Chapter 14

383 68 5
                                    

Next update after 60+ votes
_______________________________

"Armaan ki shaadi Abhira se hi hogi." Kaveri said firmly.

Everyone looked at her shockingly. Vidya stood up slowly and looked at her with tears.

"Ye...yeh aap kya....kya keh rahi hai?" She asked.

"Hum sahi keh rahe hai. Humare liye humare baache humara sab kuch hai. Aur Armaan par koi musibat nahi chahte hai hum. Rohit aur Abhira ko alag hona hi hoga. Armaan ki shaadi Abhira se hi hogi." Kaveri said firmly.

Vidya, still shaken and tearful, stammered as she said "Ma... Maa-sa... Rohit ko... main us... us tarah se nahi dekh sakti... un dono ka... pyaar..."

"Vidya, humein samajhna hoga ki kabhi-kabhi humare liye jo sabse achha hota hai, voh humare bas mein nahi hota. Armaan ki shaadi Abhira se hi hogi, yeh humara faisla hai." Kaveri said.

Vidya wiped her tears, her voice trembling, "Par Maa-sa... Rohit aur Abhira... unka... unka dil tootega..."

Kaveri's tone grew more resolute as she replied, "Vidya, humare parivaar ki sukh-shanti ke liye, humein yeh kadam uthana hoga. Aur Armaan ke liye, yeh hi sahi raasta hai."

"Aur vaise bhi jab humne pehli baar Abhira ko dekha tha tab humare dimaag Mai yehi khayal aaya tha Abhira ko Armaan ki banaenge lekin phir Rohit aur Abhira ko pyaar ho gaya. Isilye humne kuch nahi kaha. Aur hum khush bhi the ki humare ek bete ko uska pyaar mil toh raha hai. Koi baat nahi agar hum jo chahte hai voh nahi ho raha hai toh. Lekin ab jab Purohit ji ne keh diya hai ki voh dono ek dusre ke liye nahi bane toh hum unki baat jaroor maanege." Kaveri said firmly.

Everyone looked at her shockingly.

"Aap...appne pehle se socha tha ki Abhira ki Armaan se shaadi karvaengi?" Manisha asked.

Kaveri nodded solemnly, "Haan, Manisha. Jab humne Abhira ko pehli baar dekha tha, humein yeh vichar aaya tha ki Armaan ke liye voh ek acchi jeevansathi ban sakti hai. Lekin jab Rohit aur Abhira ke pyaar ki khabar mili, humne socha ki shayad bhagwan ne unhe ek dusre ke liye hi banaya hai. Par ab Purohit ji ke shabd ne humein yeh samajhaya hai ki unka rishta anmol toh hai lekin shaadi ke liye nahi bana."

Vidya, still visibly upset, interjected softly, "Par Maa-sa, Rohit aur Abhira..."

Kaveri cut her off firmly, "Vidya, humein yeh faisla lena hoga. Aur yeh faisla humare parivaar ke bhavishya ke liye hi hai. Armaan ke liye yeh ek sukhad faisla hai."

Manoj, who had been quiet until now, spoke up, "Par Maa-sa, yeh sab itna jaldi... Armaan..."

Kaveri's expression hardened slightly as she turned to face Manoj, "Manoj, humein yeh samajhna hoga ki Armaan ki salamati humare haath mein hai. Agar hum abhi nahi karenge toh phir baad mein humare paas yeh mauka nahi hoga. Aur agar hum yeh mauka chhod denge toh Armaan ki zindagi mein kathinaiyaan aa sakti hai."

Madhav, usually composed, added with a touch of concern, "Lekin Maa-sa, Rohit aur Abhira ka..."

Kaveri interrupted him, her voice steady, "Madhav, humein yeh kadam uthana hoga. Yeh faisla humare parivaar ke bhavishya ke liye zaroori hai."

Vidya, torn between her emotions and her family's decision, whispered tearfully, "Par Maa-sa, Rohit ko..."

"Kya tumhe sirf Rohit ki chinta hai Vidya? Kya tumhe Armaan ki koi fikr nahi hai? Kya tum yeh chahti ho ki Armaan par musibate aaye? Kya tum nahi chahti ki Armaan khush rahe?" She asked while looking at Vidya who was crying looking down.

She paced slightly in the hall, "Humare paas ek mauka hai Armaan ki zindagi ko surakshit aur sukhi banane ka. Agar hum yeh mauka nahi istemal karenge, toh hum kabhi maafi nahi paayenge. Armaan humare liye sab kuch hai, uski raksha humari zimmedari hai."

ENTANGLED HEARTS : A Triangle Of LoveWhere stories live. Discover now