Zarri Sunny ki shadi k baad bohat toot phoot ka shikaar ho gai thi. Wo apny ap ko aziyyat deye ja rahi thi. Wo Matni se Budhbher shift ho gi. Usy Sunny k kahy huy alfaz chubh rahy thy. Tumne aisa kyun kiya mery sath Altamash Raza? Mene to sidqy dil se tum se mohabbat ki thi, tumhen apna mana tha lekin tum ne mujhy kisi k to kya mery apny qabil bhi nhi chora. Tumne mery kirdaar par ungli uthai, mujhy daghdaar kar diya tumne. Aisa kyun kiya tumne? Wo har pal usy yaad kar k roya karti thi. Aakhir kab mujhy apny hissy ki khushyan naseeb hongi?
ملیں گی ہم کو بھی اپنے نصیب کی خوشیاں
بس انتظار ہے کب یہ کمال ہوتا ہے
Sunny aur Sara k drmyan ikhtlafaat barhty ja rahy thy. Sunny ko Sara ka apny doston se milna aur raat ko dair se ghar ana bilkul na bhaata tha. Sunny me tumhari mulazim nhi hun, tum yun mujhy qaid nhi kar sakty. Agar tumhen meri social life se msla he to please mujhy azaad kar do. Mujhy talaq de do. Me tumhary pinjary me qaid nhi ho sakti. Sunny bohat pareshan tha, wo apni zindagi me bohat zyada disturbed tha.Tum? Tum wohi ho na jo Zartasha k sath us din.....? Haan me wohi hun. Sunny ne Fahad ko gareban se pakkar liya tha. Kya rishta he tumhara us se? Kon se kartut karti phirti thi woh tumhary sath? Altamash sahb ap apni hadd me reh kar baat kijye. Ap ko mujhy jo kehna hai ap kahye lekin Zarri k kirdar par ungli mat uthaye. Oho barri mohabbat aur hamdardi jaag rahi hai apni mashuqa k leye. Altamash! Tum apni hadd se barh rahy ho..tum mujhy intehai qadam uthany par majboor na karo.
Tumhen btana ho ga k us bewafa aur be-haya larki se tumhara kab se muhashqa chl raha he? Sunny ikhlaqiyat ko bilkul radd karty huy Fahad se sawal kar raha tha.
Tum hoty kon ho mujh se yeh sawal puchny waly? Fahad is baar shadid ghussy ki halat me bola tha. Me woh hun jis se tumhari mashuqa ne ishq laraya, jis ko apny jhuty pyar me phansaya. Wah Altamash Raza wah! Mujhy afsos ho raha hai k Zarri ne tum se mohabbat ki, tum to us ki nafrat k qabil bhi nhi ho.
Fahad ka ghussa bharta ja raha tha. Arry me bhai hun us ka, us k mamun ka beta hun. Sunny ko yoon lagga jaisy koi pahar us par toot parra ho. Aur jo tum ne hamary pakeeza rishty ko ghalat rang diya. Main lanat bhejta hun tum jesy ameeron par jo aisi gandi aur ghatya soch k maalik hon. Fahad ko wahan se gaye huy aik ghenta beet chuka tha, Sunny abhi bhi wahin khrra tha. Usy apni kahi hui baten yaad aany lgeen. "Ab mujhy phone ya message karny ki jurat bhi matt karna". Sunny yeh tu ne kya kar diya? Us ko kho diya jo tujhy sab se zyada chahti thi, jo sirf tery naam ki mala jhapti thi. Sunny ko khud se nafrat hony lagi thi.Zarri sara waqt usi ko socha karti thi. Usy us k sath bitaey pal yad aty thy, wo khud se haar gi thi. Us ne pehli baar kisi ko itna chaha tha lekin shayad wo us k naseeb main nhi tha.
کھو گئے انداز بھی، آواز بھی، الفاظ بھی
خامشی ڈھونڈنے لگے ہیں میں،محبت اور تم
Sunny me aur tum mazeed sath nhi reh sakty, tum please mujhy azad kar do. Sunny ne is rishty ko bachany ki har koshish ki lekin wo nakam ho gaya. Sara ne khula le liya. Sunny ki zindagi bohat veeran ho chuki thi. Usy Zarri ki bohat yaad aa rahi thi. wo Zarri se milna chahta tha lekin janta nhi tha k wo kahan hai.Zarri ki tabiyat achanak kharab hony ki wajha se Bi-jan ne usy foran hospital pohnchaya. Wo nervous breakdown ka shikaar hui thi. Uski tabiyat bohat bigarti ja rahi thi. Sunny Rubina begum ki reports leny hospital aya tha. Us ki nazar Bi-jan par prri. Wo dorta hua un k paas aya. Bi-jan ap yahan kya kar rahi hain? Aur ap itna ro kyun rahi hain? Beta woh Zarri...Bi-Jan bohat ruk ruk kar boly ja rahi theen. Sunny ko shock lagga, kya hua hai Zarri ko? Kidhr hai Zarri? Beta jab se usne teri shadi ka suna hai tab se wo behaal hui v hai. Wo bohat bemar rehny laggi hai. Doctors kuch bata nhi rahy. Bi-jan ne sari dastaan usy aik he pall me suna dee. Ap please bethiye Bi-jan. Zarri ko kuch nhi ho ga. Sunny doctor se Zarri ki halat k baary me daryaft karny lagga. Dekhyie Malik sahb patient ko bohat zyada stress hai, koi baat unhen andr he andr khaye ja rahi hai. Agr un ko mazeed stress hua to un ki jan bhi ja sakti hai.
Sunny pareshani k aalam main yahan wahan tehal raha tha. Doctors ne Zarri k hosh me aany ki naveed sunai. Sunny Zarri se milny andr gaya to Zarri ki ankhen band theen.
Wo us k paas betha aur us ka hath thaam liya. Zarri ne lashahoori andaz me usy pukara tha,Altamash! Wo apny ansuon ko zabt na kar sakka aur dheemy andaz me rony lagga. Zarri ne ankhen kholi to Sunny ko apny rubaru paya. Aap aa gaye? Mujhy yaqeen tha ap zarur ao gay. Me Bi-jan se kehti thi k wo mery baghair nhi reh sakty, woh aen gay. Sunny ne apny hath usnk samny jor diye, Khuda k leye mujhy muaf kar do Zartasha, me tumhara mujrim hun, me ne tumhary kirdaar par shakk kiya, tumhen ghalat samjha, apni mohabbat ko he khud se door kar diya. Nhi Altamash, ap mujhse muafi matt mangiye. Allah Pak k har kaam me maslehat hoti hai, usne hmari kahani kuch aisy he likhi thi. Sunny ab us k dono hath thaam kar unhen baari baari chumny lga.Sunny! Dekhyie ap ka beta kitna shararti hai. Maa ko kitna satta raha hai. Zarri Zayan Malik ko sulany k jatan kar rahi thi jo k apny baap se alehda nhi ho raha tha.
Sara ko talaq deny k baad Altamash ne bohat sadgi se Zartasha se nikah kiya tha. Unhen apni adhuri khushyan mil gai theen jin ka un dono ne hamesha khwab dekha tha.
Junior Altamash bilkul apni maa par gaya tha, wohi shakkal o surat, wohi gaal par ghera sa dimple. Altamash Zayan ko bohat chahta tha, usy khud se alag nhi karta tha.
I love you Altamash, I'm proud to have you in my life. Zarri ne bohat khubsurat sham me Sunny se apny pyar ka izhar kiya tha. Love you too Zartasha, you are everything to me. Sunny ne us ko apni bahon k hassar me lety huy bola tha.
Mjhy andaza na tha k tum mujhy aisy milo gay, zindagi itny imtehan k baad mujhy tumhary hawaly kary gi. Kal bhi meri zarurat sirf tum thy aur aj bhi meri zarurat sirf tum.
The End
YOU ARE READING
میری ضرورت صرف تم
Romanceکچھ کہانیوں دل کو چھو جاتی ہیں۔ مجھے یقین ہے کہ میری کہانی بھی آپ کے دلوں کو چھوئے گی