CHAPTER 01||باب ۱

1K 21 3
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

.
.

تمھاری خوشنما آنکھوں پہ وار دوں خود کو
تمھاری دل نشیں باتوں کو میری عمر لگے

Chapter:01 ملاقات

Charcoal ki khali sarak is waqt khoon sy ta'rr thi.Aik 27 ya 28 baras ka nojawan is waqt sarak pe para karah raha tha.Us ke aa'ss pass khoon tha,surkh siyal usky jism se nikalta huwa sarak ko bhigoo rha tha.Dard hadd se ziada tha.Us nojawan ke paitt or bazoo pe goli lagi thi,ye usky dushmano ka kaam tha woh janta tha.Ussy dard ho rha tha boht dard horha tha magar wo bardasht kar rha tha.

Najany kue usky karahny mein aik masnui-pan sa mehsus hota tha jesy wo ye sub jan bojh ke kar rha tha.Us ka phone usky pants ke jaib mein tha,woh chahta to police ya phir apny kisi ghar waly ya dost ko call kar ke bula skta tha, hospital bhi kareeb hi tha wo agar chahta to boht mushkil se hi sahi lekin kisi tarhan wahan jaa sakta tha lekin shayad wo is dard se lutf andooz horha tha. Waqfay waqfay se karahy ke bad wo chup hojata tha bilkul sak'at ,Shayad wo is khail sy mehzuz horha tha.

Taqreeban 5 minute bad ussay durr se aik gari ki headlights apni ankhoon mein chubhti mehsus hui thi usnay nagawari se us gari ko kareeb ata dekha.Chan'd lambho bad hi wo gari ussay apni kareeb ati nazar ayi. Gari ke sheshy shayad khuly thy kue ke wahan se kisi ke cheekh cheekh ke bolny ki madham si awaz ussay yahan tk sunai derahi thi.

Chilany wali shayad larki thi jo beghair sarak pe dhiyan diye apny mobile pe kisi se call pe bat krty huwe buri tarhan cheekh rahi thi.Usny pelay aur haray rang ka jora pehan rakha tha.Wo leki ab bhi cheekh rhi thi.

"Jab mene apsy kaha bhi tha wo dress natasha pehn chuki he or ab mein kisi surat us dress ko hath nahi lagaugi to ap se kis se poch ke khareeda wo dress?" Muqabil shayad apny haq mein kuch bolrha tha ke gari ki headlights ki roshni mein uski nazar samne sarak pe paray wajood pe pari thi.Usny full speed se break lgai ke tires buri tarhan char-charaye thy.Ussay lga koi charsi ya faqeer wahan soo gya hoga.

Ghusse se laal wo gari se bahir nikli lekin samne wali ki halat dekh ke be-ikhtiyar dono hath liye aur apni cheekh ka gala ghontt dia.Sarak pe paray nojawan ne ba-mushkil apni ankhein khool ke apny samne kharay wajood ko dekhna chaha lekin basaratt dhundli hoti jarhi thi.Wo lrki ab bhi phati phati ankhon se usko dekh rhi thi.Phone usky kampty hathoon se chutt chuka tha,wahan se ab bhi kisi ky hello hello ki awaz arhi thi.

"halay kia tum sunrhi ho?"phone se ati awaz ne uski tawaja apni janib khenchi thi.Usny maray maray hathon se phone uthaya aur call disconnect krdi.Usny roshni mein samne para wajood to dekha tha lekin usky jism se nikly khoon tarr road ko nahi,warna wo gari se bahir any ki himmat na krti.Ab wo tez tez qadam uthati apni gari ki janib chal rhi thi ke us zakhmi ki awaz usky pair ki zanjeer ban gye thy."Meri madad ka..ro"

Bakht by Mehrulnisa ShahmeerWhere stories live. Discover now