At khanna mansion
Bebe:oyy madona....vaha neil ke lunch ka time nikal jane ke baad tu lunch leke jayegi kya...jaldi kar
Shweta:bebe..bas hogaya...sirf tiffin main pack karna baki hai...
She packs neil's lunch and was about to leave but dd enters...
Prakash:dd tu yaha....
Dd:voh...neil sir
Shweta:arey...main neil ka lunch bas lekar hi aane vali thi..
Bebe sees that dd expression were worried one
Bebe:dd..tu pareshaan kyun lag raha hai...sab theek hai na..neil theek hai na..
Hearing neil's name shweta gets panic
Shweta:neil...neil theek hai na dd..
Dd:neil sir theek hai lekin
Prakash:lekin kya
Dd:mujhe aap logo se kuch baat karni thi neil sir ke baare main
Bebe:neil ke baare main...
Dd:haa voh aaj phir se neil sir ko chakkar aaya tha police station main
All gets worried listening this...
Shweta:kya...ab neil kaisa hai...voh theek hai na aur tu yaha akela hi kyun aa gaya...neil ko bhi lekar aana chahiye tha na...maine kaha tha use ki breakfast karke jaye lekin use meri baat sunni hi nahi hai..
Like this only shweta was chattering on and on without giving dd a chance to speak..
Bebe:tu chup rahegi thodi der...use bolne to de...(to dd) ha bol dd...ab neil kaisa hai..
Dd:bebe neil sir theek hai ...maine unse kaha tha ki voh ghar jaake rest kare lekin unhone mana kar diya...
Bebe:aur kya baat karni thi tujhe neil ke baare main
Dd:voh bebe....voh main
He was not able to form words....
Prakash:dekh dd..joh bhi hai saaf saaf bol..
Dd takes a long deep breath and continues.
Dd:aapko nahi lagta hume neil sir ko joh ek saal pehle hua voh bata dena chahiye...
Shweta interupts him
Shweta:dekho dd...main pehle hi keh chuki hu ki neil ko batane ki koi zarurat nahi hai...
Now bebe cuts shweta
Bebe:arey use pehle puri baat bol toh lene de...pehle hi shuru ho jati hai...
Dd:bebe mera matlab hai ki neil sir ko janane ka haq hai ki ek saal pehle unke saath kya hua..unhe pata hona chahiye ki voh apni yaadash kho chuke hai...
Shweta:dd...main teri baat samajh rahi hu lekin use batane ki zarurat kya hai...use hum sab log toh yaad hai na...use apni family yaad hai yaha tak ki use tu bhi yaad hai..toh phir use batane se kya faayda...jaise pehle uski life chal rahi thi vaisi hi toh ab bhi chal rahi hai...
Dd:mataji aap sahi keh rahi hai lekin phir bhi unko yeh pata toh hona chahiye na ki voh apne zindagi ke kuch pal bhul chuke hai...
Bebe:dd sahi keh raha hai shweta...kya pata voh kuch aisa piche chod aaya ho jo hume pata na ho...uss haadse ke baad neil ne hume toh pehchan liya lekin kya pata voh kisiko bhul gaya ho...koi aisa insaan jo hume bhi na pata ho...
Shweta:lekin bebe..neil delhi sirf 4-5 din ke liye gaya tha...aur aapko pata hai na ki doctor ne kaha tha ki use vakt ke saath sab kuch yaad aata jayega...agar voh kisi ko bhula bhi hota toh ab tak toh use yaad aa jana chahiye tha..lekin aisa kuch nahi hua..mujhe nahi lagta ki hume neil ko kuch bhi batana chahiye...vaise bhi doctor ne kaha tha ki hume uske dimaag par zor nahi dena chahiye..
Bebe:shweta voh doctor ne ek saal pehle kaha tha jab neil ki haalat nazuk thi..ab uss baat ko 1 saal ho gaye hai ...
Shweta:vahi toh main keh rahi hu bebe ki uss haadse ko bhi ek saal ho gaya hai...vapas kyun hum uske baare main baat kar rahe hai...vaise bhi ab mera tillu theek hai...usko lekar main koi bhi risk nahi le sakti..ab tak jaisa chalta aa raha tha vaise hi chalega...koi kuch nahi batayega neil ko...
Saying this she leaves....
Bebe:yeh kabhi nahi sudhregi...
Prakash:bebe...main shweta se baat karta hu
Bebe:kuch faayda nahi hai sunny(prakash)....jab neil ki baat aati hai toh voh kisi ki bhi nahi sunti...
Dd:bebe...main ab chalta hu
Bebe:oyy ruk...yeh lunch leke jaa neil ke liye...aur tu bhi kha lena..
Dd:ji bebe...
He leaves from there taking lunch box...
At police station
Dd enters in neil's cabin with lunch box....
Dd:sir ji..aapke liye mataji ne lunch bheja hai....
Neil:hmm...accha hua mom ne khaana bhej diya...bahot bhuk lagi thi..chal aaja ...lunch karte hai...
They do their lunch
After sometime
They are in commissioner's cabin for a meeting....Commissioner:so neil...tumhe toh pata hi hai ki college ke students ki life danger main hai...kuch log college main drugs supply kar rahe hai...
Neil:yes sir....hume jaldi hi kuch karna hoga
Commissioner:toh neil iske liye tumhe college main as a proffesor jaana hoga...jaise tum delhi gaye the disguise look main theek vaise hi...
Neil gets confused hearing about delhi..
Neil:sir...main delhi kab gaya tha...
Commissioner realise what he said as he too knows the truth...he looks at dd who is standing their worriedly..
Commissioner:voh..i mean ki jaise kuch dusre officers gaye the as a disguise in delhi theek vaise hi...
Neil:ok sir...hum kal hi college main as a proffessor entry karenge..
Commissioner and dd release sigh of relief...
Commissioner:toh neil tumhare saath aur 3 officers jayenge....
3 officers enters...2 are man and one is lady
Commissioner:so neil yeh hai officer anil...yeh hai officer varun aur yeh hai officer nidhi...
All three officer salutes neil
"Jai hind sir"
Neil:jai hind..
Commissioner:all the best neil...mujhe tumpar pura bharosa hai ki tum yeh case bhi baaki ki cases ki tarah solve kar doge..
Commissoner leaves...
Precap:Avneil meet
Here is next chappy...so share ur views and vote and comment..
Love Mamta
YOU ARE READING
Avneil ff: Fanaah(completed)
Fanfictionhello guys...so basically this is my third avneil ff....just peep in it...i m sure u would love it...this story is little similar to movie fanaah....but there will be change in my story....also it will be mature..