Gayatri Devi was walking back and fro
In the main Hall she was tensed and thinking about the sinking future of her family.*Kisey pata kaun khota sikka hai, dusri baar bhi banjh.. Baat kuch hazam nahi hui*
*Jab beej boya babool ka to meethe fal ki asha nahi karni chahiye*
*Gayatri ab ye khush khabri apke Mahal se kab sun ne ko milegi*
*bechare Abhimanyu, lagta hai unki kismat me pita ban ne ka sukh hi nahi*
*Ratna mahal ki ek dasi bata rahi thi ki kunwar Or unki patni alag alag kamre me rehte hai... Wo to ek dusre se baat tak nahi karte hai. *
*Bade mahal vale Or unki bade raaz, kaun jaan saka hai aj tak... Na jane apni kamiya chipane ke liye kya kya parpanch rachte hai ye log*
*Sunaina usey abhi shayad ehsaas nahi hai magar jis din usey uske pankh mil jayenge na wo iss sone ki kaid ko tod kar udd jayegi or sath hi sath mitti mein mil jayega Chauhan khandan ka naam*
"Maa sa apne bulaya" Asked Rajveer.
She looks at him and changes her expressions "Han... Hum ghuma fira ke baat nahi karenge...sidha mudde pe ayenge" She takes a breath "apke aur Naina kr bich kya chal raha?"
He stared at her and replies without any hesitation "hum ek dusre ko chahte hai"
She was amazed by his confidence "ye jante huye bhi apne nazarandaz kar diya ki wo apke bade bhai Abhimayu ki patni hai".
"Haa....bilkul usi tarah jis tarah apne naina ki shadi abhimanyu se karte huye nazar andaz kiya ki abhimanyu ek khush haal shadi shuda zindagi jeene layak nahi hai" He said with piercing gaze.
"Jo bhi ho..humne jo kiya wo apne parivaar ki bhalayi ke liye kiya..lekin aap jo kar rahe hai wo na hi samaj ki nazro me sahi hai or nahi hamare parivaar ke liye".
" jo mein kar raha hu uss me hum dono ki khushi hai...hume samaj ki parvah nahi"
"Aur iss khandan ki? Iss privaar ki jisne apko bacpan se lekar aj tak chaaya di? Jisne apko anath hone se bachaya? Hum to apke liye paraye sahi lekin Apke babasa? Wo to apke apne hai na unka kya kasoor jo ap unki barso ki kamai izzat ko mitti me milana chahte hai..." She said with fake crying. "Hum shayad apko maa ka pyaar dene me asafal rahe ho lekin apke baba sa ne to koi kami nahi rakhi unka khayal to kijiye... Hamari mamta me kami reh gayi shayad, agar apko humne apni kokh se janam diya hota to shayad..." She lowers her head.
He caught her from shoulders "nahi maasa aisa kuch nahi hai, aap ek bahot achi maa hai, mere kuch bhi kehne ya mangne se pehle apne wo har chiz mujhe di hai jo meine chahi..aap apni mamta ko mat kosiye" He was getting emotional seeing his mother figure getting devastated. "Lekin maasa, mein Naina se bahot pyaar karta hu mein uss se alag.." His words left incompleted.
"Abhi apne kaha na ki humne apki har khwahish apke bina kahe puri ki hai to fir apne ye kaise soch liya ki hum apki ye khwahish adhuri rehne denge". He looks at her surprised.
" Aise mat dekhiye, humne dekha hai ki aap naina se kitni mohhobat karte hai, or hum apne bete ka dill unhe unke pyaar se dur karke kaise tod sakte hai.... Apko Naina pasand hai to Naina apki, hum khud aap dono ko yaha se izzat ke sath vida denge... Vachan hai hamara" She says cupping his face affectionately.
"Sach maasa" He got emotional,to which she nodded "lekin Abhimanyu".
"Unki chinta aap mat kariye, wo samjh jayenge, jo hum kar rahe hai wo unhi ke bhale ke liye hai... Jaise wo hamari bayi ankh hai to aap hamari dayi ankh hai...hum apko yun tadapte huye kaise dekh sakte hai"