Part 4

257 17 12
                                    

Scene starts in Khushi's house,
Khushi was eating her lunch with her husband Armaan without any words when Armaan broke the silence.

Armaan: Tum Maa aur Poorvi se baat karne gayi thi na? Unhe yaha laane ke baare mein? Kya hua?
Khushi: Hona kya tha? Uss RV ki chalbaaz harkaton ne Poorvi aur Maa ko fasa rakha hain.
Armaan: Kya matlab?
Khushi: Matlab yeh ki poori ki poori malhotra family padi hain Maa ke saath usi ghar mein. Mujhe toh samajh mein nahi aa raha hain ki itna sab hone ke baad unhone RV ko accept kaise kar liya.
Armaan: Exactly....I mean.....RV jaisa ladka jo Poorvi ko hamesha for granted leta hain...how is she still staying with that person? Poorvi ki shaadi karwana that too RV was the worst decision of all. It's really very unexpected.

"Unexpected moments are often the ones most beautiful ones."

Khushi and Armaan looked up only to see Pragya standing there.
Armaan(with a smile): Arrey Nani...aap yaha?
Armaan went and touched Pragya's feet with a smile.
Armaan: Please aaiye na....aap humein bata deti....main car bhej deta aapke liye.
Pragya: Zaroorat nahi thi....isiliye nahi bola. Waise mujhe Khushi se kuch baat karni hain....akele mein.
Armaan: Jii zaroor.....aap dono baat kijiye....main thodi der mein aata hoon.
Pragya nodded with a slight smile.

Pragya was left alone with Khushi in the room.
Khushi(not looking at Pragya): Mujhe ghar se bahar nikaalke chaen nahi mila jo aap yaha bhi aa gayi mujhe sunane?
Pragya dragged Khushi to a side and made her sit down on the couch.

Pragya: Main tujhe kuch batana chahti hoon.....mere past ke baare mein....
Khushi: Mujhe nahi sunn na hain....
Pragya: Sunni paregi.....agar tu sunegi nahi toh tujhe samajh nahi aayega ki kyun maine tujhe ghar se nikala.
Khushi: Aisa bhi kya batana chahti hain aap mujhe jo aapke actions ko justify kare?
Pragya: Mujhe apne actions justify karne ki zaroorat nahi hain.....maine kuch galat nahi kiya hain tumhe dhakke maar ke ghar se nikaal kar.
Khushi: Toh fir yaha kyun aayi hain aap? Yeh batane ki main kitni galat hoon?
Pragya sighed and handed over a pendrive to Khushi.

Pragya: Ismein ek video hain....vo dekh lena....sab samajh jaaegi.
Khushi: Kya hain ismein?
Pragya left without any words.

Scene shifts to Prachi's house, lunch time,

Deepika was serving food to everyone when suddenly the bowl slipped from her hands but Poorvi held it on time.

Poorvi: Bhabi...sambhal kar.....kya hua? Aapki tabiyat toh theek hain na?
Beji: Tabiyat theek hain....bilkul theek hain..yeh toh iske drame hain.
Harleen: Bilkul sahi kaha Beji ne.....drama kar rahi hain taa ki isko sympathy mile. Tum baith jaao Poorvi.....koi zaroorat nahi hain (glaring at Deepika) isse baat karne ki.
Prachi: Harleen jii....aap shaant ho jaaiye please.....Deepika....baith jaao baccha. Main serve karti hoon.
Poorvi: Nahi nahi Ma...main karti hoon. Waise....papa aur RV kaha gaye?
Prachi: Ranbir Rv ke saath kahi gaya hain...bola aa kar kha lenge.
Dadu: Par kyun? Aur kaha gaye dono?
Prachi: Vo Ranbir ki dost ki beti ki shaadi cancel ho gayi na.....toh RV ko jo opportunity mili thi....vo bhi gaya haath se toh vo bechara bohot dukhi ho gaya tha. Toh Ranbir ne kaha 'chal bahar ki hawa khaa kar aate hain'.
Vikrant: Pata nahi aakhir RV ke qismat mein kya likha hain.

Scene shifts to a dhaba.
Ranbir brought two plates of chole bhature with a smile on his face.
Ranbir: Maine suna tha chole bhature tumhare favourite hain. Yaha ke mere favourite hain.....batao zara kha kar kaise lage.
Rajvansh didn't said anything...he just kept staring at a distant point without any words.
Ranbir sat down beside Rajvansh and kept a hand on his shoulder.

Rajvansh didn't even looked up.
Ranbir: RV.....itne niraash mat ho baccha. Yeh opportunity gayi toh kya hogaya? Aage bohot mauke aayenge baccha.
Rajvansh(teary eyed): Main thak gaya hoon uncle.....
Ranbir: I know.....tumhare saath....
Rajvansh(teary eyed): Main thak gaya hoon apne aap ko saabit karte karte. (Looking at Ranbir......) Hamesha...mere saath hi kyun hota hain? Mujhe kabhi chahiye hi nahi tha yeh sab......yeh paise.....yeh fame....kuch nahi. Mujhe toh ek normal life chahiye thi...ek mamuli sa corporate employee tha main lekin khush tha.....khush tha apni family ke saath. Par fir maine galati ki...galati ki apne aukat se badh kar pyaar karne ki aur uski sazaa bhi mili mujhe. Aur fir meri mat maari gayi jo maine badle ke baare mein socha aur Poorvi se shaadi kar li. Main use kabhi khushiyaan nahi de paaya. Aur ab history waapis se repeat ho rahi hain. Wahi illzaam....wahi badnami aur wahi sab. Main thak gaya hoon...thak gaya hoon harr baar apne aap ko saabit karte karte. Mujhe nahi samajh aa raha hain ki hamesha mere saath hi aisa kyun? Kyun ho raha hain mere saath yeh sab?

Rajvansh broke down into tears and Ranbir embraced Rajvansh as if he were his own son.

Ranbir: RV.....beta main samajhta hoon. Zindagi asaan nahi hoti aur tumhari toh kuch zyada hi mushkil hain. Par beta tum aise haar nahi maan sakte. Main hoon tumhare saath.....Poorvi hain hum sab hain.
Rajvansh(crying): Isiliye toh aur bhi bura lag raha hain ki meri wajah se.....meri bewakoof harkaton ki wajah se Poorvi bhi iss musibat mein fas gayi hain. Aapko pata hain....(wiping his tears)....maine jab se Poorvi se shaadi ki hain na...use pal bhar ki bhi khushiyaan nahi di hain. Pehle toh main khud usse nafrat karta tha kyunki mujhe lagta tha ki Poorvi bhi bilkul Khushi jaisi hi hogi....par fir jab mujhe realize hua ki Poorvi poori alag hain....tab I felt ki mujhe use khush rakhna chahiye lekin....tab bhi main use khush nahi rakh paaya...mere gharwalon ne hamesha use dukh hi diye hain. Vo kabhi acche hote the...kabhi bure hote the uske saath aur jab finally sab kuch sahi ho raha tha tab yeh ho gaya. Main kya karu? Main...(crying)...karu toh kya karu?
Ranbir: Idhar dekh....(wiping RV's tears).....(cupping his face)....tu ne na aaj tak bohot kuch saha hain....bohot kuch.....pat tumne kabhi haar nahi maani. Main maanta hoon ki tum thak gaye ho.....aur tum kya...agar yeh sab mere saath hua hota toh main toh shayad yaha tak bhi nahi aata....main kab ka bhaag jaata situation se. Par...tum khade rahe....tum jo bhi bane...businessman....jo bhi fame tumne kamaya...vo sab tumne apni kabiliyat se kamaya hain aur isiliye tum sabse alag ho. Par tum haar nahi maan sakte.....not so soon. Main khada hoon tumhare saath....tumhare peeche hamesha.....(teary eyed)....par iska yeh matlab thodi hota hain ki tum kaabil nahi ho? No right?
Rajvansh nodded negatively still teary eyed.
Ranbir fed Rajvansh with a smile on his face.
Ranbir: Aage ki journey mushkil hain.....par hum saath saath hain. Aur main tumhe haarne nahi doonga....(with a smile)...kabhi nahi. Aur yeh main isiliye nahi keh raha hoon ki Poorvi meri beti hain aur tum mere damaad ho.....par main yeh sab isiliye keh raha hoon ki tum kaabil ho.
Before Ranbir could speak more Rajvansh hugged Ranbir tightly teary eyed.
Rajvansh(teary eyed): Thank you mujh par bharosa karne ke liye....
Ranbir(embracing Rajvansh): Ainda se agar mujhe thank you bola hain na....toh chodunga nahi main tujhe.
Saying this Ranbir hugged Rajvansh tightly teary eyed.

Scene End.








Hum Saath Saath Hain❤️ (Completed)Where stories live. Discover now