Rakshak

212 16 208
                                    

In the evening party…..

Nilu: Anondo Di, Aap yeh wali saree peheno naa… dekho kitni khubsurat lagegi aap pe yeh.

Anondo: (smiled at her) Achha pagli kitni baar samjhaya tujhe, ByomDa ki layi Sari kisiko mat diya kar. Dukh hota hai unhe. Kitne pyar se laate hai tere liye. Aur theek toh hai yeh saree. Mujhe kon dekhne aayega… Aaj tujhe aur tere raajputur ko dekhenge sab…. Mere Prithu Baba ko… Tu jaldi se taiyaar ho ja… main bas Prithu ko dekhke aati hu woh kabse mujhe koi naya gift dikhane ke liye bula raha hai.

Anondo left to search for Prithu and found him in Tupak’s room quiet drowsy and cranky…

Anondo: Prithu Shona kya huya….

Prithu : (turned from Tupak’s arms who was trying to pacify him) Mai Pithu ko yeh kapda nahi pehenna...

Anondo: (smiled but hid it) Kyu Kaku mitti mein khelne nahi de rahe Bhutoo ke saath isliye?

Prithu: (nodded his head while his eyes teared up and lower lip jutted out) Mela bday hai na Mai …. Bhutoo aur mujhe khelna hai… Kaku nahi de rahe hai…

Anondo: oho Kaku ne mana kiya? Ek kaam karte hai hum gufa mein khelte hai… aur Mai tumhe kahani sunaegi…

Anondo got a bedsheet and covered them all and Prithu wanted Kaku too…

Anondo was a bit awkward but then she took Prithu in her lap and started to tell a story…

Anondo: Aur fir woh ladki soch rahi thi ab toh yeh daanav mujhe kha jayega… ab main kya karu?

Prithu immediately covered his mouth with two hands...and squeezed his eyes in fear..

Phir woh ladki khidki se bahar window sill pe kud gayi aur thand mein thithurti hui wahi baithi rahi...thodi der mein ek admi aise apne muh ko kapde se dhake huye usi khidki se bahar jhak raha tha, uss ne kaha ke usne daanav ko maar diya aur ab woh ladki surakshit hai… aur usne us ladki taraf haath badhaya…. Pehle woh ladki dar gayi par phir usne apna haath uss Rakshak ko dediya…. Uss Rakshak ne use upar khincha aur ajeeb se swar mein kaha… “ Darna mat, kisise kabhi mat darna, main hu na tumhare saath. Kuchh nahi hoga tumhe”

Tupak: Aur phir… Kya uss ladki ne uss Rakshak ki baat maan li?

Anondo: Haa, Usne aise kaha ki woh manne pe majboor ho gayi…

Tupak: Stupid… aise koi bhi chor uchakke ki baat manta hai bhala… Kya jane kya churane ayaa tha woh.

Anondo: Har koi jo aapki “Elite” society ka hissa na ho woh chor uchkka hi ho zaruri nahi. Aur kabhi choro mein bhi padhe likhe achhe ghar ke logo se zyada principles hote hai… 

Tupak: Oh so now you are fighting with me for a chor…. waah kya baat hai… woh bhi ek kahani ka manghadant chor…

Anondo: Har kahani sirf kahani nahi hoti, uski ghatnaye, uske patr kabhi kabhi asal zindagi se talluk rakhte hai… 

Par yeh sab main tumhe kyu bata rahi hu Tupak… tum jo sochna chahte ho socho… par uss ladki ke liye uska Rakshak usski zindagi ka sabse bada masiha hai… aur bewakoof hi sahi par yeh uski zindagi ki sabse badi sachchai bhi hai. Woh jo koi bhi ho… uss pal mein woh uss ladki ke liye bhagwan ka doot banke ayaa …

Tupak: aur phir uss ladki ko apne masiha se pyar hogaya ….haina? What a crap Tuktuki?

Anondo: haa shayad pyar hi hogaya… and dont call me that… Main ab tumhari tuktuki nahi rahi.

Tupak: toh kiski Tuktuki ho, uss ladki ki tarah kisi chor ki?

Anondo: Shayad…..

🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀🥀

Imagine getting rewarded for something i have just started... thats how sweet you all are... i got a gift for this story already... but i will only showcase it once i have completed the story😘😘😘😘

I will be eagerly waiting for your reviews and votes. Some of you wanted to share my stories on Insta and twitter or facebook please go ahead... i am much humbled by all of your gestures... 🙏🙏🐛🐛🌹🌺🌷🌷

TashergharWhere stories live. Discover now