11. yaadon ki dagar par💘

45 9 11
                                    

Bismillah 💕

Wo aaj se 13 saal pehle pahuch chuka tha ...

Jab frock pehenkar do choti bandhe benafsha puchtii ...phone par

" papa aap kab humare saath rahoge.. Aap kabhi bhi ptm par nahii aate.."

Udhar shehzaad haste "bete jaldi main aaunga.. Ab mera koi beta toh hai nhi toh beta papa ko thodi mehnat karni padegiii"

Yeh sunn wo rote hue jazib ke paas aatii..

" jazib bhai ...papa kehte hai main beta nahii huu isliye wo durr hai.."

Ispar chota sa jazib jo abhi cricket khelkar betha tha ..usne nanhi pari ka haath thama " ro nahii benafsha ..aao tumhara pasandeeda gola khaye...'

Toh wo khush hojaatiii...

Yeh bhi har baar ki tarah khush hogayii ..wo bhi har baar kii tarah muskuradiyaaa...

Yaha faiza bahut pareshan thi kyukii shehzaad ke phone aane ab kam hogaye the ..balki naa ki barabar ... Jab phone aata toh wo inse baat hii nahii karte kehdete kaam hai...

Aise hii kuch maah bite the ....

Ek subah wo murshid sahab ke saamne bethe the ... Jab red frock me benafsha jazib ka haath pakad kar andar aayii toh murshid sahab unn par garaj rahe the...

"Tu aisa kesa karsakta hai tu london kaam karne ..waha shadi kaise karsakta hai? "

Faiza zarokataar ro rahii thi.... Nimra bhi...
Nabiya parde ke peeche kade hokar chacha ko dekhrahi thi...

"Bhaisahab emily(patni) se shaadi main paanch saal pehle hii karchuka hu... Aur main bahut khush hu.. Ab yaha main faiza ko ek taraf karne aaya hu ..yeh chahe toh apni beti ko le jaasakti hai... Main isi waqt talaak desakta hu..."

Jazib ne benafsha ko dekha jo rone lagii thi wahii faiza nahii nahii karti rahii itni derr mein murshid sahab ne shehzaad ke ek thappad maardiyaa..

"Abba amma bachpan mein chale gaye the ..bhai nahii beta samjhkar paala hai.. Tujhe ... Aur baap ke haqq se kehraha hu saare rishte khatam tujhse ..wapis palat jaa.. Ab jeete jii nahii dekhuga... Tujhe... Rahii baat faiza ki allah ne behen nahii dii yeh ab se meri behen hai bawaj nahi ..iska hai yeh ghar tera nahii... Aur benafsha ki fikr tu naa kar yeh meri beti hai ...tu nikal foran aur palatyo nahiii....saare naate khatam tujhse...issi waqt chal  ...."...

Wo to aankho mein dekhraha the... Coat jharkar khade hue bole araam se "thik hai bhaisahab jaisa aap chahe..."

Yeh dekh faiza ne haath thaam liyaa "nahiii shehzaaad aise naaa jao...humari betii ko to dekhlo...main marr jaungii aapke bina...shehzaad...hume bhuliyega nahii ... Shehzaad main humesha aapki biwi rahugiii.. Shehzaadd..."

Unhone unke haath jhatke aur wo nikalte chale gayee.. Wo muh ke bal zameen par gire... Aur wo nikalte chale gayee...

Nimra ne peeche se jaakar uthaya mushrid aage badh sir par haath rakhaa..

Waha jazib jo yeh sab dekhraha tha ro raha tha.. Usne benafsha ko dekha jo chup thii mehez saath saal kii..

Khamoshi se apne kamre mein chali gayii wo peeche dauraa..

Khamosh bethii rahii " benafsha bolo kuch..."

"Main agar ladka hota toh papa bahar na jaate ..ammi naa girgirati .. Main agar ladka hotaa.."

Wo dang tha ..samjh hii nahii raha tha ki wo keh kya reh rahii hai..

"Aap bhi ladke ho isliye bade abbu dusre desh nahi gaye ...jazib bhai mujhe bhi ladka banna hai.."

Tehra "kaise?"

"Aapki tarah kapde pehnne hai aapki tarah baal banane hai...jo aap kahege main karugii.. I promise.."

Khush hua.. " phir chachii chup hojaegiii..."

"Haa.."

"Toh chal..."

Use nikalkar apne kapde diye aur saath wale nayii se apni tarah baal katwakar le kar aaya..

Jab ghar pahuche toh faiza ko nimra chuparahii thi.. Wahii mushrid sahab aaye "jazib yeh kya kiya?"

Tab haatho ke ghere mein lekar boli "nahii bade abbu .. Ise naa maare ..main ab ladka huu.. Kyuki agar main ladka hota toh mere abbu kabhi bahar nahii jaate ...naa hii ammi yu girgiraati..."

Iss par wo uss choti si bachhi ko hairaan dekhrahe the ...

Wahii nimra sir tham beth gayii aur faiza apni ko aankho m aansu liye dekhrahii thii jiska sabse bada nuksaan hua tha..

Bade abbu ne aage badkar godh mein uthaliyaa "nahi hum kyu maarege aapko aap toh humare bete ho..."

Dilo dimaag par jo chot lagii thi wo iss jumle ne gehrii kardii...

Aurr uss dinn se yeh usool hogaya jo badeabbu chahe benafsha wahii kartii chahe kuch hojae... Dono ek dusre ki jaan hogaye..

. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . 

Jazib ne aankh kholi toh wo sorahi thi

Bola " main kitna khudsir hogaya tha ..main tum mein apni biwi ko dhundhta raha.. Gussa karta raha ..tum toh meri benny ho sabse juda.. Bachpan se saare sabak maine padhayee..

Ab purii koshish karuga tumhe mohabbat ka sabak padhane ke liyee ...

Phir tumhe samjh aaega main tumhe har kirdaar se hatakar ..humsafar ke kirdaar mein dekhna chahta hu..

Yeh sochkar saath letkar haath thaam liyaa..

Par use kya pta tha agli subah kyaa naya rang lekar aarahii hai ..jaha duri hogii .. Jo judaai ka pegaam apne sang laarahi hai...

Thats it...

Howazzat..

Howz benny back story..


What about new updates...

Your favourite pal

Your favorite dialogue


Sorrrrrry for late ...

With love
Iqraf💕








Dushman-E-Jaaan💓Where stories live. Discover now