Ab Kya...

6 2 0
                                    

Ab uss se bhi kya naraz hona,
Jo manane hi na aye
Ab uss se bhi kya bekhauf hona ,
Jo dara hi na paye,
Aise roz marne ki aadat ho jaye,
Jiske bina jiya na jaye,
Ab un aasoonyon ki keemat hi kya,
Jo aankhon se beh na paye,
Voh rang kaise jaanu?
Jinke kabhi didar hi na ho paye,
Voh pyaar kaise maanu?
Jo kabhi mehsoos na ho paye,
Voh yaadein hi kya,
Jin mein tum na ho,
Par aisi baatein hi kahan,
Jin mein tum aa paye,
Ab uss se bhi kya naraz hona,
Jo manane hi na aye.

Andaaz-e-dilजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें