Aashiqi mein Meer jaise khwaab mat dekha karo,
Baawle ho jaaoge mehtab mat dekha karo;Jasta jasta parh liya karna mazameen-e-wafa,
Par kitab-e-ishq ka har baab mat dekha karo;Is tamashe mein ulat jati hain aksar kashtiyan,
Doobne walo'n ko zer-e-aab mat dekha karo;Maikade mein kya takalluf maikashi mein kya hijab,
Bazm-e-saaqi mein adab aadaab mat dekha karo;Ham se darwesho'n ke ghar aao to yaaro'n ki tarah,
Har jagah khas-khana-o-barf-aab mat dekha karo;Maange taange ki qabaein der tak rahti nahin,
Yaar logo'n ke laqab-alqaab mat dekha karo;Tishnagi mein lab bhigo lena bhi kafi hai Faraz,
Jaam mein sehba hai ya zehr-aab mat dekha karo...
...............
Ye padhnay ke baad i am speechless 😷
YOU ARE READING
Dasht-e-Aarzoo.#lovefrompakistan Completed ✔️
PoetryAbhi to ishq main aisa bhi haal hona hay K ashq rokna tum se mohaal hona hay Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay Beautiful and heart touching words of Ahmed faraz Ranked: 2