Part 12

16 1 0
                                    

Sunny wattan wapis aty he bohat masruf ho gaya tha, elections ko sirf 10 din reh gaye thy. Us k leye yeh din wabaal e jan thy. Us k paas Zarri se baat krny aur milny ka bhi waqt na tha. Bila aakhir election Wala din a chuka tha. Subha polling k shuru hoty he kafi gehma gehmi thi. Zarri ne bhi apna vote Sunny k haq me dala. Sham ko ginti k baad nataej ana shuru huy jis me Malik Altamash Raza ne maidan maar liya tha. Wo bohat khush tha, intehai khush. Malik sahb bhi apni nishast bachany me kamyab huy. Har tarraf say Mubarakbadi ka silsala bandh gaya. Sunny ka phone musalsal engaged ja raha tha. Malik sahb ka hujra logon se bharra hua tha. Zarri Sunny k phone ka intezar karty karty so chuki thi. Agly kuch din Sunny bohat masruf raha tha. Usy Zarri ka zara bhi khayal na aya tha.
Zarri ko ajeeb waswason ne ghair liya tha. Mujhy ab phone nhi karain gay, ab mujhse har naata tor dain gay, sobai assembly k rukun jo muntakhib ho gaye hain. Ab to mujhse har raabta khatam kar dain gay. Usy bohat bury bury khayal aa rahy thy.
Sunny subha 5 bajjy uth chuka tha, wo bohat khush tha, aj usne hallaf laina tha. Wo 11 bajty he assembly pohanch gaya. Saary arkaan ne hallaf liya aur aik dusry ko mubarak di. PakhtunKhwa Assembly ka ijlas multwi ho gaya. Usman Noor sahb in se milye! Yeh Malik Qasim Raza k sahabzaady hain Malik Altamash Raza. Nice to meet you beta! Ap k abba to bohat kamyab siyasastdaan hain, hum umeed karty hain ap bhi unhi ki tarha kamyab raho gay, milny milaany k baad Sunny gari me betha. Driver ne gana chlaya diya jis k bol mashur kun thy. 'do piyase dil aik huy hain aisy, bichrain gay ab kaisy' yeh bol sunty he usy kisi khubsoorat ehsaas ne aa ghera. Usy ail dam se he khyal aya tha k koi kitni shiddat se us ka intezar kar raha ho ga, jisy wo pichly aik maheeny se bilkul bhula hua tha. Us ne driver ko utarny ka kaha aur khud gari drive karta hua Matni ki raah ho liya. Wo janta tha k shikwon ka aik samandar us ka muntazir ho ga.
Darwazy par dastak hui to Bi-jan ne darwaza khola aur usy mubarakbaad dee. Zarri ka puchty huy wo aj pehli baar Bi-jan k he kamry me betha tha. Us k hathon me kuch tahaef aur mithai k shopping bags thay jo k Bi-jan ne maiz par rakh diye thay. Beta Zarri abhi tak kaam se loti nhi hai, tum us ka intezar karo bas thori der tak ati he ho gi. Sunny ka phone musalsal bajj raha tha jis pr kabhi to Sara aur kabhi us k jan'ny walon ki calls a rahi theen. Lekin wo kisi ki call nhi uthana chah raha tha. Bilaakhir aik taweel intezar k baad darwazy par ghenti bajji. Bi-jan ne darwaza khola aur Zarri k hathon se files le kar us k kamry ki taraf barh gaeen. Zarri ne ghar k bahar kharri gari par bilkuk dheyan na diya aur thakki haari bamushkil darwazy tak pohnchi. Beta tum kapry badal lo, me tumhary liye khana laga deti hun. Ni Bi-jan me khana kha kar aai hun bas me fresh ho kar ati hun. Bi-jan ne usy na btaya tha k Sunny bhi aya hua he. Wo fresh ho kar bahar aai to kaaly rang k kapron me bohat kehar dha rahi thi. Wo apny sofay par aa kar bethi he thi k us k kamry k darwazy par dastak hui. Usne chonk kar dekha to aik wajeeh aur khubsoorat insan ko apny samny kharra paya. Wo hairat se usy dekhy ja rahi thi. Wo us k nazdeek bharha tha k Zarri ne apna munh pher liya. Wo ab us k bilkul samny aa betha tha. Me janta hun tum mujhse naraz ho lekin me kya karta? Kaam ka itna bojh tha mery ooper k me khud k leye bhi waqt nhi nikaal paya. Zarri ne zyada muzahmat na ki aur foran he maan gai. Heartiest congratulations to you Sir! As you are elected as a member of the prestigious Assembly. Zarri ne bohat garmjoshi se hath milaty huy Sunny ko mubarakbaad dee. I'm honored ma'am. I owe this.
Sunny bahar parri mithai aur tahaef laya jo usne aty huy Zarri k leye khareedy thy. Usne bohat pyar se us ka munh meetha krwaya tha aur phir us ko bracelet pehnany laga. Wo bohat khush thi. Sunny ka phone aik baar phir bajja. Screen par Sara naam namudaar hua jo k Zarri ne daikh liya tha aur dekhty he afsurda ho gi. Sunny ne uski call katny k baad aik nazar Zarri ko dekha jo yak dam ranjeeda ho gai thi. Don't worry me sirf tumhara hun, sirf tumhara ok. Zarri ne halky se sarr hila diya.
Sunny as of now you are established! Tum shadi kar lo. Baba me ap ko pehly bhi bata chuka hun k me shadi abhi nhi kar sakta.kyun shadi nhi kar sakty? Aakbir Sara kab tak tumhara intezar kary gi? Baba me us se shadi nhi karun ga. Sunny kya bakwas kar rahy ho?? Tum apny hosh o hawas me to ho na?? Malik sahb eshtehal me aa gaye. Han baba me hosh me hun aur sirf usi se shadi karun ga jisy me chahta hun. Sunny! Malik sahb ki awaz me tarrap thi. Me tumhen aisa hargiz nahi karny doonga. Tum Sara k ilawa kisi aur se shadi nhi kar sakty. Agar tum ne aisa kiya to tumhary baap ka business band ho jaye ga. To kya ap apny business ko bachany k liye apna beta qurban kar daingy?? Kya mery koi ehsasaat nhi hain?? Me hamesha ap ki baat ko tarjeeh deta raha hun lekin yeh faisla meri zindgi bharr ka he jo mujhy he le leny dijye. Malik sahb ne Sunny par hath utha diya. Tum woh karo gay jo me kahun ga.
Sunny ghussy me apny kamry me challa gaya aur pury kamry me tehalny laga. Usne bohat sochty samjhty huy Zarri ko phone kiya aur usy sari surat e haal se agah kiya. Altamash ap please koi aisa qadam na uthaye ga jo baad me ap k leye nadamat ka bahis banny. Ap abhi bohat ghussy me hain, Pani pijye aur thandy damagh se sochye. Wo ap k baap hain, ap k leye behtar he ho ga. Zartasha tum pagal ho gai ho kya?? Me tumhary ilawa kisi aur k bary me sochny ko bhi kufar samjhta hun. Tum meri pehli aur akhri muhabbat ho. Me itni jaldi hathyar nhi daal sakta.

میری ضرورت صرف تم Where stories live. Discover now