Disclaimer: Please sit down, drink some water, there are some scenes that might seem real too much that you might end up getting goosebumps.... So enjoy and let your imagination see what you are reading 🤌🥹
-----------------------------------------Ahram lapete, woh Kaaba ke sahn mein khara tha. Woh akela tha: aas paas koi bhi nahin tha. Raat ke dair hue the aur chandni aur sitaron ki roshni sang-e-mar-mar ke farsh se takra kar milkani roshni phela rahi thi. Bas sitaron ki roshni thi, aur koi roshni nahin thi.
Kaaba ke kale purde par kadhai ki hui ayaat apni roshni chor rahi thi. Har taraf ek gehri khamoshi thi, jo sirf ek awaaz se toot rahi thi—uski apni awaaz… uski apni awaaz. Woh Multazim ke maqam par khara tha, uski aankhen Kaaba ke darwaze par the, aur upar dekhte hue, usne buland awaaz mein pukara.
"Labbaik Allahumma labbaik; labbaik la shareeka laka labbaik; innal hamda wa al ne‘mata, laka wa‘l mulk; la shareeka laka."
"Labbaik Allahumma labbaik; labbaik la shareeka laka labbaik; innal hamda wa al ne‘mata, laka wa‘l mulk; la shareeka laka."
"Labbaik Allahumma labbaik."
"Labbaik Allahumma labbaik; labbaik la shareeka laka labbaik; innal hamda wa al ne‘mata, laka wa‘l mulk; la shareeka laka."
Uski awaaz se masjid-al-Haram ka khali sahn aur raastay goonj uthay, jaise woh awaaz aasman mein uth rahi ho.
"Labbaik Allahumma labbaik!" Nange paon, aadhe kapde mein khara, usne apni awaaz pehchani.
"Labbaik la shareeka laka labbaik!" Haan, yeh uski hi awaaz thi… "innal hamda wa al ne‘mata, laka wa‘l mulk."
Uski aankhon se aansu beh kar uske chehre se hotay hue pairo tak gir rahe the. "La shareeka laka." Usne apne haath asmaan ki taraf uthaye. "Labbaik Allahumma labbaik."
Kiswah par likhi hui ayaat achanak bohot wazeh, bohot roshan ho gayi—chamakte hue, aur asmani roshni bhi zyadah chamakne lagi. Woh ayaat ko dekhne laga, mahnati, mukhlis. Jaise ek dua jo zabani yaad ho, usne talbiyah dohraai: "Labbaik Allahumma labbaik."
Phir usne dekha ke Kaaba ka darwaza dheere dheere khul raha hai, bohot dheere se aur uski awaaz ek saans, ek lehaz mein pukarti rahi.
"Labbaik la shareeka laka labbaik!" Is baar, usne mehsoos kiya ke ek aur awaaz uske saath dua mein shamil ho gayi hai.
"Innal hamda wa al ne‘mata, laka wa‘l mulk." Woh awaaz itni buland nahin thi—woh ek sarghoshi ki tarah thi, lekin usko ghair rahi thi. Usne jaana ke yeh uski awaaz nahin thi—yeh koi aur tha. Pehli baar jab se woh Khana-e-Kaaba mein tha, usne kisi aur ki mojoodgi mehsoos ki.
"La shareeka laka." Darwaza aur khul raha tha.
"Labbaik Allahumma labbaik." Usne woh aurat ki awaaz pehchani.
"Labbaik la shareeka laka labbaik!" Woh uske saath hi lafz dohra rahi thi. Awaaz uske baayen se, piche se, kuch kadam door se aa rahi thi.
Usne apne pairo ko dekha, jo ab poori tarah se geele ho chuke the. Phir usne Kaaba ki taraf dekha—darwaza khul chuka tha aur andar se ek chamakti hui safed roshni aa rahi thi. Woh sajda mein gir gaya, uska mattha zameen ko choo raha tha. Roshni dheere dheere kam hone lagi aur jab usne apna sir uthaya, roshni aur kam ho gayi thi. Jab woh khara hua, Kaaba ka darwaza band ho raha tha aur ek martaba phir usne kareebi ek aurat ki awaaz suni, aur is dafa usne mud kar dekha.
-------------------------
Salar uth gaya. Haram Shareef ki verandah mein ek sutun ke saath sir lagaye baitha hua, woh neend mein kho gaya tha.
YOU ARE READING
Peer-E-Kamil (The Perfect Mentor) - Roman Urdu {Completed}
PoetryThis is the translation of Umera's Peer-e-kamil to Roman urdu, hope you guys like it.... All credits to Umera Ahmed.....