throwback

118 1 0
                                    

Rahis ahmad aur sakeena begam ke do bete thai , rehman ahmad aur faizan ahmad faizan ahmad badhe thai shahin unki biwi thi jin se unke do bacche thai beti mahin aur usse tin saal chota mamoon

rahis Ahmad ki crore ki jaidad aur zameene thi wo naik insaan thai logo ki khub madad karte thai zameen ka ek hissa unhone gareeb logo ki madad ke liye rakh chodha tha

shaher me cotton or sugar meel bhi thai jo faizan ahmad dekhte thai

rehman ahmad ko docter bankar naam kamane ka shok tha isliye wo mbbs karne ke baad aage padhai ke liye london chale gaye magar wahan unhone ek saal baad hi apni classfellow kethi se shaadi karli thi kethi ne islam qubool krne ke baad hi rehman ahmad se shaadi ki thi .

Rahis ahmad aur sakeena begam ko pehle toh unki shaadi ki khabar ne bohot shock diya tha magar jab unhe apni foreigner bahu ke islam qubool karlene ka pata chala toh unhone dil se usse apni bahu maan liya

kethi ka naam noor fatima rakh gaya rehman ahmad aur wo dono ek dusre se bepanah mohabbat karte thai ,

shaadi ke ek saal bad unke haan ek pyaari si beti hui jo noor fatima aur rehman ahmad ka mila jula rup lekr paida hui thi

maa ki tarha badhi badhi ankhein doodh jaisa saaf rang uska naam unhone sakeena begam se puchkar chandni rakha tha .

Chandni jab 9 saal ki hui tab tak rehman ahmad heart attack aur noor fatima general fezistin ke rup me degree hasil kar chuke thai wo rahis ahmad ke bulane par chandni ko lekr india aa gaye

jahan 8saal badhe mamoon ahmad se chandni ka nikaah kar diya gaya taki dono bhaiyo ka rishta aage chalkar mazboot hojaye 7 samundar ki duriya bhi unke is rishte ko kam na karsake

noor fatima ne kam umri ki shaadi par kahfangi dikhayi unke khayal me ye sahi nhi tha ki bachpan me hi baccho ki shaadi kar di jaye aur badhe hokar wo na chahte hue bhi iss rishte ko nibhane par majboor ho jaye ,

rehman ahmad ne unhe kisi na kisi tarha mana liya lekin noor fatima ne kuch sharte zaroor rakhdi thi

isliye do murbaab zamin aur sheher ki cotton factory nikaah ke sath hi chandni ke naam kardi gayi thi aur dusri shart ye thi ki agar mamoon baad me chandni ke sath acha salook nahi karta ya usse talak dedeta hai toh aisi soorat me mamoon ko haveli aur ek murbaab zamin chandni ke naam karni hogi

noor fatima ne ye sharte apni beti ke future ko safe karne ke liye rakhi thi

jo bakhushi man li gayi aur sath hi rehman ahmad ko unke hisse ki jayedad bhi dedi gayi

waqt guzarta raha bacche badhe hogaye aur badhe budhe hogye

achanak rahis ahmad mamoli se bukhar me hi unki death hogyi

Faizan ahmad toh jaise akele reh gaye thai rehman ahmad chand dino ke liye india aye thai aur jaldhi wapas chale gaye

wo toh khud andar se tut rahe thai magar aise me bhi unhone kisi se apne dil ka dard share nahi kiya ,noor fatima unki mohabbat ,unki sharik e hayat unke dukh mukh ki sathi typhoid se unki death hogyi thi

un dino hospital me bohot kaam tha sheher aur dehat (village) me bimaariya pehlne ki wajha se hospital me marizo ka rash tha

Shadid sardi me din raat musalsal do hafte tak wo apne araam ki parwah kiye bager kaam karti rahi aur typhoid ka shikar hokar iss duniya se rukhsat hogayi

rehman ahmad toh jaise bikhar se gaye thai unhone chandni ki khatir khud ko badhi mushkil se sambhala tha

noor fatima ki is nishani apni chandni beti se unhe bepanah mohabbat thi wo usse maa aur baap dono ka pyaar dete thai .

chandni muskurane lagi Where stories live. Discover now