shocking news for mamoon

151 5 3
                                    

"Grandmom , tayi ammi ye property ke papers hai."




Dusre din usne wo file mamoon aur mahin ki maujudgi me undono ke samne mez par rakhte hue bataya toh sabne chok kar usse dekha.




"Kaisi property beta ?"





Shaheen ne herani se uski surat ko dekha.






"Wo property jo ap logo ne apsi razamandi se nikah ke waqt mere naam kara di thi aur uss property ke papers bhi hai jo mamoon ki taraf se mujhe chodhne ki surat me deni padhti ,ye saari property mene mamoon ke naam transfar kara di hai aur mr. Mamoon ahmad ! Ap ab befikar hokar mujhe chodh sakte hai mene wo saari shart papa se mashware ke baad kanooni taur par khatam kardi hai jinki wajha se apko apni baki property bhi mere naam karni padh sakti thi ab ap is tenstion se azaad hai apki aur taya abbu ki saari property kanooni taur par ap ke naam kara di gayi hai mera uss property par koi haq nahi hai aur waise bhi jab property mere naam thi jab bhi papa ne ya mene konsa fayeda utha liya isse istemal aur amdani toh apke pass hi thi na fir bhi ap mujh par yun gussa hote rahe jaise mene apke muh se niwala aur sar se chatt chinli ho , anyway mujhe bohot afsoos hai apko meri wajha se pareshani hui ye sambhale apni property ke papers jinki mujhe na kal zaroorat thi or na hi koi aaj zaroorat aur chahat hai rishte dolat se nahi bante or na judte mamoon ahmad, rishte toh dil ke khulus aur pyaar se bante aur judte hai aap sirf iss property ke khojaane ke dar se bardash kar rahe thai na warna kab ka talaaq de dete mene sab kuch sun liya tha ab apko darne ki zaroorat nahi hai , apka sab kuch apka hai."





Chandni ne mamoon ko dekhte hue sanjeedgi se kehte hue file utha kar uske haath me thamayi aur usse andar tak se sharminda kar diya.





"Chandni tum iss kaam se sheher gayi thi ?"





Mahin ne pucha.





"Ji haan, mujhe iss property se dilchaspi nahi hai na hi papa ko aap log ki dolat me se kuch chahiye wo toh apno se apna rishta khulus ke sath barkarar rakhne ke khushamdid thai aur hai,mere nikaah ki wajah se ap baqi rishte kharab na kare aur mr. Mamoon ahmad ap divorce mujhe london bhijwa sakte hai me tayar hu."






Ye kehne ke baad wo wahan ruki nahi thi aur mamoon ka chehra dhua dhua ho gaya tha wujud ke jangal me wehshato ne sar utha liya tha dil aur ruh zakhmi parinde ki tarah jism ke pinjre me sar patakh rahe thai fad fada rahe thai.






"Arey koi mere rehman ki nishani ko rok le mamoon tu kyu aisi pyaari ladhki ko gawane par tula hai arey kuch bhi nahi liya usne hamse jo uske naam likha tha wo bhi loota gayi hai usse rok loo maana le mamoon tu toh bachpan me usse bohot chahta tha fir ab kya hogaya teri mohabbat ko kyu usse masoom ka dil toda tune kyu rulata raha usse bol kya lee gayi hai wo tujhe se?"




Sakeen bagam roote hue mamoon se mukhatib thi sabhi usse khafa thai aur wo , wo toh khud apne ap se khafa tha khud me chandni ke samne jaane ka hausla nahi kar paa raha tha wo kaise tamacha margayi thi uske guroor aur gusse bhare ravaiye par lehze aur lafzo par uski har soch har khayal ko usne apne ravaiye se galat sabit kardiya tha uski soch ki apne ache amaal se galat sabit kardiya tha jaise wo usse aur uss ki mamma marhum noor fatima ko samjhta raha tha wo dono uske bilkul ulat nikali thi, wo bohot azeem aur buland thi aur mamoon ahmad ko gehrayiyo me dubte hua mehsoos kar raha tha sharminda ke boj tale uska sar jhukta chala gaya tha nazar me uthne ki takat hi na reh gayi thi.






Ek khol sa khud pe jo chadha rakha tha maine uss shokh ki baaton ne usse todh diya hai nahak garajta tha, barasta tha me uss par rukh uska mohabbat ne ab modh diya hai.




chandni muskurane lagi Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz