Next update after 70+ votes.
______________________________
"Is mein konsi bhalai hai Abhira ki? Haa konsi bhalai hai is mein Abhira ki? Kya Armaan se shaadi karvane ke baad voh khush hogi? Kya voh Rohit ko bhul jayegi?oo Kya voh Rohit se pyar karna band kar degi? Kya use Armaan se pyar ho jaega? Kya Armaan aur Abhira happily ever after honge?" Abhir questioned angrily.Abhimanyu's expression hardened as he faced Abhir's anger. "Abhir, humne yeh faisla uske bhavishya ke liye liya hai. Hum samajh rahe hain ki tu apni behen ki khushi chahta hai, lekin kabhi kabhi humein aage badhne ke liye kathor faisle lene padte hain."
Abhir's frustration was palpable. "Papa, aapko kya lagta hai ki Abhira Armaan ke saath khush rahegi? Kya yeh sach mein uske liye sahi hai? Hum usse uss ghar mein jaane nahi denge, jahan uska dil na ho."
"Abhir, hum uske bhavishya ka soch rahe hain," Abhimanyu replied firmly. "Is faisle ka maqsad uski khushi aur uski samridhi hai."
"Khushi aur samridhi kis baat ki? Jab uska dil Rohit ke liye dhadak raha hai?" Abhir retorted, his voice tinged with frustration and concern.
Akshara intervened, trying to calm the escalating tension. "Abhir, Abhi sahi keh raha hai. Agar Abhira ko aage badhna hai toh yeh sab challenges use face karne honge. Kyuki Rohit and uska kabhi nahi ho sakta."
Abhir turned towards his mother with a mix of desperation and anger. "Mumma, yeh galat hai. Abhira ko force karke hum usse khush nahi rakh sakte. Uska dil toot chuka hai, aur ab usse uss ghar mein jaane ke liye zabardasti nahi kar sakte."
"Parivaar ke liye humein kabhi kabhi aisi kathor faisle lene padte hain," Abhimanyu reiterated.
Abhir shook his head in disbelief. "Papa, yeh faisla galat hai. Abhira ko apne faislon ka samman diya jaana chahiye, uski khushi ka bhi."
"Abhir, hum sabhi uske faislon ko samajhna chahte hain." Akshara added softly.
"Mujhe... apne dil ki sunni hogi... mai... mai Rohit ke bina... nahi rah paungi. Ma....mai Rohit se bohot....pyaar karti hu. I still do. Please yeh shaadi nahi kar sakti. Nahi hoga mujhse." Abhir murmured.
Abhir's frustration peaked. "Papa, Maa, yeh galat hai. Aapko bhi samajhna chahiye ki Abhira ke liye yeh faisla theek nahi hai."
Abhimanyu's expression softened slightly, but his resolve remained strong. "Beta, hum uski khushi ke liye hi toh..."
"Par khushi toh uski dil mein hai, aur voh dil abhi tak Rohit ke liye dhadak raha hai. Agar aap kuch karna chahte hai Abhira ki khushi ke liye toh Abhira ke dil aur dimag se Rohit ko bhulane ke baare mein sochiye." Abhir argued passionately.
"Papa, ple....please mujhe Armaan se shaadi nahi karni hai. Us...usse shaadi kar....karne se hum do....dono ki zindagi na...barbaad ho jaa.....jaaegi. kyuki mai kabhi use py......pyaar nahi de paaungi. Please papa. Please. Ma....mai yeh shaadi nahi kar sa....sakti. aa....aap mana kar dij....dijiye unhe.... please papa." Abhira pleaded.
"Tu hume samjhane ki koshish kar. Hum jo kar rahe hai voh tere bhale ke liye kar rahe hai. Hum chahte hai tu apni zindagi mein aage badhe. Kyuki agar tu is tarah se Rohit ki yaado mein rahi toh tu kabhi use bhul nahi paayegi. Kabhi aage nahi badh paaegi." Abhimanyu said.
"Aage badhne ke liye shaadi karni jaruri nahi hai papa." Abhira said.
"Abhira, hum teri khushi ke liye yeh faisla le rahe hain. Hum chahte hain ki tu apne jeevan mein aage badhe. Rohit ke bina bhi tere liye koi sahi insaan ho sakta hai." Abhimanyu said.
"Abhira, beta, humein pata hai ki yeh samay mushkil hai. Parivaar ke liye kabhi kabhi kathor faisle lene padte hain." Akshara said.
"Abhira, main samajh sakta hoon ki tu kis tarah se mehsoos kar rahi hai. Par kabhi-kabhi humein apne dil ke khwabon se upar uthkar, parivaar ke faislon ko maan lena chahiye." Neil said.
YOU ARE READING
ENTANGLED HEARTS : A Triangle Of Love
RomanceAbhira Birla and Rohit Poddar, two souls in love with each other. But the fate didn't wanted them together. Armaan Poddar, a handsome man and brother of Rohit met Abhira and started admiring her from the day he saw her. How will this love triangle...