message to my audience

1 0 0
                                    

Message to My Audience (For the Story)

Kabhi kabhi zindagi me hume aisa lagta hai ke samne wala insaan humse pyaar karta hai. Shayad is liye kyunki wo humse apni har baat share karta hai, humari baaton ko samajhta hai, aur apne dukh-sukh hamare saath baantta hai. Ladka jab dekhta hai ke ladki uski har baat maan rahi hai, usse tasalli de rahi hai, toh uske andar ek ehsaas paida hota hai ke koi hai jo uska saath de raha hai, jo uski har baat ko samajh kar haan mein haan mila raha hai. Is ehsaas se wo ladka khush hota hai, lekin har dafa yeh pyaar nahi hota.

Girls and boys, yeh zaroori nahi hota ke jo insaan tumse apni baatein share kare, apna future, family issues, dukh-sukh bataye, wo tumse pyaar bhi karta ho. Kabhi kabhi log sirf is liye apni baatein kisi se share karte hain kyunki unhe koi chahiye jo unhe sun sake, jo unhe samajh sake. Iska yeh matlab nahi ke wo tumhe apne dil se chahta hai.

Girls, aksar aisa hota hai ke hum uske sharafat ya samajhdari ko pyaar samajh lete hain. Hum sochte hain ke wo humse khud ko close mehsoos kar raha hai, lekin sach yeh hai ke shayad uske andar waise jazbaat nahi hain. Har rishta pyaar nahi hota. Har dafa ek insaan tumhari feelings ke sath utni gehraayi se nahi jurta jitna tum sochti ho. Aur jab hum is galatfehmi mein jeete hain, toh akhir mein hume sirf dard aur dil tootne ka ehsaas hota hai.

Boys, yeh zaroori hai ke tum ladkiyon ki emotions aur feelings ka khayal rakho. Agar tum sirf apni baatein sunane ke liye unhe apne kareeb karte ho, toh yeh unke jazbaat ke sath khelne jaisa hota hai. Kabhi kisi ke dil ke sath mat khelo. Agar tumhe pyaar nahi hai, toh us rishte ko aage badhne se pehle socho. Yeh mat karo ke tum apni baatein karte jao, aur samne wala tumhe dil se chaahne lage.

Pyaar ek gehra ehsaas hai—ek aisi cheez jisme sirf baatein nahi hoti, balki ek doosre ki izzat, khud ko samajhne ki koshish, aur ek doosre ke dukh aur sukh mein saccha saath hota hai. Agar pyaar saccha hai, toh wo sab kuch seh lega, lekin agar sirf waqt guzarna hai toh akhir mein sirf dard reh jata hai.

Agar tum is kahani ka end tak jaoge, toh tumhe samajh aayega ke har rishta jisme pyaar jata hai, wo asal mein waise nahi hota jaise dikhai deta hai. Bahut dafa hum ek doosre ke jazbaat ko galat samajh lete hain, aur jab asliyat samne aati hai toh hume lagta hai ke hume dhoka diya gaya hai.

Girls, apne dil ko sambhal ke rakho. Sirf kisi ke sharafat ko pyaar mat samjho, aur apni izzat aur feelings ko samne wale insaan se pehle apne liye important samjho. Boys, apne jazbaat ko clearly samne rakho aur agar tumhe pyaar nahi hai toh kisi ke sath maze ya waqt guzari ke liye mat khelo.

This story is a reflection of these very real experiences. Har rishta saccha nahi hota, aur har jazbaat gehra nahi hota. So think carefully, and always respect the feelings of others.

Sins of the HeartWhere stories live. Discover now