part 8

156 7 0
                                    

Baab 15..

Alizeh uske haath se revolver cheen lena chahti thi, magar woh koshish ke bawajood bhi apni jagah se hil nahi payi. Umer safety catch hata chuka tha, aur revolver apni kanpatti ki taraf le ja raha tha. Jab Uncle Jahangir bijli ki si tezi se lapke aur uska haath pakad liya. Is se pehle ke woh apna haath chhurata, unhon ne uske chehre par ek zor daar thappar maara. Thappar itna zabardast tha ke woh na sirf chand qadam peeche chala gaya, balki revolver par uske haath ki giraft bhi kamzor par gayi.

Uncle Jahangir ne ek jhatke ke sath revolver us se cheen liya aur uske chehre par ek aur thappar maara. Alizeh ne uski naak se khoon bahtay dekha. Uncle Jahangir ab usay gaalian de rahe thay. Nano ne yakdam aagay barh kar unhein peeche kheench liya. Umer ab samne khara palkein jhapkaye baghair unhein dekh raha tha. Alizeh ne kabhi kisi ke liye uski aankhon mein itni nafrat nahi dekhi thi jitni woh is waqt Umer ki aankhon mein Uncle Jahangir ke liye dekh rahi thi. Uski naak se tapakta hua khoon uski safed shirt par gir raha tha, magar woh jaise us se bilkul bekhabar tha.

"Mujh par chillayein mat," usne ab Umer ko Uncle Jahangir se kehte suna.

"Mujh par ab haath utha kar bohat pachhtayenge."

"Kya karoge tum? Ye drama jo abhi kiya hai? Khudkushi karna chahte ho to jao bahar sadak par ja kar karo. Wahan ja kar shoot karo apne aap ko, lekin mere ghar mein nahi."

"Nahi! Waise hi maroonga jaise marna chahta hoon."

"Us se kya ho ga? Mujhe koi bhi farq nahi padega. Chaar-chay din log baat karenge, phir bhool jayenge. Jahangir Maaz ko kuch bhi nahi hoga."

"Chaar, chhay din hi sahi, magar baat to karenge aap ke bare mein."

Is se pehle ke Uncle Jahangir uski baat ka jawab dete, Nano ne unhein kaha:

"Jahangir, bas karo. Is behas ko band karo. Yahan se bahar niklo."

Unhone Uncle Jahangir ko bazoo se pakad kar bahar le jane ki koshish ki thi.

"Nahi, mujhe yahan se bahar nahi jana, kya samajhta hai yeh khud ko? Main aisi blackmailing mein nahi aaonga," unhone apne aap ko Nano se chhurate hue kaha tha.

"Please, Jahangir! Filhal yeh sab khatam karo. Mujhe is tarah pareshaan mat karo. Abhi isay akela chhor do," Nano ne ek baar phir unka bazoo pakad kar iltijai andaz mein kaha tha, lekin Uncle Jahangir bilkul hi gusse mein thay. "Aap isko nahi jaanti hain. Yeh tamasha is ne pehli baar nahi kiya hai. Is se pehle bhi yeh do baar isi tarah ladhne ke baad sleeping pills kha chuka hai."

Unhone inkishaaf kiya, aur Alizeh ne shock ke aalam mein Umer ko dekha jo ab bhi isi tarah apne baap par nazrein jamaye hue tha.

"Mujhe sharam aati hai isay apni aulad kehte hue!"

"Aap ko baap kehte hue mujhe bhi utni hi sharam aati hai," Usne Uncle Jahangir ko sardi se bharpoor lehje mein jawab diya.

"Jahangir! Khuda ke liye dobara jhagra shuru mat karo. Mere sath bahar aao!" Nano ne Uncle Jahangir ke kuch kehne se pehle hi unhein bahar kheenchna shuru kar diya. Uncle kuch kehna chahte thay magar Nano kisi tarah unhein kheenchte hue kamre se bahar le gayin. Umer apni jagah par be-hiss-o-harkat khara unhein bahar jata dekh raha tha. Kamre ka darwaza band hotay hi uski nazar Alizeh par jam gayi.

"Tum bhi yahan se jao," usne drushti se Alizeh se kaha tha. Woh ab haath ki pusht se apni naak saaf kar raha tha, aur shayad tab hi usay pehli baar ehsaas hua tha ke uski naak se khoon beh raha hai. Alizeh uske kehne ke bawajood apni jagah se nahi hili. Umer ne ek baar phir sar uthaya aur usay wahin khara dekha. Uske chehre ki nagawari barh gayi.

"Tumhein kaha hai na, jao yahan se!" Is baar usne bharai hui awaaz mein kaha.

"Please, main aap ke paas rehna chahti hoon," usne bharai hui awaaz mein kaha.

AmarbailWhere stories live. Discover now