Justice Niaz bohot gusse mein thay aur unka gussa baja tha. "Chief Justice Saqib Shah is waqt phone par Chief Minister se phone par baat kar rahe thay.
Agar kisi ke bete ko ghar se is tarah uthakar maar diya jaye ga aur wo bhi High Court ke aik Haj ke bete ko, to phir aik aam shehri ke saath aapki yeh police kya karti hogi? Chief Minister ne unke lehjay ki talkhi mehsoos ki.
"Shah sahab! Main is waqay par kis qadar sharminda hoon. Main bata nahi sakta." Saqib Shah ne unki baat kaat di.
"Khaali sharminda hone se to kuch nahi ho ga."
"Main ne inquiry shuru karwa di hai. Jaise hi..." Saqib Shah ne aik baar phir unki baat kaat di.
"Kaise inquiry? Police ne usko maara hai aur aap police ke haathon hi inquiry karwa rahe hain. Aap ka khayal hai ke police sach samne laayegi?"
"Theek hai police ke bajaye kisi judge se karwa lete hain? Aap naam tajweez kar dein, main order issue kar deta hoon," Chief Minister ne foran tajweez pesh karte hue kaha.
"Aap commission pe commission bithayein ge, magar amli tor par kuch nahi karein ge," is baar Saqib Shah ki awaaz pehle se zyada buland thi.
"Shah sahab! Aap ghussa na karein. Aap bataein ke main kya karoon, kis tarah madad kar sakta hoon?" Chief Minister ne apni awaaz qadray madham karte hue kaha.
"Justice Niaz ka mutalba kyun nahi maante aap?"
"Kaunsa mutalba?"
"Abbas Haider ki muatli ka."
"Unhone mujh se to aisi koi baat nahi ki, balke mera to wo phone attend kar rahe hain na hi mujhe apne ghar aane ki ijaazat de rahe hain. Mera P.A. do ghante lagaataar unki minnat samaajat karta raha hai ke wo mera phone attend kar lein ya phir mujhe apni khidmat mein haazir hone ka moqa dein. Mujhe bhi afsos hai unke bache ki maut ka aur main chahta tha ke khud unki family se mulaqat karoon, unke ghar jaoon magar unhone saaf saaf keh diya ke Chief Minister ko mere ghar aane ki zaroorat nahi hai. Agar wo aaye ga to gate ke bahar khara rahe ga. Main uski shakal tak nahi dekhoon ga. Aap khud sochain ke ye koi tareeqa hai aik soobay ke Chief Minister ke baare mein baat karne ka," Chief Minister ne pehli baar qadray buland awaaz mein Justice Niaz ke rawayye ki shikayat ki.
"Ghusse mein insaan bohot kuch keh jaata hai. Aap ye bhi to dekhein ke unka jawan beta maar diya hai aap ki police ne," Saqib Shah ne foran Justice Niaz ki tarafdari karte hue kaha. "Theek hai manta hoon wo ghusse mein hain, magar ye sab kuch unhe press ke samne to nahi kehna chahiye tha. Chaar akhbaron ne aaj isi khabar ko unhi ke alfaaz ke saath front page par headline bana diya hai. Justice Niaz ka Chief Minister se milne se inkaar..aap khud sochain intezaamia par kya asar hoga is headline ka..."
Saqib Shah ne uski baat ek baar phir kaat di.
"Justice Niaz ne aap se milne se tab inkaar kiya tha jab IG ne Abbas Haider ko muattil karne se inkaar kar diya tha. Na sirf us se inkaar kiya balke usay baygunnah bhi qaraar diya. Mere kehne par bhi IG apni baat par adha raha. Usne kaha ke Itmenan Siddiqui ne usay jo report di hai, uske mutabiq to Abbas Haider ne ek kaarnama kiya hai. Bar-waqt karwai se usne ek poore khandaan ki jaan bachayi hai. Jab main ne karwai par israar kiya, to IG ne kaha ke Chief Secretary se baat kar lein ya Chief Minister se. Agar upar se orders aa jayein to main Abbas ko muattil kar doon ga." Saqib Shah ab ghusse mein bol rahe the.
"Aur Chief Secretary do ghante pehle Services Hospital ke Cardiac Unit mein daakhil ho gaya hai. Uske PA ke mutabiq usay dil ki takleef shuru ho gayi hai aur us ne do haftay ki medical leave maang li hai. Doctors ki hidayat ke mutabiq do haftay ke baad jab saara maamla khatam ho jaye ga to wo foran sehat yaab ho kar services se bahar aa jaye ga. Aur aap se baat kar raha hoon to aap keh rahe hain ke Justice Niaz ne aisa koi mutalba kiya hi nahi."