CHAPTER 03||باب ۳

572 20 7
                                    

پہلے سو بار  اِدھر اٗدھر دیکھاتب تجھے ڈر کے اِک نظر دیکھا

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


پہلے سو بار اِدھر اٗدھر دیکھا
تب تجھے ڈر کے اِک نظر دیکھا

Chapter 03:دیدار

Nageen ko hospital laya jaa chuka tha mgr Doctor ne inko dekhty hi boldia"We're sorry she's no more,agr ap thori dair pehly ajaty to shayad kuch hoskta"

Jo 2 aurtein inkay sath thi ab wo haseena begum ko sambhal rhi thi.Miraaj Sultan ko driver ne call krdi thi.

Kon kon aya,injo or Nageen ko kab ghar laya gya inko kuch yad nhi tha.Halay kue roo rhi hy,Mehar kahan hy inko kuch pta nhi tha.Wo zehni torr par ab bhi us sardd si ambulance mein Nageen Sultaan ko bolty huwe sunrhi thi.

✧.

Nageen ko gaye 10 rozz hochuky thy.

Yousaf Sultaan aj wapis aye thy or beti ky ghum ny unko torr kar rakhhdia tha.Inko dorayy parny lgy thy,nashy or dawayiyun ky زیرِ اٽر jab tk rehty tab tk normal hoty lekin jesy hi hosh mein aty "Meri beti-Meri bachii" chil'lany lgty.Har any jany waly se pochty ky"Kia tum ny meri beti ko dekha?Meri Nageen ko dekha hy?Koi issay la do.Koi meri bachi ko laa do" Lekin jab koi kehta ky Nageen nhi rahi to ہزیانی andaaz mein cheekhty or kehty

"Tum sub jhut bolrhy ho.Wo kesy mar skti hy?Mene uski lash nhi dekhi,mene ussay dafnaya nhi.Wo nhi marskti or tum sub wahaj ke sath mily huwe ho.Usny meri beti ko mujhse durr kia hy.Allah gharaatt karay ussy,Allah barbaad kary usko.Wo meri bachi ko khaa gaya.Allah usko chainn naseeb na karay or us pe ye zameen tang kardy"Isi tarhan cheekhty huwe be-hosh ho jatay.

Miraaj or Shams Sultaan bhi ghum mein thy mgr unhy mazboot ban'na tha.Inko hosla rakhna tha wo roo nhi skty thy or na hi baba ki tarhan bad-dua de kar apna dil halka krskty thy.Wo is ghum ko andar hi andar sehny par majbur thy.Safeer or Mehar bhi is waqiye ky bad sehamm se gye thy.

Waqt ka kam he guzarna or wo guzar jata hy.Kisi ke zakhum bharay ya ادھیڑیں waqt kisi ky lye nhi rukta.Yousaf Sultaan ab behtar horhy thy or wajah thi"Halay Sultaan "Wo bilkul Nageen jesi thi.Yousaf Sultaan ghanto us mein apni Nageen ko dundhty.

Ab to ye halat thi ky usko dekhy beghair wo khana tak na khaty.Halay inka marham thi or wahin Mehar ko wo nazar utha kar bhi na dekhty.Jahan wo dikh jati chup chap wahan se chalay jatay.Wo bolti to "han ya na" mein jawab dety.Inki halat ki wajh se kisi ny bhi in say is baray mein bat nhi ki.Mehar ki parwarish ka zimma mukamal torr par Haseena or Miraaj ne le lia tha or isko apni beti ki tarhan pala tha.

Bakht by Mehrulnisa ShahmeerWhere stories live. Discover now