Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte HainSuna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte HainSuna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte HainSuna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte HainRukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte HainKisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte HainKahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte HainJudaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte HainToo Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte HainYeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte HainNa Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte HainBuhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar
Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain
YOU ARE READING
Dasht-e-Aarzoo.#lovefrompakistan Completed ✔️
PoetryAbhi to ishq main aisa bhi haal hona hay K ashq rokna tum se mohaal hona hay Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay Beautiful and heart touching words of Ahmed faraz Ranked: 2