تو نے رہنا تو یہیں ہے میرے دل کے اندر
میرا مطلب ہے جدا ہونے سے کیا ہونا ہےChapter 02|| موت
Fajar ki azan bulandd hochuki thi.Azan ki awaz sun jar wo kalma parhti Uth bethi thi.Pairon mein slippers pehn kar wuzu krny ke lyw wo washroom mein band ho chuki thi.
Thori dair bad jab wo bahir nikli tou usky chehray se paani ke shafaaf qatray tapak rhy thy.Usny jaye-nimaz bichai or Sunnat ki niyat bandh li.
Thori dair bad jab usny dua ke lye hath uthaye to usky chehray par aik alag hi muskurahat thi.
"Ya allahh wo shakhs jo mere dil ka chainn he ussay jald mery samnay le aa.Meray malikk us shakhs ke ilawa ye duniya be-rang he.Apko pta he dil krta he ke wo samny bethy or mein usko dekhti jaun.Ya allah wo kue he itna pyara?" Usky alfaaz berabt thy lekin agar koi uski muskurahat dekh leta to samajh jata ye shakhs Mehr-Maah ke lye sari duniya he.
Wo jaye-nimaz tehh kr ke uthi.Bed ki side table se mobile uthaya or Halay ko call milany lgi.3 bell pe call receive ho chuki thi.
"Assalamualaikum halay kesi ho?" Usny muhabat se pocha.
"Mehar please is waqt sonay dein.Kia apko subah subah koi kam nhi?" Wo jo aik ghanta pehly soyi thi Mehar ki call se buri tarhan be-zaar hui.
Jabke Mehar ke chehray par naram si muskurahat thi.
"Nimaz parho meri behan"
"Acha na parh lungi abhi mein call katt rhi hun" Ye keh kar usny call katt bhi di thi.
"Ye nhi sudhregi" Mehar ne sar ko nafii mein hilaya or zairay-labb kaha or phir nashta banany chal di.
Dusri taraf halay ki neend kharab ho chuki thi.
Wo tab tk azan ko nazar andaaz krti thi jab tak amma ya Mehar mein se koi nimaz parhny ka keh na de or jaisi hi kisi ne nimaz parhny ka kehdia to halay ka sukoon gharaat hojata.Ab jab tk wo nimaz na parh leti ussay sukoon na ata islye wo uthi or bathroom ki taraf chal di.
Bahir se ata music ka shoor bhi tham gaya tha.
Wuzu kar ky usny nimaz parhi.Uski nimaz boht lambi hoti thi.Wo nhi parhti thi to nhi parhti thi mgr jab parhny khari hoti to puray dil se nimaaz parhti.
Dua mang kar jab wo uthi to ussay raat wala waqia yad aya usny aik jhurjhuli li or sar ko jhataka or fresh hony chal di kue ke neend to ab ani nhi thi.
YOU ARE READING
Bakht by Mehrulnisa Shahmeer
Romance"Kia ap mujhy hospital le jyeingi?Mein ab jeena chahta hun"Ye alfaaz kehty huwe wo khud heeran tha.Thori dair pehly tk wo yahan pe sisak sisak ke marny ko tayar tha aur ab? Wo zinda rehna chahta tha lekin kue. Is lrki ko dekhti hi usny zinda rehne k...