(other side)
Swarna- kiu woh dono toh shafi karne ke liye hi bhage the na toh unhone shadi nahi ki aab tak...
samarth- nahi mai or gayu toh dono ko insist karte rahe par woh chahte hai ki jab sab log maan jaye khushi khushi unki shadi ke liye tab hi woh yaha aayenge or shadi karenge...
(other gayu)
badidadi- gayu... naira or Kartik thik toh hai na...
(other side)
dadi- woh dono bacche thik toh hai na...
samarth/gayu- Kartik toh thik hai par naira...
Akshara/Swarna- Kya hua naira ko?..
samarth/gayu- woh kartik naira bike se collage ja rahe the or accident ho gaya kartik ko toh kuch nahi hua lekin naira ko sar par chot lag gai jiski wajah se uski yaddash chali gai...
All- Kya!!!
samarth/gayu-haan...
(other side)
samarth- kartik ne naira ko sab batakar samjha diya hai...
(other side)
gayu- naira ko samjhana mushkil ho raha hai par kartik hai na woh use sambhal lega...
naitik- khaak sambhal lega use uski vajah se naira ki yaddash chali gai kaisi hogi woh... naman...
naman- ji bhaiya...
(other side)
manish- akhil sabki London ki ticket book karao...
(other side)
naitik- hum sab London jayenge...
naman/akhil- ji bhai sahab/ bhaiya!!!
(In London)
(Naira In Naira's room)
Kartik- oh god oh god oh god kahi kisine sun na liya ho humara conversation warna toh Mahabharat ho jayegi...
(then kartik ko samarth or gayu ka call aata hai)
Gayu- hello kartik!! kartik bohot badi gadbad ho gai hai...
kartik- k...Kya..Kya hua??
samarth- kartik... naira sabko pata chal gaya hai ki hum dono tum dono se baat karte the manish bhai sahab or naitik ji bohot gusse mai hai or hum sab London aa rahe hai...
kartik- Kyaaa!!!
naira- oh no aab Kya hoga??
kartik- lo ho gaya sab gadbad... aab toh gaye hum!!! mahabharat hone se aab koi nahi rok sakta... hey Krishna ji please help karna please!!!
![](https://img.wattpad.com/cover/361667544-288-k934039.jpg)
YOU ARE READING
Pehele Pyar Ka Pehela Nasha💘
RomanceNaira was a cute and kind hearted girl, her life was going smoothly by dancing to her passion but then a prince charming came into her life, I mean frog Prince😂 so let's see what's happen...