Ishita's POV
I am so excited...
What is it going to be...
Itna karo na mujhe pyar...
The title sounds hopelessly romantic...
Fingers crossed!
Prologue
"Sab duaa kar rahe hain ke tum jaldi se theek ho jao.
Par mai nahi chahta ke aisa ho.
Iska matlab ye nahi ke mujhe tumhari fikr nahi.
Mujhe is baat ki fikr hai ke agar tum theek hogayi to tum mujhse door chali jaaogi.
Haan mai khudgarz hoon.
Mai apni zindagi ko paane keliye tumhe tumhari asli zindagi se juda kar raha hoon.
Par mai kya karun Ishita?
Tumhari itni adat si hogayi hai ke ab tumhare bina jeene ki soch bhi nahi sakta.
Magar ye baat tumhe bata bhi nahi sakta ke mai tumse kitna pyar karta hoon.
Kyunki jis din tumhe mere sach ka pata lag jayega shayad us din tumhari zindagi me mere liye koi jagah
nahi bachegi"
Ayyo! Ye kya hai?
Aisa kya hogaya hai is kahani ki Ishita ko ke Raman nahi chahte ke wo theek hojaye?
Aur aisi kya sach chupayi hai Raman ne ke uske pata lag jane pe Ishita unse pyar karna chod degi?
Mujhe to kuch samajh hi nahi araha...
"Hello Jaan"
"Kya jaan? Bhaad me gayi apki jaan. Ye kya tha Raman?" I began complaining as soon as he received the call.
"I knew it" I heard him mumble.
"What did you know haan?" I demanded.
"Mujhe patha tha ke tumahara call anewala hai. Aur tum complain karogi is baare me" he stated the obvious.
"Agar pata hi tha to aisa prologue kyun likha? Title se laga ke it is going to be full of romance. But ye kya tha? Shuru me hi tragedy! Kya sochke padne chali thi aur kya nikla! I hate you Raman" I whined.
"Arey...Isme hate karne ki baat kahan se aa gayi? Ye to sirf ek story hai baba" he explained.
"IDK. Jo bhi hai likha to aapne hi hai na. Jante ho ki biwi preganant hai. To kuch achha achha likhna tha na. Ab ye padhaoge aap mujh se?" My hormones were on a complaining spree today.
Today? Only today?
Are you kidding me Ishu?
Bechare Raman se pooch pichle do mahine se kya haal bana rakha hai uska...
Ok ok...I know...
But meri control me thodi na hai...
Jo mere hormones bolte hain mai wahi karti hun bas...
आप पढ़ रहे हैं
CHAR KADAM SAFAR ABHI JAARI HAI
Fiksi PenggemarChar Kadam: The journey of Ishita and Raman continues as they explore new stations of love. Namashkar! Char Kadam ke sabhi yatriyon se nivedan hai ke we apne is safar ki agli manzil pe jaane keliye tayyar ho jayein. We are taking off soon! "Ladies a...