"aap kuch dinon se kaafi pareshan lag raho hain—kya koi masla hai?" Waseem ne us raat Imama se poocha. Imama kuch dinon se udaas aur khamosh thi.
"Nahi, kuch nahi. Yeh aapka weham hai," Imama ne muskurane ki koshish ki.
"Yeh mera weham nahi hai: kuch na kuch ghalat hai. Magar agar aap is par baat nahi karna chahti, to phir alag baat hai," Waseem ne sar hilate hue kaha. Woh Imama ke double bed par lete hue the jabke Imama dur bethi apni file mein notes dekh rahi thi. Waseem ne jawab ka intezar kiya aur phir bola, "Main theek keh raha tha, na? Aap is par baat nahi karna chahti."
"Haan. Main abhi is par baat nahi karna chahti," usne ah bhari.
"Mujhe batao—shayad main aapki madad kar sakoon," Waseem ne phir koshish ki. "Waseem, main khud aapko bataongi lekin abhi nahi. Aur agar mujhe aapki madad ki zaroorat hui, to main zaroor keh dungi," usne file band karte hue kaha.
"Theek hai, jaise aapki marzi. Main sirf aapki madad karna chahta tha," woh uthte hue bola.
Waseem ne theek samjha tha: Imama un dinon se udaas aur khamosh thi jabse uska Javeria ke saath jhagra hua tha. Halanki Javeria ne agle din us se maafi maang li thi, lekin Imama ki pareshani aur dukh kam nahi hua tha—Javeria ke alfaz ne usko pareshan kar diya tha. Yeh usko Tehreem ke saath ek saal pehle ke jhagre ki yaad dilate the, aur woh shak aur sawaalat jo uske zehen mein us waqt uthe jab usne apne mazhab ka tafseel se mutala kiya. Javeria ne kaha tha ke uski zindagi ki sabse bari khwahish yeh hai ke Imama ek asal Musalman ban jaye.
Woh ek ajeeb se uljhan mein thi. "Kya main Musalman nahi hoon? Kya meri sabse qareebi dost bhi mujhe Musalman nahi maanti? Kya yeh sab hamare mazhab ke mutaliq propaganda ka nateeja hai? Kyun sirf hum hi nishana ban rahe hain—kya hum waqai ghalat raste par hain? Kya humne ghalat mazhab apna liya hai?
Lekin yeh kaise ho sakta hai—akhir meri family aur hamara poora community aisa kyun karega?"
Aur shayad in sawaalon ke jawab dhoondne ke liye, agle hafte usne aik mashhoor Islami scholar ke tarjuma aur hawale ke saath Quran ka ek nuskha khareeda. Woh jaan na chahti thi ke doosre firqe uske firqe aur uske aqeedah ke mutaliq kya raaye rakhte hain. Usne pehle bhi Quran ka tarjuma parha tha, lekin woh jo uske community ne recommend kiya tha. Usne yeh nahi maana tha ke jo nuskha woh parh rahi thi usme kuch jagah badal di gayi thi, ke us firqe ka Quran ka tarjuma asal se mukhtalif hai.
Ek ke baad ek, usne mukhtalif firqon ke scholars ke tarjume padhe—kisi mein bhi woh tabdeeliyan nahi thi jo uske firqe ke nuskhe mein thi, halan ke tafsiron mein farq zaroor tha. Jaise jaise usne mukhtalif tafsiron ka mutala kiya, uski pareshani aur uljhan barh gayi. Har tarjuma aur tafseer yeh tasdeeq karta tha ke Hazrat Muhammad (PBUH) Allah ke aakhri paighambar hain; kahi bhi doosre waris ya nabi ka zikr nahi tha. Masih-e-Mauood ke bare mein haqeeqat bhi us par bilkul wazeh ho gayi. Uske mazhabi rehnuma ke daaway aur asal waqiat ke darmiyan jo tanazur tha, wo uske samne khul kar aa gaya.
Jis tarah unke rehnuma ne apni paighambari ka daawa karne se pehle Hazrat Isa (AS) ke khilaf aib jo zuban istemal ki thi, usne usko hairan kar diya ke kya koi haqeeqi paighambar aise alfaaz ka istemal kaise kar sakta hai?
Bohat hi subtle tareeqe se, Imama ka apne mazhab aur iske adab o kitabein mein shauq aur aqeeda kam hota gaya. Uska sirf aqeeda hi nahi, balke usne inki sachai par bhi shak karna shuru kar diya. Usne Javeria ko nahi bataya ke woh apne firqe ke adab se door ho chuki thi aur doosri kitaabein parhna shuru kar di thi. Ghar mein bhi kisi ko nahi pata tha ke woh kaise kitaabein ghar le aati thi; usne unhe apne kamre mein bohot achi tarah se chhupa rakha tha.
Ek martaba aisa hua ke Waseem uske kamre mein aaya, koi kitaab dhundte hue aur pehli kitaab jo uske haath lagi, woh us Quran ka tarjuma tha jo woh parh rahi thi—woh hairan reh gaya. "Yeh kya hai, Imama?" Usne hairani se uski taraf dekha. Imama ka dil ruk gaya jab usne uski taraf dekha.
YOU ARE READING
Peer-E-Kamil (The Perfect Mentor) - Roman Urdu {Completed}
PoetryThis is the translation of Umera's Peer-e-kamil to Roman urdu, hope you guys like it.... All credits to Umera Ahmed.....