Baab 3..
Kamray ka darwaza yakdam khul gaya tha. Woh yakdam had bara gayi thi, aur kamra ek baar phir us wujood se khaali ho gaya tha.
"Alizeh Bibi! Mujhe Begum Sahiba ne bheja hai. Woh keh rahi hain, kamray ki setting badalni hai. Toh mujhe bata dein, main cheezein utha kar idhar udhar kar doon ga."
Mulazim ne uski sochoun ka tasalsul tod diya tha. Woh kuch dair khaali alzehni ki kefiyat mein usay dekhti rahi, phir jaise woh apne hawaas mein aa gayi. Us ne perfume ko dressing table par rakh diya.
"Huunnh, main kuch cheezein idhar udhar karwana chahti hoon, magar pehle tum store room mein ja kar woh purday nikalo jo pichlay mahine tum ne yahan se utaaray thay."
Alizeh ne usay hidaayaat dena shuru kar diya tha.
"Woh neelay walay?"
Mulazim ne Alizeh se poocha tha.
"Haan! Wohi walay, aur dekho vacuum bhi le aao."
Mulazim ne uski hidaayaat par sar hilaana shuru kar diya. Woh wapas mur raha tha jab Alizeh ne ek baar phir usay roka. "Achha dekho, wapas aao to saath Haakim ko bhi lete aana. Main chahti hoon ke kamra jaldi saaf ho jaye."
Usne mulazim ko rok kar usay mazeed hidaayaat di thi.
"Ji theek hai!"
Mulazim kamray se nikal gaya tha.
Woh ek baar phir kamray ka jaiza lene lagi thi. Kamray mein bohat se indoor plants rakhe hue thay, aur yeh sab Umer ki choice thay. Usay jin chand cheezon mein dilchaspi thi, us mein baghbani bhi thi. Woh jitna arsa wahan raha tha, usne ghar ko apni pasand ke indoor plants se bhar diya tha. Mahine mein ek din woh un sab podon ko lekar baith jaya karta tha. Unki tarash kharash karta, un mein khaad daalta, un par dawaon ka spray karta aur apne kamray mein unki jagah badalta rehta. Uske jaane ke baad yeh kaam Alizeh ne sambhaal liya tha.
"In plants ko bahar lawn mein le aao."
Mulazim jab purday le aaya tha to Alizeh ne usay ek nai zimmedaari sonp di thi. Woh khud bhi kamray se bahar nikal aayi thi. Mulazim baari baari saaray plants bahar le aaya. Alizeh ne podon ko dekhna shuru kar diya, usne unki cutting shuru kar di thi. Woh money plant ko dekh rahi thi, chand chhoti shaakhein khushk ho kar latak rahi thi, usne usay chhaantna shuru kar diya tha. Woh badi ehtiyaat se bel ki shaakhon aur patton ko kaat rahi thi. Sirf ek lamhe ke liye uska dhyaan kahin aur gaya khush shaakh ke saath ek hari bhari shaakh bhi kat gayi thi. Woh yakdam saakit ho gayi thi.
"Koi baat nahi. Aisa ho jata hai. Tum dekhna, ab yeh bohat taizi se barhay ga aur pehle se zyada khoobsurat ho jaye ga. Mujh se jab bhi koi plant is tarah katta hai, phir woh pehle se bohat acha ho jata hai."
Baab 4..
Woh perfume apne kamray mein rakh kar lounge mein aa gayi thi. Woh pehle hi Nano ke paas mojood tha. Nano usay dekh kar muskurane lagi thi.
"Umer ne kaunsa gift diya hai tumhein?"
Unhon ne Alizeh ko dekhte hi poocha tha.
Woh madhham si muskurahat ke saath unke paas sofe par baith gayi.
"Unhon ne aapko bataya nahi?" Usne Umer ki taraf dekhte hue kaha tha, jo dilchaspi se usay dekh raha tha.
"Nahi! Woh keh raha tha ke yeh ek secret hai, magar Alizeh aapko bata sakti hai."
Nano ne bataya tha.Alizeh ne ek baar phir use dekha tha.
"Perfume dita hai." Usne ahista awaaz mein batay tha.
"Konsa perfume..?" Nano ko tajassus hua.
"Chanel 5"
"Tumhara favorite perfume...kyun Umar tumhe kaise pata chala ke Alizeh ko yeh perfume sabse zyada pasand hai." Nano ne Umer se pucha.