Part 1

105 1 0
                                    

Khirkyon se suraj ki shuhaen us k chehry ko bht haseen dikha rhi theen. Wo sanwly rng ki khubsurt lrki thi jis k gaal k daen janib aik dilkash dimple prta tha jo us ki shaksiyat ko nikharta tha. Zarri,Zarri uth jao beta, kya college nhi jana tmne? Uth jao amma ki jan, kitchen me kaam krti hui safiya begum Zartasha ko jgany k lye chilaey ja rhi theen. Zarri ne bistar chora aur college k lye tyar hona shru kr diya. Nashty ki maiz pr Safiya begum apni do betiyon Zartasha aur Isma aur aik bety Hamza k sath mojud theen. Zartasha Masters k final year k akhri din enjoy kr rhe thi jab k Isma abhi matric k exams ki tyarion me msruf thi. Aur Hamza sahab abhi 8 class me thy. Safiya begum intehai mehnati khatun theen..apny shohar Iqbal khan k jany k bad unhon ne apny bachon ko bohat mehnat se pala.

Yar tu kyun itna pathar dil hai?? Kya tjhy zndgi me adventure nhi chahye..itny barry baap ka beta hoty huy bhi tera social circle itna mehdud kyun he? Gaari chlaty huy Hassan ne Bohat he chup bethy huy Malik Altamash Raza se pucha. Wo wazeer e khazana Malik Qasim Raza ka beta tha jo k apny gaon ka bohat he taqatwar insan tha. Malik sahab intehai narm tabiyat k maalik thy. Malik sahab ki pehli biwi ki mot jb waqia hui jb Altamash ne is dunia me ankh kholi. Malik sahab ne bety ki parwarish ki khatir dusri shadi shehr ki mashoor fashion designer Rubina anwer se ki.

Zarri tjhy pta he aj mjhy dekhny kch log ghar pr a rhy hain..khushi se nihaal Haya Zartasha ko sari kahani sunaey ja rhe thi jab k Zarri blkul bhi apni dilchasbi zahir nhi kar rhe thi..

میری ضرورت صرف تم Donde viven las historias. Descúbrelo ahora