Banjaare...

7 1 0
                                    


Yeh raat bhi hain banjaara, iss pal yahan toh uss pal kahan....

Har shyaam ko dhalthe sooraj ke peeche aate hai, aur subah hote hi gaayab ho jaate hain.

Na rukte, na rokte. Na sunte, na kehte.

Manmarziyaan hamesha khud ke, chaahe arziyaan aaye kitne.

Aaj bhi aayega sukoon aur chain leke. Raat bhar rukega taaron ko chamkaate.

Chaand se bhi lukka-chhuppi khelega. Hawaon se bhi yeh ladega.

Par subah phir bina kahe chala jaayega.

Kal phir aayega ek aur raat. Par aaj ki raat phir kabhi nahi aayega.

Aise hain yeh banjaare, milte bas ek baar, magar uss khamoshi tak ka taseer rehta hain saath kabr tak.

Ek raat tum bhi rukoge, bina koi toke. Neend udd jaayenge bina koi churaaye.

Aur uss raat tum bhi kahoge humare zubaani........ Yeh raat bhi hain banjaare, iss pal yahan, aur phir na jaane kahan........


Mehfilजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें