Jigri Yaari

115 7 0
                                    

Jungkook Or Jimin dono saath mai hi pal kar bade hue. Or is ki wajah ye thi k unke parents bade gehre dost the. Dono k dads ka aisa yaarana tha k ek jaan do qulb wali baat un dono par ek dum fit baithti thi. Dono ki dosti itni pakki thi k school se le kar college , Job se le kar shaadi tak saath hi ki..... Ghabraye nhi alag alag ladkiyo se or wo bhi ek saath ek hi din or ek hi jagah par ki.....

Itni gehri dostiyon se kabhi kabhi biwiyo ko aitaraaz hota hai par inki biwiyo ne kabhi koi objection nhi uthaya balke wo khud hi ek dusre ki close friends ban gayi.

Isi tarah se inki zindagi hasi khushi guzar rahi thi. Phir
Baat yaha tak bhi nhi ruki. Jungkook k dad ne to ek saath rehne ka idea suggest kar diye.... Buhat soch samajhne k baad dono dost ne apni wives ki marzi jani or ek buhat hi khubsurat se bangle ko pasand kiya ... Dono k pass ki savings bangla kharidne k kaam aa gayi phir kya tha jald se jald kharid liya or waha rehne lag gaye..

Kuch waqt baad Jimin k papa ne socha k ab business karna chahiye job kab tak karege aage future k liye yahi sahi option hai......
unke papa ki kuch zameen thi gaon mai usko girvi rakhne ka faisla kiya or apne dost se raye mashwara kiya k kya karna chahiye to unhone bhi green signal de diya.

Ab un mai se koi ek kaam kare wo bhi alag ye baat kise pasand ...
Jimin k papa ne partnership ki offer kar di... Par Mr Jeon k pass itni raqam moojud nhi thi. Mr Park ne apni taraf se pure paise business mai laga diye or Mr Jeon k samne partnership k papers rakh diye.....

Mr Jeon hakka bakka ho kar unhe dekhne lag gaye
"Kya hua bhai aise kyu dekh rahe ho" Mr Park ne haste hue kaha....
"Bhai Ji-hyun tum jante ho k maine ek rupiya is mai nhi lagaya or phir bhi tum mujhe partner banana chahte ho agar mai paisa nhi chuka paya to kya hoga"
Inki baat par Mr Park ne unke shoulder par haath rakh kar muskurate hue kaha " Tum kyu itni fikar kar rahe ho agar nhi chuka sake to koi baat nhi par maine aaj tak tum se alag ho kar koi kaam nhi kiya or na kabhi karuga bale hi is business mai pura paisa maine lagaya hai par ye business mera nhi humara hai jo hoga dekha jayega bus tum hami bhar lo "
Ye khete hue unhone pyar se Mr Jeon k shoulder ko tapka.

Mr Jeon ki aakhon se aansu jaari ho gaye... Unhe humesha se ye kami khatakti thi k unke maa baap nhi hai bachpan mai hi unki maut ek car accident mai hui thi un logo k jaane k baad Daniel buhat akele ho gaye ..... dekh rekh k liye chacha or unki family thi par chachi ko wo pasand nhi the par phir bhi chacha ki wajah se zyada keh nhi pati thi.....

Par kisi k sirf kehne se hi nafrat zaahir nhi hoti ye to ek jazba hai, kabhi zuba se to kabhi aankhon se zaahir ho jata hai.....
Wo jante the k chacha ki family unhe pasand nhi karti par wo chote the kar bhi kya sakte the.....
Apna dil masoos kar reh jaate... Chacha , chachi se alag the unhe apni bhai ki aulad se pyaar tha unhe jab bhi mauka milta apne bhatije k pass rukh kar baat karte unki saari routine ko sunte ache suggestions dete padhai ki takid karte Or bhi buhat kuch.......

Or aisa bhi nhi tha k Daniel puri tarah boj ban kar chacha k ghar par the kyuk unke papaji ne unke liye property rakhi hui thi jo unke kaam aayi....jiski dekh bhal ka zimma unke chacha ji k hath mai tha usi se unki parwarish , padhai likhayi or shaadi hui hai...
Par apne na hone ka dard wo nhi bhule the.. Isliye jab bachpan mai lunch time k waqt ek bache ne dekha k Daniel humesha akela waqt guzarte hai us bache ne us din se unhe kabhi akela nhi choda...

Wo or koi nhi Mr Park yane Ji-hyun hi the unhone itni jaldi unse dosti kar li jaise k kabhi wo alag the hi nhi. Or Daniel wo to the hi akele pan se ghabraye hue jaha unhe wo izzat wo pyaar mila jiski unhe talash thi, waha uhone is dosti ko haathon se jaane nhi diya... Wahi se shuru hui unki atoot dosti...

Yahi wajah thi k wo emotional ho gaye.... Mr Park ne unhe gale laga liya or chup karwane lage...
Door se unki biwiyaan bhi is scene ko aankhon mai aansu le kar dekh rahi thi or dil hi dil mai is dosti k qayam rehne ki duwaye bhi kar rahi thi...

Aakhir mai ek dusre se alag hote waqt Mr Park ne nak chadhate hue kaha
"Kya yaar ye kya kiya tumne meri achi khaasi shirt kharab kar di ro ro kar " Is par sab has diye par Mr Jeon ne Mr Park ko mukka de mara.....
"Ruk or karta hu " Ye keh kar wo un par kud pade Or ghar ka manzar kushti ka akhada lagne laga...

Dono ki wives sar hilate hue kitchen mai chali gyi... Kyuk unhe pata tha ye scene roz dekhne milta hai.

Thodi der tak ek dusre se gutham gutta ho kar jab dono thak gaye to hafte hue ek dusre se alag hue Or ek dusre ko dekh kar has pade....

Ye tha chota sa introduction or ab dekhte hai aage kya hota hai........





Friends To Lovers { 𝙅𝙞𝙠𝙤𝙤𝙠 𝙃𝙞𝙣𝙙𝙞 }जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें