The next day Bua Ji arrived by the evening train and was welcomed by the Aggarwal family. Anju had prepared everything as per her likings as she didn't want to listen to her harsh words by upsetting her this time.
After serving her snacks like kachori, Bhujia , mathri and thandai along with tea and biscuits , Sanyukta and Anju went to the kitchen to cook traditional Rajasthani dinner for Bua ji while Kishore and Bua ji were left alone in the living room ."Kishore ... Manne tharey se ik bohot jaruri baat karani hai..", Buaji chipped as soon as she found herself alone with Kishore .
"Arey Haan Bua ji ... Kal aapne kaha tha ki aapko mujhse kuch jaroori baat karni hai..Kya baat hai??"
"Woh main kuch din pehle apne sasural gayi thi.. Humare pushtaini haveli .. ..Jahan par Humare saare purvajo ke liye ek Pooja Rakhi gayi thi.. Jiske liye parivar ke saare log ikattha huy the... Utthe Rajesh aur uska parivar bhi aaya hua tha.. .. Aur utthe Manne pata Chala ki ..."
"Kya pata Chala ...??", Kishore frowned
"Ummm .. Woh .... Pata nahi kaise kahoon .. Main tanne aisi haalat mein pareshaan na Karna chahu .. par baat bhi Ghani Gambhir hai..."
"Aap khul kar bataiye Buaji ... Aap Kya kehna chahti hai...", Kishore chipped in a worried tone.
"Manne ... Manne pata Chala ki. .. Sameer ....", Bua ji stammered
" Bua ji aap bol dijiye jo bhi bolna hai..."
"Woh Manne pata Chala ki Sameer ne vilayat SE lautne SE pehle hi Kisi Firangi chori SE biyah kar liya tha.. "
"Kya???? Yeh aap Kya kehrahi hai... nai nai Aisa nahi Ho sakta hai...Bua ji, mujhey lagta hai Aapko jaroor koi galat fehmi hui hogi .. Sameer aisa ladka nahi hai.. ", Kishore didn't want to believe what he just heard.
"Manne bhi Aise hi laga tha ...par Maari baat bikul sacch hai.. Main yahan saare sach ka pata laga karke hi aayi hoon...", Bua ji continued.
"Woh firangi chori aur Sameer ek hi saath padha karte the . Maine yaha tak suna hai ki woh dono ek hi saath ek hi ghar mein raha karte the...Jab padhai khatam hui toh Sameer ne usse shaadi karli -yeh kehkar ki woh apne parivaar walon ko mana kar uske saath wapas utthe London mein hi Bas jaiga. Phir kuch din uske saath bitane ke baad woh wapas atthe Hindustaan aagayo .
Sameer ko pata tha ki agar yahan Biradari mein kisi ko uski Firangi beendni ke baare mein pata chalega toh atthe bawal Mach jaiga...Isiliye jab Sanyukta ka Rishta aaya tab woh Rishte ke liye taiyyar hogaya aur usse sagai karli.... ". Kishore was beyond shocked listening to this. He was too appalled and stunned by what he just heard."Kya????... Par....Aise kaise....Rajesh toh ......", His words seemed to get stuck in his throat as he tried to speak.
"Rajesh ko yeh baat pata na thi.... Jab usey is baat ka pata chala toh usne Sameer ko bohot samjhaya ki - us Firangi ko bhool jai, warna biradari wale usey jeene nahi denge.. Bohot samjhane par Sameer maan bhi Gaya..Aur baat wahin par dab gayi..."Bua ji continued.
"Par kuch din pehle us phirangi chori ne atte Bikaner aane ki zidd karni shuru kardi... Jab Sameer ne usey Sab kuch bhool jaane ko kaha tab us chori ne bawal machana shuru kar diya.. Usne Sameer ko Tv ke jariye badnaam karne ki dhamki Di.... Jab Rajesh ne yeh baat Suni tab,
Badnaami aur biradari SE nikaley jaane ke Dar SE Us ne Sameer ko jaidad SE hi bedakhal kar diya.... ""Iska Matlab... ", Kishore chipped as if putting two and two together.
"Sameer ab tak hum SE jhoot Bol raha tha ... Usey mujhse paise isiliye chahiye the kyonke usey Rajesh ne apni jaidad se bedakhal kar diya tha..", Kishore said as the realisation dawned him."Kya... Usney thaare SE paise maange??? Ye Kab hua ?? ", Buaji asked in astonishment .
"Abhi kuch din pehle.. Yeh toh Accha hua ke aap ne yeh Sab bata diya.. Warna main apni 'Sanyukta spare parts' wali factory bech kar usey paise dene hi wala tha.... "
"Manne maaf karde laadesa.. Tu ne maare hi kehne par apni aankhein band kiye , Bina kisi jaanch partaal ke yeh rishta tai kiya tha.. Maari wajah SE tanne itni pareshani jhelni padi.. ", Buaji chipped breaking down into sobs.
"Buaji.. Aap please roiye mat.. Balke Main aapka abhari hoon . Aapne sahi Samay par aakar itna bada anarth hone SE Hume bacha liya... Mujhey nahi pata ke main yeh baat Sanyukta SE kaise kahoonga.. Lekin Afsos mujhe iss baat ka rahega ki Marne SE pehle main apni Sanyukta ki shaadi nahi dekh paaonga .....", Kishore muttered sighing deeply and as he looked up his gaze fell on Sanyukta who was standing near the door listening to their conversation .
********************************************
********************************************
Pre-cap: Randhir gets to know about Sameer .
**************************************************************************************
Hey guys,
Here is the next part of this story.. I know it's getting a bit filmy..😜😜😜😜 but I hope you are liking it.
Thank you all my readers for being patient with me and the story.
Please do vote and leave your valuable comments. I just love reading them.Thank you @Divya011995 for helping me with the Marwari . Love you dear😘😘😘😘😘😘😘😘😘
YOU ARE READING
My Innocent Love Story
FanfictionWinner of Readers Choice Award in Royalists Awards (Best Fanfiction)....... Highest Ranking # 16 in Fanfictions category on 8-10-2016.... Sanyukta - a young and a shy girl, who had lost her heart to her neighbours son . This is a story of her jour...