یہ لفظوں کی شرارت ہے اسے سمجھ کر لکھنا تم
محبت لفظ ہے لیکن یہ اکٽر ہو بھی جایا کرتی ہے
'
Yéh lafzo ki shárarat he issay samajh kár likhńa tum
Muhábaat lafź hai lekin yèh aksar ho bhi jaya kárti hai.
'.Chapter 05: نیک فرشتہ
Madhat ki mehandi ka funtion usky ghar ke lawn mein hi arrange kia gaya tha.Ye wedding theme tha to sub ne usi hisaab se kapray pehan rakhy thy.
Halay ne green simple suit ke sath pink madari duppata pehan rakha tha jo ke isny apny jaheez ke kapro se nikala tha.Baal curl kar ke peechy khuly chor rakhy thy or uska mood sakht kharab tha usky bar-aqs Mehar ne pink suit ke sath green duppata pehan rakha tha or behad achy mood mein thi.
Hassan or Mehar kisi family ke sath khush-gappiyun mein masruf thy.Mehar ne kayi bar Halay ko bulana chaha mgr be-sudd.Wo mou sujaye aik konay mein alag thalag bethi Haroon ky raat wali rawaiye ke baray mein sochrhi thi jab Haroon ne usko wahan bethy dekha tha.Wo qadam qadam isky pass aya or qareeb ponch ke isky sath beth chuka tha.Halay iski mojudgi ko mehsus kar chuki thi or dil mein khush bhi hui thi magar zahir nhi hony dia.
[all in vain] [presence]"Ab bhi naraz ho?"Haroon seedha point pe aya tha magar jawab nhi aya."Im really sorry Halay.Mujhy ye nahi krna chye tha yaar bas mein ghusse mein tha.Mujhse baat to karo yaar aesy to mera dum ghutt jyega"Wo be-basi se bola.
Magar Halay ab bhi khamoshi se gaardan moray hassan ko kisi lrki se bat krty huwe dekh rahu thi"Isko to dekh lungi"
"Halay mujhy bas tumhara uski fikar acha nhi laga tha"Hanuzz Khamoshi."Halay yar kuch to bolo?"Wo ab bhi khamosh thi.
[still]Or phir achanak Haroon utha or puray qadd ke sath usky samny ghutno ke ba'l beth gaya."Allah Allah Haroon kia karhy ho?Utho sub dekh rahy hein"Halay bokhla kar boli.
[on his knees]"Yaar mein samjh gaya hun ab aesa nahi hoga kabhi I swear!Please maaf krdo"
"Han han kia maaf ab utho"Halay isko bazuu se utha kar boli jis pe Haroon muskuraya tha.Mehar-Maah jo kab say in dono ko dekh rahi thi ab inkay qareeb aa chuki thi.
"Haroon ye sub kia tha?"Usny atay hi sakht lehje mein sawal kia tha.Haroon na-samjhi se usko dekh raha tha or halay bhi usko dekh rahi thi.
"Yahan kitny saray log hein andaza he kia sochty hongy wo tum dono ke baray mein?Is shadi mein tum log aam log nhi ho.Sub log jantay hein ke tum high court judge Miraaj Sultaan ki beti ho or tum MNA Shahid hussain ke bete ho.Koi hosh he tum dono ko?Ye public place he tum dono ka ghar nhi he.Yahan agar 100 dost hein to 100 mukhalif bhi hein "Wo ab in dono ko daant rahi thi.
"Tum kia kehrhi ho yar.Hum dost hein ye mujhse naraz thi or mein isko mana rha tha or mujhy logon ki parwah nahi he!"Haroon ghusse se bola tha ussay Mehar ka ye andaaz acha nahi lga tha.
"Haroon aram se!"Halay ne ussay tanbiyah ki.
"Tumhae nhi hogi lekin mujhy he isliye mein apni behan ko le kar jaa rahi hun.Or tum dekh lo aas paas boht si larkiyan hongi inkay qadmo jaa ke betho or banwao scandal."Sath hi Mehar halay ka baazu khenchti chali gayi.Peechy Haroon talmilaya tha.
YOU ARE READING
Bakht by Mehrulnisa Shahmeer
Romance"Kia ap mujhy hospital le jyeingi?Mein ab jeena chahta hun"Ye alfaaz kehty huwe wo khud heeran tha.Thori dair pehly tk wo yahan pe sisak sisak ke marny ko tayar tha aur ab? Wo zinda rehna chahta tha lekin kue. Is lrki ko dekhti hi usny zinda rehne k...