کِسے خبر ميری روح کے درِیچوں میں
غمِ حیات کے کتنے چراغ جلتے ہیںChapter 04:بھروسہ
Haroon pichly 10 minute se Halay se apni izzat-afzai krwa rha tha.
"Allah Allah haroon tum ye kese krskty ho?"Ye Turkish dramo ka asar tha ke Halay ab har bat pe Allah Allah kehny lgi thi."Tumne meri izzat do-korii ki krdi.Tumne agar bill nhi dia tha to tum mujhy bata dety mein pay krdeti lekin kam-azz kam mujhy yun zaleel to na krwaty.Wo doctor kesy dekhrha tha.Mujhy to lgrha tha ke abhi 2 rupay ka sikka nikal kar mery hath pe khairaat rakh dega"
"Bas bhi krdo Halay ab aesa bhi koi ghazab nhi hua he.Wo admi mujhy zeher kga tha to kue deta uska bill or wesy bhi us doctor ko dhamkaya to tha mene lekin tumhae pta nhi kesy khabar ho gyi or hadd he aik third person ki wajah se tum mujhse lar rahi ho?"Wo dukh se bola tha.
"Bat third person ki nhi batt commitment ki he.Jab tumne commitment krli to tori kue?Bat meri izzat ki he,bat hum dono ke beech qaim bharosay ki he.Haroon tumne mujhse jhut bola he or ab mein tum par bharosa nhi karugi.Mene mushkil mein tumhae call ki matlab tumhae kuch samjha tab hi bulaya na?Or tumne kia kiya meray sath?Meri be-izzati krwadi?"Wo ghussay mein nhi thi or na hi tanzz kar rhi thi.Wo bas haroon ko bata rhi thi.
"Halay tum aik anjan shakhs ki wajh se mujhse lar rahi ho?Mein tumhara best friend hun,hum bachpn sy sath hein halay or wo shakhs jis se mily huwe abhi tumhae aik din bhi nhi huwa uski wajh se tum mujh par bharosa krna chor rahi ho.Tum us shakhs pe mujh ko tarjeeh derhi ho.How could you?"Wo ghusse or ghum ki kaifiyat mein bolrha tha.
[priority]"Nhi haroon mein tum par bharosa krna tumhari wajh se chor rahi hun.Aik din ya aik hafta ehmiyt nhi rakha,commitment ehmiyt rakhti he or ab us admi ko beech mein mat lana or is baray mein sirf tab hi bat krna jab tumhae mera point of view samjh ajye"Wo سپاٹ lehje mein boli.
"Halay lekin tum-"
"Haroon mujhy ghar chor do"Halay uski bat kat'ty huwe boli.Ye aik ishara tha ke wo ab is baray mein bat nhi krna chahti.
Haroon labh bhenjh kar khamosh ho chuka tha.Wo janya tha ke ab agar zameen idhar se udhar hi kue na hojye,Halay is baray mein bat nhi kregi.Umer hayat ke lye Haroon Shahid ki na-pasandeedgi ka graph thora or upper ja chuka tha.
Baki rasta khamoshi se katta tha.Ghar ponchty hi Halay ussay dekhy beghair or andar any ka kahy beghair chali gyi.Aesa pehli bar huwa tha.Wo dono jitnay bhi naraz hoon,halay ussay andar any ka zarur kehti thi.
Ab haroon ko waqai fikar horhi thi kue ky Halay kabhi bhi bat ka batangar nhi banati thi.Wo usi bat pe khafa hoti thi jo khafa hony ke qabil bhi ho.Ab Haroon ko apni ghlti ka ehsas horha tha ke wo apni shiddat-pasandi ki wajh se Halay ko naraz kar betha tha.
YOU ARE READING
Bakht by Mehrulnisa Shahmeer
Romance"Kia ap mujhy hospital le jyeingi?Mein ab jeena chahta hun"Ye alfaaz kehty huwe wo khud heeran tha.Thori dair pehly tk wo yahan pe sisak sisak ke marny ko tayar tha aur ab? Wo zinda rehna chahta tha lekin kue. Is lrki ko dekhti hi usny zinda rehne k...