Islam qabool karne ke baad, Imama ne pehli baar Jalal Ansar ko qaribi tor par dekha jab wo unke college aaye. Wo apni doston ke sath lawn mein baithi thi aur wo Zainab se baat karne aaye. Wo ek taraf chale gaye, lekin Imama ki nazar un par se hut nahi rahi thi. Usay aik ajeeb si khushi mehsoos hui. Wo chale gaye magar uski nazar unka peecha karti rahi jab tak wo nazar se ojhal nahi ho gaye. Uski dostain guftagu mein masroof thi, magar wo apne ird gird se be-khabar thi. Jab usay wo aur nazar nahi aaye tab usay haqeeqat ka ehsaas hua.
Uski doosri mulaqat Jalal se Zainab ke ghar hui jab wo college ke baad uske sath gayi. Zainab apni doston ko bulati rahi magar sab ne kisi na kisi bahanay se mana kar diya, isliye Imama sath chali gayi. Usay Zainab ke ghar mein aik be-wajah ka sukoon mehsoos hota tha-shayad, ye Jalal ke waja se tha.Imama drawing room mein intezar kar rahi thi jab Zainab chai lane gayi.
Jalal andr aaye aur Imama ko dekh kar hairan ho gaye; unhe wahan usay dekhne ki tawaqo nahi thi. Unho ne apni mamooli tor par usay salam kiya aur Imama ne sharmate hue jawab diya. "Tum Zainab ke sath aayi ho?" unho ne poocha. "Wo kahan hai? Mujhe us se baat karni thi. Mujhe nahi pata tha ke usay mehman aaye hain," unho ne maafi mangi aur mur kar chal diye.
"Ap bohot achi naats parhtay hain," Imama ne foran kaha. Unho ne apne qadam roke.
"Shukriya. Tumne mujhe kahan suna?"
"Jab mein ek din Zainab ko call kiya tha aur uska intezar kar rahi thi...aur phir Zainab ne mujhe muqable ke bare mein bataya. Aapne wo naat parhi thi..." Usne kaha aur Jalal uljhan mein par gaye-kya wo khush hotay ya hairan? Unho ne uska shukriya ada kiya-ye lambi, patli chadar mein lapeti hui larki jinki kali aankhon ka ajeeb asar tha. Bohat logon ne unke hunar ki tareef ki thi magar is larki ki tareef qabil-e-gour thi, aur ziada aham uska izhar tha. Wo drawing room se chale gaye. Larkiyon se baat karna unka maamool nahi tha, aur wo bhi aisi larki se jo unki liye ajnabi thi. Imama wahan behtay hue ek alag hi josh mein thi-usay yaqeen nahi aa raha tha ke usne Jalal Ansar se baat ki thi. Itna qareebi-uske samne. Wo us jagah ko ghoorti rahi jahan wo thodi dair pehle kharay thay, aur apne zehan mein wo ab bhi unhe wahan dekh sakti thi.
---------------------
Unki agli mulaqat hospital mein hui. Agar Imama Zainab ke ghar apni marzi se gayi thi, to ye mulaqat ikhtiyari thi. Wo Rabia ke sath gayi thi jo wahan apni dost se milne gayi thi. Jab usne corridor mein Final Year ke students ke sath Jalal ko dekha to uska dil ek pal ke liye ruk gaya. Corridor itna bhara hua tha ke Imama unki taraf nahi ja sakti thi aur usay tab ehsaas hua ke uske liye khud ko rokna kitna mushkil hai. Jab wo kamre mein baithi thi, uske khayalat bahar uske sath hi the.
Jab Rabia aur Imama ek ghante se zyada baad bahar aaye, to students corridor se chale gaye the; usay ek dard ka ehsaas hua. Rabia seerhiyon se utarte hue guftagu mein masroof thi aur wo samne se Jalal se aamna samna kar lete hain. Imama ne ek bijli si apne andar dauri mehsoos ki. "Assalaam Alaikum, Jalal Bhai! Kaisa hain aap?" Rabia ne unhe salam kiya.
Jalal ne tameez se jawab diya, phir poocha ke wo hospital kyun aaye hain. Rabia ne waja samjhayi jabke Imama khamoshi se unhe dekhti rahi.
"Dastgiri meri tanhai ki too ne hi to ki
Me to mar jata agar sath na hota tera"Unki awaaz ne usay aik jaadu sa kar diya. Bohat kam hi usne kisi ko itni shuddh Urdu bolte suna tha, aur jab bhi wo bolte, uski awaaz usay pehli baar suni hui khoobsurat naat yaad dila deti. Usay aik ajeeb si fakhar aur jalan mehsoos hui unhe dekhte hue. Rabia se baat karte hue, shayad Jalal ko Imama ki tawajju ka ehsaas hua aur unho ne muskurate hue uski taraf dekha. Imama ne nazar hata li. Aik lamha ke liye uska behad dil chahta tha ke wo unke qareeb ho jaye. Usne unse nazar hata li, aur apne ird gird dekhte hue, "la- haul" apne labon par dohraya. "Shayad Shaitan mujhe gumrah karna chahta hai," usne apne aap se kaha, magar burai ko door karne ki duaein mangne ke bawajood, uske jazbat mein koi farq nahi aaya: wo ab bhi usay waisa hi mehsoos kar rahi thi. Kai saal ke Asjad ke sath mangni ke bawajood, usay kabhi us tarah nahi mehsoos hua tha. Us din wahan khaday rehte hue, usay pehli baar Jalal se dar laga. "Agar main apne aap par qaboo kho doon jab bhi usay dekhoon to kya hoga? Main kabhi itni kamzor nahi thi. Usmein aisa kya hai jo meri iradon ko pighla deta hai?"
YOU ARE READING
Peer-E-Kamil (The Perfect Mentor) - Roman Urdu {Completed}
PuisiThis is the translation of Umera's Peer-e-kamil to Roman urdu, hope you guys like it.... All credits to Umera Ahmed.....