talaaq ki khabar

124 1 0
                                    

"suniye ,mujhe tin char din ke liye sheher jana hai."

chandni ne sehri se farig hokar mamoon se kaha.

"kuch chahiye kya ?"

mamoon ne badhe gaur se uske chehre ko dekha jis par pareshani chayi hui thi.

"mujhe jo chahiye wo yahan nahi hai mujhe sarmad uncle ke ghar jana hai kuch zaroori kaam hai."

wo sanjeedgi se boli jabki wo ab tak uski pehli baat par hi gaur kar raha tha.

"thik hai mujhe bhi kal sheher jana hai tum mere sath hi chal lena."

"jab apka sath hi mere nasib me nahi toh fir sath chalne ka kya fayeda."

usne dil me usse mukhtabi karke kaha.

"nahi , maine sarmad uncle ko phone kar diya hai wo khud ayenge."

usne sanjeedgi se uski offer thukrate hue jawab diya fir wahan se uth kar chali gayi .

Anhoni toh kuch na hui thi fir bhi mahin ke naam aane wale talaaq naame ne sab ko naye sire se udaas kardiya tha mahin ne talaaq naama padh kar mamoon ke hath me dediya uske hontho se gehra saans nikal gaya tha , jaise itne dino se ghutan jaisi zindagi guzar rahi thi magar aaj usse taza hawa mil gayi thi isliye usne azaadi aur sukoon ka saans liya tha fir ramin ko apni mamta bhari nigaho me chupakar wo aane wali zindagi ki behtri aur khushi ki dua mangne lagi.

"herat ki baat hai sikandar bakht jaise lalchi aur kameene shaks ne mahin ko aise kaise talaaq dedi wo toh bohot kuch mang raha tha iss talaaq ke peeche zaroor koi bohot badhi wajha hai."

mamoon ne honth kaat te hue kaha.

"wajah kya honi hai beta,uss awaara mizaj ko koi or milgayi hogi khuda samjhega use usne meri masoom si bachi ki zindagi barbad karke rakhdi."

shaheen begam ne roote hue kaha toh chandni boli.

"tayi ammi, please aisa nahi kahiye abhi toh mahin api ki puri life baqi hai insha Allah aane wali zindagi bohot achi or khushiyo se bhari hui hogi."

" beta, Allah tumhari zubaan Mubarak kare."

shaheen ne jhat se uske hath chumliye.

"chandni bibi, sarmad sahab aye hai."

zubeda ne aakar khabar di

"acha me aati hu."

"acha ladhka hai sarmad usse andar hi bula lo chandni ka uncle hai toh mere bete ka dost bhi toh hai akhir usne apni ikloti beti ko 7 samundar par ussi ke bharose par toh yahan bheja hai uss bhale aadmi me zaroor koi baat hogi jaao zubeda tum sarmad ko andar le aao."

sakeena begam ne apne ansu saaf karte hue kaha toh wo foran bahar nikal gayi.

"assalamualikum ."

sarmad ne lounge me kadam rakhte hi unhe salam kiya tha.

"walekumassalam."




mamoon ne aage badh kar unse hath milaya .

mamoon ne aage badh kar unse hath milaya

Ups! Ten obraz nie jest zgodny z naszymi wytycznymi. Aby kontynuować, spróbuj go usunąć lub użyć innego.
chandni muskurane lagi Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz