Khud se Meherbaani

23 4 2
                                    

Aaj kuch meherbaani karte hai, Chaand ko sapne dete hai,

Taaron ko gava dete hai, Yeh darwaaze band kar dete hai......

Phoolon ko rone dete hai, Kaanton ke saath samjhaate hai,

Khoobsurat-si surath ko khoobsuarat-sa seerath dete hai.......

Baaarish ke boondein yeh chhute hai, Mehsoos karke jaane dete hain,

Hawa ke jhonke bhi aate,  Ek ehsaas unhein bhi dete hain......

Kitaab ke panne yeh dekhte hain, Ek raat unhein bhi kho dete hain,

Khwaabon ke samander mein doobkar, Hamare sapne wahan chhod aate hain.......

Nazron ko taaron se naa milate hain, Chaand se chhupkar kahin gaayab ho jaate hain,

Kisi baadal ke nanhe se haath thaamkar, Khayalon mein saath uske udd jaate......

Chalo aaj kuch meherbaani hum bhi karte hain, Khud se door kahin hum bhi chalte hain,

Khayaalon ko kareeb se dekhte hain, Aansun ponchkar muskuraate hain,

Soch saare bhool dete hain, dil ko halka karte hain,

Baatein yeh dheere se aankhon se karte hain, Iss andhere ki sukoon na khote hain........

Aaj iss aasmaan ko sone dete hain, Aur hum bhi so jaate hain.....



Mehfilजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें