next morning

166 1 0
                                    

"Grand mom! "

"Main park chali jaun ."

Haveli ke bahar bohot achi jagah hai , agle din chandni ne sakeena begam se pucha .

"Chandni, tum baagh me jaogi toh heran reh jaogi . Wahan gulaab ke phool ke naye naye rang hai , itne phool hai ki dekh kar dil khush ho jayega tumhara ."

Sakeena begam ke bajaye mahin ne jawab diya .

"Really , fir toh ham abhi jayenge ,Chalen aapi ! Ham jayen grand mom ?"

Wo khush hokar muskurate hue boli aur jane ke liye khadi hogayi .

"Haan haan jao beta , lekin zubeda ko apne saath le jana , akele na jana . "

Sakeena begam ne usse ijazat dete hue kaha aur sath hi zubeda ko awaaz de di , wo doodhi chali ayi thi .

"Ji begam sahiba !"

"Dekh , chandni bibi ko apne baagh ki ser karwa la , zyada dur jane ki zaroorat nahi hai , kareeb ki zameen bhi dikha dena baki mamoon dikha layega."

Sakeena begam ne zubeda ko hidayat di .

"Thik hai begam sahiba , chalen chandni bibi ?"

"Mahin aapi ! Aap bhi chale na ."

"Nahi chandni , tum jao mere sar me dard ho raha hai me zara aaram karugi ,please tum mind na karna ."

Mahin ne sanjdeegi se kaha magar jane kyu chandni ko yun mehsoos hua ki wo uske saath bahar jana hi nahi chahti isliye bahana bana rahi hai .

"Okay as you wish ."

Chandni ne zabardasti muskurate hue kaha aur zubeda ke sath haveli se bahar aagyi ,wo baagh me khoob ser karne ke baad mamoon ki zameeno ke sath sath chal rahi thi jahan kheto me trackter se hal chalaya jaa raha tha .

"Rahim baksh, wo ladhki kon hai aur idhar mamoon ahmad ki zameen par kya kar rahi hai ?"

Sikander bakht ne apne munshi se pucha , tabhi uski nazar dur khadi chandni par jam si gayi .

"Huzoor, apko nahi pata ,wo haveli walo ki mehman hai , vilayat se ayi hai aur rehman ahmad ki beti hai ,kuch yaad aaya huzoor !"

Rahim baksh ne kuch yaad dilane ki koshish ki thi .

"Haan rahim baksh , bohot kuch yaad aa gaya balki sab kuch yaad aa gaya , toh ye rehman ahmad ki beti chandni ................ maza toh ab aayega , lagta hai mamoon ko meri baat samajh aagayi hai jabhi toh yeh ladhki yahan nazar aarahi hai .

Sikandar bakht ne chandni ko dekhte hue hontho par tanziya muskurahat sajah kar kaha .

"Zubeda, yeh kon aadmi hai jo hame itne gor se dekh raha hai ?"

"Zubeda, yeh kon aadmi hai jo hame itne gor se dekh raha hai ?"

Oups ! Cette image n'est pas conforme à nos directives de contenu. Afin de continuer la publication, veuillez la retirer ou mettre en ligne une autre image.
chandni muskurane lagi Où les histoires vivent. Découvrez maintenant