Bismillah ❣️
Waqt guzar raha tha... Mushrid sahab ki tension thi ki nabiya aur benafsha ke ek jaise faraeez the..
Ek betii khush abaad thi... Thode waswase yeh bhi the log unhe kamzarf na samjhe jo pehle khud ki beti ko tarjii dii...
Toh nimra faiza ke mashhore se iss mahine ki ek tareek rakh dii gyii thi..
Chuki baraat walima dono inhii ko nimtaane the.. Toh barat saada si ghr mein hii aur walime ki dawat hotel mein rakhii gayiii niptaane the toh barat saada si phir agle din shandaad hotel mein walima tha..
Faiza toh khushi mein jhoom rahi thii jabki nimra bhi mutmaiin thii..
Yeh khushi ki saugaat unn dono ko pahuchaani thi jo ahem kirdaar the..
Dono ko bethaya, faiza khamoshi se dua karrahi thii...
Nimra boli "suno... Iss mahine ki 15 tareekh ko tum dono ki shaadi hai"
Iss baat par jazib ka halak jii bharke karwa hua tha par wo khamosh tha.. Chuki aaj uski subah hii faiza ki chehakti hui awaaz se hui thi jab wo nimra ke saath shadi kii planning karrahi thi..
Wo toh ghar chorne ki planning karchuka tha.. Par iss waqt wo faiza ko dekh sochrha tha kyaa chachi ke naseeb mein saare gham likhdiye.. Tune khuda.. Inhe bhii toh khush hone ka haqq hai aur wo iss pal behaadd khush nazar aaarahi thi.. Unkii aankho mein khushi ke aansu the.. Jaha humesha gham dekhne ka aadhii tha...
Wahii benny boli "shaaadiii!!!! Kisse?"
Nimra boli "ek dusre se aur kisse?"
Wo iss par tezz hasii " badiammi.. Mazaak achha hai.."
Nimra ne dapta "beta.. Main sach kehrahi huu..."...
Wo kuch derrr khamoshii se bethi rahii phir boli " badiammi yeh nahii hosakta.."
Jazib khamosh tha.. Wo boli "kyu?"
"aapko pta haina yeh toh mera bhai hai aur waise bhi mujhe shaadi hi nahii karnii..".
Aankhein dikhaayii "shaadi se pehle saare ladke bhaii hii hote hai..aur shaadi toh karni hii padegii tere badeabbu ki sabse badi khwaish hai tum dono kii shaadii.. Ab bata karegi yaa nahii?"
Sadme mein thi " badeabbu ki khwaish..."
Faiza khamosh thii..
Jazib jo khamosh tha uska haath thaam boli" hum dono ko akele mein baat karne dijiye.. "
Dono maaye iss baat par tension mein bhi hasne lagii...
Wahii jazib ne saath jaakar haath jhatka..
" ohh.. Sorry.. Dekh baat maanlete hai.. Ghar hii ghar ki baat hai.. Rahii baat bade abbu ki toh wo hume kahii thi phasa sakte hai.. Shukr hai dono bhaiyoo ko ek jagah phasayaa please.. Maanja bhai.. Bhai nahi hai bhai ka..."
Isspar ghur kar dekhraha tha.." meri do sharte hai.. "
Aankhein phelaayii" kyaa?? "
Araam se bola" tum ab mujhe bhai nahii 'bolegii'... "
Aankhein phaadi" bolegii nahii... Bolega.. "
Toka" wahii dusri shart hai ab sab tumse ladkiyo ki tarah baat kara karege... "
Gusse mein aagayii" aisa nahii hoga.. "
Muskurayaa" good.. Wo bethii ammi mana kardo.. Kyuki shadi mein inn do sharte ke bagair nahii karugaa... "
Palat gayaa gusse se ghurtii rahii phir boli" thik hai.. Par main nhii sunugaa.. Sunugii nahii... Samjha.. "
Ankhein bheech bahar nikal gaya...
ESTÁS LEYENDO
Dushman-E-Jaaan💓
Romance"meri zindagi tumse... Tum tak!!!" Maine pucha "aurat ki mohabbat kaisi hai?.." jawaab aaya "mere rabb ke jalal ke baad agar kisi cheez mein itni takhat hai jo duniya badal de wo aurat ki mohabbat hai.. Jo kisi shaks ko arsh par beita de.. Aur uski...