Fasl-e-Muhabbat

897 44 56
                                    

Tooba ki ankh mahool mai paida hoa irtash sa khuli.Hawa mai ajeeb si mehek thi.Usna mahool mai us khas dhun ko mehsoos kiya.Wo dhun jo hr cheez ko apna hisar mai liya thi.Hr cheez ko apna jado mai madhoosh kiya thi.Kiya is sa khubsoorat ahsas kuch or ho skta tha? Shaid ni.Wo aik naimat ki tarha thi.Han us sa baarh kr koi naimat ni ho skti
"Aur tum uski kon kon si naimtoo ko jhutlao ga....."
Us na ankhain khooleen to manoos si khusboo na usa bhi apna hasar mai la liya.Ya khushboo ah!!!!!
Wo teezi sa bed sa utri aur khirki ka samna ja khari hoi.Khirki sa chooti chooti boondain chan chan kr us par aa rahi theen.Barish ho rahi thi.Han ya barish hi thi jo kisi naimat ki tarhan apni rehmat hr jaga beekhara hoa thi,jiska sehar sa koi ni baksha hoa tha.Han! Ya barish hi to thi jo apna sath bht sa paigham lai thi.Bht sa paigham bahar ka,khushi ka,muhabbat ka,dosti ka,salamti ka or sb sa barh kr ishq ka....
Is barish na bht si zindagion ko bht si naimtoo sa malamal krna tha
Lekin kon Jana....
Akhir kon Jana....
Is barish ki dhun na usa madhoosh kr dya tha.Han! Barish ki dhun hoti ha.Goor sa suna jai to ya dhun sunai daiti ha.Kabhi ya dhun muhabbat mai sunai daiti ha.Kabhi dil ka tootna ka bad.Aksar deewana isa sun laita hain.
Kisi ka lya ya dhun dunya bhar ki moosiqui ki zyada khoobsorat hoti ha ka wo kai kai ghanta is dhun ko bina palak jhapka sun skta hain......
Or kisi ka lya ya barbadi ka paigham hoti ha.Soor e israfeel ki manind ka wo isa sunta hi kano pr hath rakh laita hain ka kahin ya awaz unka asaab pr hawi na ho jai ka kahin wo apna hosh na ganwa baitha ka kahin wo is awaz ko sunta hi moot ki gehri khai mai na ja girain.......
Uski hazel green eyes mai chamak thi wahi chamak jo hamaisha barish ko daikh kr hoti thi.Wo ankhai moonda us dhun ko sun rahi thi.
Lekin usa muhabbat to ni thi to usa ya dhun kaisa sunai da rahi thi?
Uska dill to ni toota tha to wo is dhun ko kaisa mehsoos kr rahi thi?
Han!! Shaid wo dewaani thi.Dewaani hi to thi jo apni dunya mai magan thi.Dukhoo sa benayaz.Apni alag duniya ki shehzadi..... Or ya bat kuch galat bhi ni thi pari to wo thi jisa apna shehzada ka intazar tha......
Ya thi Tooba Nayaz.Han yahi to thi.Jo wo duniya ko dikhati thi rude,btameez or mun phat wo shaid duniya ko dikhana ka liya hi thi.Tooba Nayaz to ya thi apni alag duniya basai hoa, sub sa bht muhabbat krna wali or apni muhabbat ki muntazir.Yeh tha Tooba Nayaz ka wo rukh jisko wo dunya sa chupa kr rakhti thi.
Usna kisi khayal ka tahat ankhain kholeen.Uska laboo pr aik khoobsorat si muskurahat thi.Wo apna khayal ki anjam dahi ka liya washroom or uska sath mulhiqa dressing room ki taraf barh gai.
Wo tayar ho kr bahar ai to usna black tights pr red colour ka top pehn rakha tha.uska lamba seedha baal aj kisi kism ki bandish mai ni tha.Makeup sa aari us sada chehra pr bala ki masoomiyat thi.Wo apna kamra sa bahir nikal kr garden mai aa gai.
Usna ankhain band kr ka apna bazo asmaan ki taraf waa kiya or barish ki nanhi boondo ko apna upper raqs krna diya.Lekin garden mai usa koi khas maza ni aa raha tha is liya wo ghar sa nikal gai.Wo paidal chal rahi thi or barish ki nanhi nanhi boondo sa mehzoz ho rahi thi.
Wo ghar ka pass mojood park mai aa gai.Barish ki waja sa koi park mai ni tha ab hr koi uski tarhan dewana thori tha.Ya dewaangi to qismat walo ko naseeb hoti ha.Wo pori tarhan bheeg chuki thi lekin usa koi parwah ni thi.Kapra geela hona ki waja sa jism sa chipak gai tha is liya usna aik chadar apna gird lapait li thi.Wo chalti chalti wahan chali gai jahan usa sakoon milta tha......

Wo aik phoolon sa bna hoa mor tha jo aam dino mai to khubsoorat lgta hi tha lekin aj barish na uski khobsoorti ko dobala kr dya tha.Jb barish ka choota choota katra un phoolon pr girta to dill krta waqt tham jai or ap bs barish or phoolon ka is khoobsorat milan ko daikhta rahain.Lekin waqt kahan rukta ha.Wo us waqt ko hamaisha ka liya rokna chahti thi.Aik bachkana si khawahish thi jo pori ni ho skti thi.Hamaisha ka liya ni kuch dair ka liya hi sahi.Uska dill mai aik or anokhi khawahish ubhri.Usna dill ki awaz pr labbaiq kaha or wahin zameen pr dawaznoo ho gai.Aj usa kisi bat ki fikar ni thi ka wo itna bara businessman ki beti aisa zameen pr baithi ha uska lya bs kuch aham tha to wo manzar......
Kafi dair guzar gai wo aisa hi dunya jahan sa benayaz us manzar ko daikhti rahi ka achanak sar ka upper sa hoti koi cheez uski good(lap) mai aa kr giri or uska sakta toota.Wo aik football thi.Usna peecha mur kr daikha to aik 9 10 saala larka uski tarf bhaga aa raha tha.Yaqeenan ya uski ball thi or is society mai uski tarhan or bhi deewana tha.Barish ki waja sa uska mood kuch acha tha is liya uska zehan mai aik shararat ubhri.
Us larka na aa kr hanpti hoi awaz mai kaha
"Api MRI ball... plzz da dain"
Tooba na usa daikha us bacha ka chehra pr intaha ki masoomiyat thi or wo bacha ankho mai masoomiyat liya us sa mutalba kr raha tha.
Usna apni muskurahat chupai
"Lekin ya to meri ha"
Larka na heerat sa mun khula
"Haaaw haiii! Kitna jhoot bolti hain ap ya koi apki ball ni ha meri ball ya ya daikhain mera name bhi likha ha is pr"
Wo bacha ungli ka ishara sa bata raha tha.Tooba na ball ko palta jis pr block letter mai SAADI likha tha.
"I m sorry Saadi lekin ab ya mera hath mai ha is liya ya ab mri ha"
Saadi na nagawari sa kaha
"Daikhain agar ap ka pass ball ni hai to mai apko la dn ga lekin ya mri ha ap mjhy wapis karain U know u r spoiling my match"
Uski naak gussa sa laal ho gai.Tooba ko uska masoom mashwara pr bht pyar aya
"Aik shart pr dn gi"
Tooba na bhi atal andaz mai kaha
"Meri cheez mra liya hi condition bhaee acha zamana aa gya ha khair bolain apni shart"
Usna afsoos sa sar jhatakta hoa kaha.Tooba ko uski bat pr bht hansi ai
"Agar ya ball wapis chahya to mjhy hi sath khilana hoga"
Bacha ka chehra khushi sa tamtana laga
"Theek ha done" us na foran sa apna peecha awaz lagai "guyz apii....
Usna apni bat adhoori jaisa kuch yad aya to bola
"Api apka good name kiya ha?"
"Tooba"
"Guyzzz tooba api bhi khailain gi"
Or uska hath pakar kr usa apna sath park ka dosri tarf la aya jahan baqi 6 bacha jin mai kuch us sa choota or kuch us sa bary lg rahy thy uska intazar kr raha tha sath mai aik larka bhi tha Jo dosri tarf mun kiya qadra door khara phone pr baat kr raha tha.Fasla ki waja sa uski awaz ni aa rahi thi.Saadi na usa sb sa milwaya to usa pta chala ka in mai sa sirf aik larki uski behn ha baqi cousins hain.Saadi usko bacho ka pass chor kr us larka ka pas gya or usa kuch btaya shaid ya ka ball a gai ha or ab wo game dobara sa shoro kr skta hain.Us larka na Saadi ki bat sun kr phone band kiya or mura........
Woh Hadi Murtaza tha.Han wo Hadi hi tha.To wo is society mai rhta tha.
Tooba usa daikh kr muskurai or usa shanasai ki jhalak di.Hadi na bhi usa daikh kr hath hilaya.Or wo uska pas aya
"Hello miss angry....
Usna apni zuban danto mai dabai.
"Sorry Miss Tooba"
Tooba uski is harkat pr hansi
"Hello Hadi or ap mjhy sirf Tooba bhi kh sakta hain"
Saadi heerat sa daikh raha tha
"Ap dono aik dusra ko janta hain?"
Hadi na Tooba ko aik nazar daikha or bola
"Hn... Shehzada bht achi tarhan"
Or aik thandi ah bhari
Uski ankhoo sa sharat wajeeh thi is lya Tooba hansi
(Aj khair hi ho bra hans rahi ha mood bhi acha ha or mjh sa... mjh sa.. achi tarhan sa baat kr rahi ha)
Hadi na socha phir bola
"Tooba ap yahan kaisa kya Saadi na koi btameezi ki ha kya?"
Saadi na usa ghoora
Tooba na hath sa Saadi ka Baal bigara
"Ni ni bhae Saadi to bht acha bacha ha.Mai to ap logo ka sath khailna ai hn agar kisi ko problem na ho to"
Usna hadi ki taraf aik jatati hoi nazar dali
"Zah-e-naseeb zah-e-naseeb hm apni khush qismati samjhain ga ka muhtarma Tooba Nayaz hum jaisa nacheez logo ka sath khailain"
Tooba ka choonka mood acha tha is lya usna kuch na kaha
Or uska bad game shoro ho gya Tooba ka bal khula hona ki wajah sa bar bar uska chehra pr aa raha tha or chadar ki wajah sa us sa sahi tarhan sa khaila ni ja raha tha
Is lya wo thori dair bd hi bench pr jaa kr baith gai or unka khail sa mehzooz hona lagi.
Kuch dair bd usna Hadi ko bhi usi tarf ata daikha.WO aa kr bench pr baith gya

"Ara ap kion gai khilain na!"
Tooba na uska baithta hi us sa kaha
"Ni yr thak gya hm to kafi dair sa khail raha hain ap abhi ai hain"
Phir usna pocha
"To ap Model Town mai rhti hain?"
"G or ap bhi Model Town mai rehta hain?"
"Ni ni mai to Defence mai rehta hn yahan to meri khala rhti hain kl aik kam sa aya tha yahan to khala na jana ni dya or phir subah ya bacha mjhy yahan la ay"
WO samna bacho ko daikh kr muskura raha tha
Uski ankhoo mai aik ajeeb si chaamak thi aisi jaisi choudhween ka chand mai hoti ha aisi jaisa shifaf pani mai hoti ha aisi jaisa mooti mai hoti ha pure n deep.Koi to kashish thi jo tooba ko uski tarf kheench rahi thi lekin wo kya tha jisa wo smjhna sa qasir tha
"Waisa aik pocho mind to ni karain gi"
Hadi na darta darta kaha
"G pochain"
Tooba ko uska lehja mashqooq sa lga
"Ap us din itna gussa mai theen agla kafi din uni mai bhi aisa hi attitude mai or rudeness mai raheen or aj aik dam sa itna fresh or light mood itni khushguftari blkul alag side ha apka"
Tooba na heeran ho kr usa daikha ya to wo had sa zyada out spoken tha ya usa khud pr bht zyada aitmad.Koi or hota to wo usko achi tarhan sunati lekin wo khud hairan thi ka wo us sa acha tareeqa sa bat kr rahi ha
"Darasal uni mai bht log hota hain aisa jin sa us rawaiya mai bat krni prti ha lekin normally mai aisi hi hnn pagal"
Wo kya kr rahi thi WO kya kh rahi thi WO kion hadi sa aisa bat kr rahi thi WO tha kn itni softly to WO sirf apni family sa baat krti thi
WO muskuraya
"Waisa mjhy to ya pagalpan ni lgta yahi to zindagi ha barish ki boondo ko mehsoos krna hawa ka aga majbooti sa khara ho jana phoolon sa batain krna chand chandko chand ko daikhna bacho ka sath khailna sardi kaa moosam mai ice cream khana"
wo lagatar boli ja rahi thi ka Hadi lagatar usa daikhta ja raha tha.Tooba ko apna ap pr bht gussa aya wo kya Hadi sa teenagers jaisi batain kr rahi thi
"Ara ap khamosh kion ho gai kafi achi batain krti hn ap sorry to say lekin mai apko bht kharoos koi changeez khan type ka smjhta tha lekin ap to blkul mri tarhan hain life ko enjoy krna wali cool warna mjhy to ap aatish fishan pahar lgti theen"
Wo heeran thi ka usa gussa ni aa raha tha
"Achaa g to ya socha jata ha mera bara mai bri hi koi fazool soch ha apki afsos hoa sun kr"
or wo dono hans diya
itna mai Hadi ka mobile ring kiya usna phone uthaya jahan aga sa khub dant pari
"Chalain ab mai chalta hn in sb ka maa baap danda la kr hmara intazar kr raha hain aj to bht honi ha Allah hafiz miss Tooba"
Tooba hansn lagi
"Ap mjhy sirf Tooba kh skta hain mra friends mjhy Tooba hi khta hain takaluf ki zaroorat nahi"
wo bat smjh kr muskura diya
"ok Allah Hafiz Tooba uni mai milta hain"
"Allah Hafiz Hadi"
or phir wo bacho ko lai kr wahan sa chala gya.Tooba ka labon pr aik dil faraib muskurahat thi.Unka jana ka bd wo bhi ghar chali gai
To dosti parwan charh hi gai jahan dil aik jaisa hn wahan dosti parwan charhta dair ni lgti.
Unha kon batay ka ya dosti jald hi aik kacha dhaga ki manind rishta mai badlna wala ha
Kon batai ka ya barish inha muhabbat ki barish mai bhigo chuki ha
kon batai ka aga zindagian badlna wali hn
kon btai ka inha abhi kis dor sa guzarna ha
Akhir kon batay
_____________________________
Aoa soo how r u all?
sorry mai busy thi is wajah sa ep jaldi post ni kr pai
Actually maai abhi hi busy hn exams hain mera ya sirf kuch readers ka bar bar khna pr likhi ha.I know ep qadra chooti ha or itni achi bhi ni ha lekin mai kya karon seriously time ni mil raha
ap sb mra liya dua karain ka mra exams acha hn
n ya story ap sb ki bhi ha agar apko koi scene add karwana ha ya koi achi bat ya kuch bhi apka pas ha to mjhy instagram pr dm karain
I.g rameenasif2001
n vote n comment lazmi karin chaha apko acha lga ya ni
Salam!

Mah-e-Kamil (The Full Moon)Where stories live. Discover now