Idhar mamoon police ke sath farm house pohonchgaya police ne badhi hushyari se rahim baksh aur uske dono sathiyo ko giraaftar kar liya mamoon chandni ko dhundte hue uss kamre ka darwaza kholkar andar dakhil hua jahan chandni ko band kiya gaya tha toh jo sofe par bethi ansu baha rahi thi usse dekhte hi uth kar uski taraf doodhi aur uske seene se lipat kar bilak bilak kar roone lagi.
"chandni."
mamoon ne bekarari se use mukhatib kiya aur uske gaale me bahein daldi wo hichkiya le lekar roo rahi thi mamoon ka dil uske ansuo me dub raha tha wo uske liye jeetna sakht mizaj bana hua tha , iss lamhe usse kahi zyada naram aur careing lag raha tha uske reshmi balo me naram se hath ferta hua wo uske salamat mil jaane par dil hi dil me shukar ada kara raha tha.
"chandni tum thik toh hona,un babkhAto ne tumhare sath koi badtmizi toh nahi ki ?"
mamoon uske yunh bilak ne aur roone par ghabra gaya aur bechain hokar pucha toh usne uske seene me chehra chupaye hue nahi me sar hila diya mamoon ke hontho se sukoon ka saans nikal gaya.
"thank god, acha roo nahi chandni , wo tino giraaftar hochuke hai aur uss kameene sikandar bakht ko toh me zinda nahi chodhunga usne meri izzat par hath dala hai me uss ke hath katt daluga uska wo hashar karuga ki wo bhi yaad rakhega."
wo gusse se aag bagola hote hue khatarnak lehze me bola
"nahi....aa.....ap usse kuch nahi kahenge wo police ka mujrim hai."
chandni sar utha kar uske chehre ko bheegi ankho se dekhte hue roote roote boli.
"wo ham sab ka mujrim hai khair chodho tum chup ho jao roona band karo shabash haveli me sab pareshan hai aao chale."
mamoon ne uske bheege chehre ko apne hatho se saaf karte hue kaha aur uska hath pakad kar bahar aate hi apni jeep me jaa betha chandni ki hichkiya ab tak jaari thi mamoon ne bekarari se usse dekha police in tino mujrimo ko giraaftar karke le jaa rahi thi ,mamoon S.H.O se baat karke jeep start karne laga toh chandni ka mobile baaj utha chandni ne pocket se mobile nikal kar dekha screen par sarmad ka cell no. Aaraha tha magar usme abhi kisi se baat karne ki himmat na thi usne mobile mamoon ki taraf badha dia.
"sarmad uncle ka phone hai ap baat karle."
wo larazti awaaz me boli toh usne uski halat dekhte hue uska Mobile lekar receive kiya aur kaan se laga liya.
"Assalamualikum sarmad sahab me mamoon baat kar raha hu."
"ji me thik hu chandni bhi thik hai,darasal wo soo rahi hai ap mujhe bata de koi khaas baat hai kya ?"
mamoon unse mukhatib tha.
"ji haa....kab....kahan oh my god ! Toh kahan hai ab wo ?"
"acha thik hai me chandni ko bata dunga ki apka phone aya tha okay thankyou sarmad sahab khabar dene ka shukriya.....Allah hafiz."
mamoon ne baat khatam karke mobile off karke chandni ko dediya aur jeep start karke uska rukh haveli ki taraf kardiya unki jeep ke piche police ki gaadi bhi aarahi thi unhone hifazat ke sath haveli tak pohchana unki zimedari thi 5 -7 min yuhi khamoshi se guzar gaye.
YOU ARE READING
chandni muskurane lagi
Short StoryChand angdaiyan le raha hai Chandani muskurane lagi hai Ek bhooli huyi si kahaani Ek bhooli huyi si kahaani Phir mujhe yaad aane lagi hai Chand angdaiyan le raha hai Chandani muskurane lagi hai Kisne bikhra diye apne gesu Ab ghata aur chhane lagi ha...