Jis simt bhi dekhooN nazar aata hai ke tum ho
Ae jaan-e-jahaaN ye koi tum saa hai ke tum hoYeh khwaab hai, khushboo hai, ke jhoNka hai, ke pal hai
Yeh dhuNd hai, baadal hai, ke saayaa hai, ke tum hoIs deed ki sahAat main kaiye rang hain larzaaN
Mein hooN ke koi aur hai duniya hai ke tum hoDekhO yeh kisi aur ki aankhAin hain ke meri
DekhooN yeh kisi aur ka chehra hai ke tum hoYeh umr-e-gurezaaN kahin tahre to yeh jaanooN
Har saaNs main mujh ko yeh lag ta hai ke tum hoHar bazm main mauzoo-e-suKhan dil zadgaaN ka
Ab kaun hai Shireen hai ke Laila hai ke tum hoIk dard ka phaila huA sahara hai ke mein hooN
Ik mauj main aaya huAa dariya hai ke tum hoWoh waqt na aaiye ke dil-e-zaar bhi sochai
Is shehar main tanha koi hum sa hai ke tum hoAabaad hum aashufta sarOn se nahin maqtal
Yeh rasM abhi shehar main zinda hai ke tum hoAe jaan-e-'Faraz' itni bhi taufeeq kise thi
Hum ko ghum-e-hasti bhi gawaara hai ke tu
YOU ARE READING
Dasht-e-Aarzoo.#lovefrompakistan Completed ✔️
PoetryAbhi to ishq main aisa bhi haal hona hay K ashq rokna tum se mohaal hona hay Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay Beautiful and heart touching words of Ahmed faraz Ranked: 2