Party

593 66 5
                                    

Us din ke baad voh dono 2 months tk ek dusre se khi nhi mile.. dono me hi ek dusre ko kuch dino tk alag alag jagah dhunda pr phr bhi khi bhi mil nhi paye...

Avni abhi bhi roz ki tarah apni dairy likhti thi.. pr voh ek page jispr us khaas din.. Jis din voh dono mile the us din ki baatein , apni feelings ko likha tha.. voh usne dubara kbhi khol kr nhi dekha, voh baatein use uski yaad dilati thi jo shayad use dubara mile na mile..

Pr in 2 months me Avni ki zindagi ek nayi raah, ek naye bhaavon (feelings) me doob chuki thi.. usne kisi ke PYAAR kr liya tha..
jo shayad asliyat me pyaar nhi tha sirf ek chah thi us insaan ke saath rehne ki jo ki use kuch choti choti khushiyan deta h..

Vidyut (you will get to know more about his character here as you read it further) us din Avni ko college se lekr ek party me lejane vala tha.. Avni bhi khush thi yhi soch kr ki voh aaj uske saath thoda zyada time reh paegi...
pr Vidyut Avni se bht alag tha.. uske bohot saare dost the.. use parties main jaana pasand tha.. voh unke college ki Rashtriya Vidhya sangh (it's one fictional party for students elections held in colleges) ka main leader tha aur dusri party Akhil Shiksha Parishad (the second party) ka rival.

Voh shaam ko 4 baje college pr Avni ko lene ke liye pohoch gya..
Usne Avni ko call kiya aur Avni 10 min baad uske paas aa gyi..

Vidyut: itni derr lg gyi tumhe.. smjh nhi aata mujhe jaldi jaana h vahan..

Avni  uski ye baat sunte hi udaas ho gyi thi.. usne socha tha ki aaj shayad voh usse dekhkr khush hoga.. uski thodi tareef karega.. kyunki Vidyut me dekha nhi pr usne aaj uske pasand ke colour ke hi kapde pehene the.. voh chup chap sorry bolkr car me beth gyi, aur voh dono vahan se chle gye.

Voh unke college ki annual party thi jo ki college ke saare students hi khud arrange krte h.. Voh vahan pohoche aur Vidyut car se nikl kr bina Avni pr dhyaan diye turant vahan se chla gya.. Avni uske aise krne se bohot dukhi thi pr voh use jaanti thi voh aisa hi tha aur Avni apna pyaar khona nhi chahti thi isliye voh fataft apne aanson poch kr andr chli gyi..

Andar Vidyut pehle se hi kuch aur doston ke saath khada tha.. Avni jaakr uske paas khadi ho gyi.. tbhi Vidyut se milne 1 ladki  aur aa gyi.. party ka leader aur dekhne me bhi acha hone ki vajah se uske aas paas kaafi ladkiyan rehti thi.. Avni ko ye bilkul acha nhi lgta tha pr voh phr bhi chup rehti thi.. voh ladki aayi Vidyut ke gaale lgi aur use apne saath dance krne ke liye le gyi.. Avni vahan khadi ki khadi reh gyi.. uski aankhein sirf Vidyut ko us ladki ke paas khade dekhe jaa rhi thi dusri taraf voh sirf aankhon me aanson liye akele khadi thi..

Party itne logo se bhari hui thi pr voh sbse akeli thi.. thodi derr baad usne dekha Vidyut aur voh ladki nashe ki halat me vahan se hotel ke upr ki taraf jaa rhe the.. Ye sb dekhkr voh unhe dhundti hui upr pohoch gyi.. aur kayi saare rooms dhundne ke baad voh ek room me pohochi.. usne darwaaza khola aur... uske aage uski duniya khatam ho gyi thi.. un dono ko bed pr us tarah se dekhkr.. uski aankhon se aanson ruk hi nhi rhe the..
Achanak se Avni ko vahan dekhkr voh dono ek dusre se alag hue aur voh ladki jaldi se apna purse aur baaki samaan utha kr vahan se bhaag gyi.. Avni ekdum chup roye jaa rhi thi.

Vidyut apni shirt pehenta hua uski taraf aaya aur uske kandhe (shoulders) pakade

Vidyut: kya hua ?

Avni ne uski taraf dekha aur chila pdi
Avni: kya hua? Tum mujhse puch rhe ho ye.. ye sb kya tha.. tumne mujhe itna bda dhoka dete hue ek baar nhi socha mere baare me.. pyaar krti thi me tumse.. aaj tk tumahri saari galti maaf kri.. tumhe aur ladkiyon ke saath dekhkr mujhe hamesha bura lga pr tumhare liye hamare pyaar ke liye ho shayad tumhe toh tha hi nhi uske liye me chup rhi.. tumne kbhi mujhe apne saamne bolne diya.. kbhi meri feelings ke baare me nhi socha.. pr ye ab me ye bardaash nhi karungi..

Vidyut yeh sb sunkr gusse me aa gya.. voh kbhi kisi ki itni baat sun hi nhi skta tha..
Vidyut: haan kiya mene ye sb.. mera mann meri marzi.. pyaar pyaar pyaar!! Arey nhi krta me tumse pyaar hai kya tum main aisa.. me aisa hi hu agr sehen kr pau toh thk vrna nikl jao yahan se..!

Avni usse dekhti rhi.. aur aankhon me puri duniya ka dard samaye voh vahan se chli gyi.. sb kuch khatam ho gya tha.. uske pyaar me use dhoka de diya tha!

Andhera bohot tha.. pr voh akeli hi rote hue akeli sadak pr chli jaa rhi thi.. tbhi peeche se ek car aayi aur uske paas aakr ruk gyi.. car ki light se Avni ki aankhein khul hi nhi paa rhi thi.. phr usme se ek ladka nikl kr aaya......

To be continued...

———————-
Sorry for late update.. I was really busy. But here is the next update I tried to sum up vidyut's part in this chapter.. hope u like it😊
Thanks for all your love 💕
Please do vote, comment.
I will soon start my next write up which I took suggestion from you n yes it will be in English.
Enjoy reading!

Love love 💕

Diary Where stories live. Discover now