part 11

234 6 1
                                    

Baab 18..

"Tum ne result dekha hai apna?" Umer ne Nano ko buland aawaz mein kehte suna. Unki aawaz mein behtashaa gussa tha. Woh lounge ke darwaze mein hi ruk gaya. Andar jane se pehle usne surat e haal samajhne ki koshish ki. Apna bag usne utaar kar rakh diya.

"Is tarah A Levels kis tarah clear karogi, do subjects mein fail ho? Chutiyon mein kya karti rahi ho tum?" Nano waqai bohot gusse mein thi jabke Alizeh sofe ke ek kone mein khamoshi se baithi thi.

"Main ainda zyada mehnat karungi."

"Kon si mehnat! Yeh wali mehnat jo tumne is baar ki hai. Meri samajh mein nahi aata ke papers karte waqt tumhara dhyan kahan hai. Tumhare Nana yeh card dekhenge to jaanti ho, kitne naraz honge."

"Nano! Main ne bohot mehnat ki thi magar pata nahi phir bhi..." Usne kuch dil bardasht ho kar kaha.

"Mujh se jhoot bolne ki koshish mat karo. Tum ne mehnat ki hoti to is card mein nazar aati. Magar tumhein studies mein dilchaspi hi kaha hai. Sara din tum Kristy ko uthaye phirti rehti ho. Us se farigh hoti ho to drawing aur painting mein waqt barbaad karne lagti ho."

"Nano! Main ne hamesha achay marks liye hai, sirf is baar..." Woh ab rohaansi ho gayi.

"Is baar kya hua hai? Kon si qayamat toot padi hai. Tumhara card is qabil hai ke kisi ko dikhaya jaye. Jo bhi dekhe ga kahe ga shayad main tum par tawajjo nahi deti warna tum is tarah ka result to kabhi na dikhati." Unhone gusse mein haath mein pakra hua card Alizeh ki taraf uchhal diya. Card us se takrata hua qaleen par ja gira.

Umer ne us se zyada dair wahan khada rehna bekaar samjha.

"Hello Granny!" Woh bohot khushgawar andaaz mein kehta hua lounge mein daakhil hua.

"Umer, tum itna achanak aa gaye ho?" Nano ne kuch hairan hote hue us se poocha.

"Bohot achanak to nahi, magar baherhaal aa gaya hoon."

Umer ne jawab dete hue Alizeh ko dekha jo aasteen se aankhein ponchhte hue card utha rahi thi.

"Mager tumhein to abhi kuch din aur rehna tha Swat mein?" Nano ab bhi mutma'in nahi thi.

"Haan rehna to tha magar bas achanak hi mood badal gaya."

"Aap Alizeh ko kyun daant rahi thi?" Woh apna saamaan rakh kar sofa par baith gaya.

"Aane se pehle ittila de dete to main driver ko airport bhejwa deti." Nano ne uski baat ka jawab dene ke bajaye mazeed shikayat ki.

"Magar main to by road aaya hoon, coaster par."

"Kya! Coaster par? Khwah makhwah ki bewaqoofi..." Nano burburai thi.

"Granny, ise bewaqoofi nahi, adventure kehte hain." Uska aitmaad barqarar tha.

"Yahan tak sahi salamat pahunch gaye honge is liye ise adventure keh rahe ho." Granny, plane ke zariye bhi sahi salamat pahunchne ki koi guarantee nahi hoti. Main to ise bhi adventure hi kehta hoon magar aap mujhe yeh batain ke Alizeh ko kyun daant rahi thi?" Usne kan ankhyiyo se sar jhukai baithi Alizeh ko dekhte hue kaha.

"First term ka result aa gaya hai uska aur buri tarah fail hai." Nano ke chehre par ek baar phir khafgi jhalakne lagi. Umer ne Alizeh ki gardan ko mazeed jhakte hue dekha. Phir usi itmenan ke sath woh dobarah Granny ki taraf mutwajjih ho gaya.

"Bas itni si baat hai. Main samjha pata nahi kya qayamat aa gayi hai. Waise Granny! Fail to bas fail hota hai agar woh buri tarah se fail hai to kya koi achhi tarah se bhi fail hota hai?"

"Fazool baatein mat karo Umer! Tumhein pata hai yeh do subjects mein fail hai."

Alizeh ka dil chaha ke woh phate aur woh is mein sama jaye.

AmarbailWhere stories live. Discover now