Chapter 06||باب ۶

304 11 11
                                    


کیا خبر وہ کون تھا اور میرا کیا لگتا تھا
جس سے مل کر مجھےہر شخص برا لگتا تھا
,
Kià kabaaàr woh koń tha or merà kiya lgta thá
jis sé mil kár mujháy har shakhś bura lagta thà
'.
Chapter 06:اظہارِ محبت
izzhar-é-muhabàt

Dhoop ki tamaat se uska rang sunehra horha tha.Woh bar bar chehray or gardaan pe aya paseena saaf krti.Uski nighahein Haroon ko dhundh rahi thi.Achank se uski nazar samny se atay Safeer par pari.Woh mutawazan chaal chalta ' halki si muskurahat liye halay ko apni taraf atay dekh rha tha or dhoop or garmi ka asar uski mojudgi mein zayil ho chuka he.

[golden] [neck] [sweat] [gone]

Ye dhoop ab usko bahar ki shaam lagrhi thi.Woh ab usky qareeb aa chuka tha or suraaj ki roshni ab uski pushtt se takrati' halay ky jisam pe paray beghair mayoos laut jati thi.Woh halay or suraaj ki roshni ky darmiyan diwaar ban ky khara tha.Ab woh uski Cha'onn mein thi.Woh sayeeban tha,aik mazboot Sayeeban.Kam-azz'kam Halay Sultaan ko toh yahi laga tha.
[back] [shadow] [awning]

"Mein ny bataya tha Haroon ko ky mein tumhae pick karunga or usko yeh bhi kaha tha ky tumhae na bataye.Tumhae intizaar krna para hoga na?Mujhy dair ho gyi shayad."Woh Maazrat-khuwaah lehjy mein bolrha tha.
[apologetic tone]

"Koi baat nahi itni bhi dairr nhi hui."Halay khush dili se boli thi.Is ky liye toh woh saari zindagi intizaar kar skti thi bas aik baar woh keh kar toh dekhy.Woh dil hi dil mein boli thi.

"Chalo chalty hein.Aj tumhae kisi achi jagh khaana bhi khilaunga."Usny halay ko apny plan se agaah kiya.

Halay khamoshi se usky peechay chalny lgi thi.Gaari ky qareeb pohanch kar Safeer ny usky liye gaari ka darwaza khola tha.Usko bithanay ky bad woh ghoom ky aya tha or driving seat sambhali thi."Ab batao,Kahan chalein?"Woh pochny lga.

Halay ny pehly music on kia.Apni marzi ka English gaana lagaya or phir aram se Safeer ki taraf murhi."Nahi aj nahi.Asal mein aj Madhaat ki baraat he.Shaam tak pohanchna he mujhy or already late hoon mein.Aesa karein Ap bhi chalein wahan mere sath,Kia khayal hai?Wese apka alag se card bhi bheja tha unho ny.Madhat ka bhai kal bhi apka poch rha tha."

"Acha jese tum kaho."Woh toh Jese isharay pe betha tha,foraan hi maan gaya.

"Waqai!?Chaleingy Ap?"Woh khush hoty huwe boli.

"Mein tumhae manaa kar skta hun?"Safeer uski ankhon mein dekh kar bola.

"Yeh wedding theme hai.Apko white or black mein se hi kuch pehan'na hoga"Woh baat badalty huwe boli.

"Tum kia pehnogi?"Safeer ny sawal kia.

"Mein off white or red combination ka dress pehan rahi hun,Larkiyun ki theme yahi hai"Halay ny jawab dia.

"Red tum pehnogi toh bichari dulhan kia pehnygi?Yeh toh dulhaan ka colour he yaar.Yeh tou ziyadtii hai!"Woh afsoos se bola.

"Dulhaan orange colour pehnygi.Apko nahi pata usky chonchlo ka.Usny ye wedding theme ka shoshaa bhi isi liye chora tha ta ky usky special din pe uski dress ka colour sub se different ho.Apko pta toh hai ky red colour Dulhan ka hota hai infact subko hi pata hai lekin phir bhi agar ap kisi shadi mein jayein toh note kijyiga 7 ya 8 aurtoon ny zarur red pehna hoga.Ainvi shoq hota he inko dulhaan ki lime light churany ka."Halay ussay aese bata rahi thi jese Safeer koi bacha ho.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Sep 15 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Bakht by Mehrulnisa ShahmeerWhere stories live. Discover now