Baab 29..
"Tumhara Jahangir ke sath koi jhagda hai..?" Us shaam lawn mein chai peete hue baaton ke dauran achanak Laik uncle ne usse pucha..Umer chonka..
"Nahi.." usne bade normal andaz mein kaha.."Accha." Laik uncle ne hairat ka izhar kiya.
"Jahangir toh keh raha tha ki tum aajkal usse naaraz ho..tum dono ke darmiyan koi baat waat nahi hoti." Laik uncle ne chai ki sip le5e hie bade jatane wale andaz mein kaha.
"Nahi, baat toh ho jati hai magar koi khushgawar andaz mein nahi hoti.." Umer ne badi laparwahi se kaha. "Accha kyun..?" Laik uncle ne khasi beniyazi ka muzahira karte hue pucha..Umer ne ek gehri nazar unpar daali. "Papa khushgawar andaz mein kisi khubsurat aurat se hi baat karte hai ya phir kisi siyasat daan se." Laik uncle ne be ikhteyar qehqa lagaya. Umer usi tarah be ta'asur chehre se unhe dekhta raha..ba mushkil apni hasi rokte hue unhone kaha.
"You have a very good sense of humour."
"Magar is tarah ki baat Jahangir ke samne mat karna warna woh chothi shadi kar lenge."
"Hai na" Umer ne laparwahi se kehkar ek baar phir chai peena shuru kardiya..
"Isi qism ki baatein tum Jahangir se karte ho isliye toh woh itna pareshan rehta hai."
"Excuse me, Papa meri wajah se pareshan nahi hote woh apne alawa kisi dusre ke bare mein pareshan hote hai na hi kisi dusre ki wajah se pareshan hote hai." Umer ne chai ka cup samne padi hui mez par rakh diya.
"Umer! Jahangir ke baare mein itna badgumaan hone ki zarurat nahi hai. Woh tumhari bohot parwa karte hai. Tum uske betay ho. Woh tumhare rawaiye ki wajah se bohot fikarmand rehta hai," Laiq Uncle yakdam sanjeeda ho gaye.
"Is se kya farq padta hai ke main unki aulaad hoon ya unka beta hoon?"
"Kyun farq nahi padta? Tum Jahangir se poochho, kitni ahmiyat hai uske nazdeek tumhari."
"Main unki akeloti aulaad nahi hoon. Doosri biwi se bhi unki aulaad hai aur ab... ab teesri se bhi ho jaayegi," uske lehje mein talkhi thi.
"Magar tum uske sabse baday betay ho. Tumhari aur uski bohot achi understanding honi chahiye, warna aagay chal kar aur problems hongi."
Umer ne ghour se unka chehra dekha. "Kya matlab! Aagay chal kar kya problems hongi?" Umer ne kuch uljhan ke sath kaha.
"Woh tumhare mustaqbil ke baare mein bohot kuch plan karta rehta hai. Kal ko jab tumhari shaadi ke baare mein agar woh kuch faisla karna chahega, to is tarah ke takraav ki surat mein problem hoga."
Laiq Uncle ne itne normal andaaz mein yeh baat kahi ke woh unka chehra dekh kar reh gaya.
"Main aap ki baat nahi samjha hoon. Aap kis ki shaadi ki baat kar rahe hain?" Usne sard awaaz mein kaha.
"Tumhari shaadi ke baare mein."
"Meri shaadi ke baare mein Papa kuch tay kyun karenge?"
"Woh tumhara baap hai."
"Toh...?"
"Umer! Tumhain shaadi..."
Usne yakdam Laeeq Uncle ki baat kaat di. "Uncle! Aap mujh se jo kuch bhi kehna chahte hain, saaf saaf kahen. Kya Papa ne meri shaadi ke baare mein aap se kuch kaha hai?" Woh jaise baat ki teh tak pohanch gaya tha.
Laiq Uncle kuch dair uska chehra dekhte rahe. "Shaadi to nahi, haan albata woh tumhari engagement zaroor karna chahta hai."
"Kis se?"
"Yeh main nahi jaanta."
"Bohat khoob, bahar haal aap Papa ko bata dain ke mujhe shaadi nahi karni, na aaj aur na hi aindah kabhi. Aur jis se woh meri engagement karna chahte hain, us se khud shaadi kar lein," uski awaaz mein talkhi thi.