truth behind "DEATH STORY"

102 13 10
                                    

Toh yaha khatam hota hain "DEATH STORY".

kaisi lagi apko yeh kahani?

Yeh Meri pehli kahani Hain. Apke reviews Meri kafi sahayata karege. Toh kripya comments mein apne reviews chor kar jaye. Aap mujhe personal or public message bhi kar sakte hain :)

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab jante Hain humare characters ke bare:-

1. PATU- patu mere papa ke chachere bhai ki beti thi. Aur sirf 5 sal ki umar mein uski maut ho gai thi. Patu ka asli nam kuch aur Hain. Patu hm sb Pyaar se bulaya karte the XO

2. BABLU- Bablu chacha mere papa ke dusre chachere bhai hain. Aur unka asli nam bhi Bablu hi hain. Per mein surgery hone ke Karan woh acche se chal nahi pate hain. Unki shadi nhi hui hain abhi tak. Sonam ek fictional character hain.

3.SHYAM- shyam chacha ek real character hain. Unka nam bas badal diya gaya hain. Unki patni ki kuch salo pehle cancer se maut ho gai thi. ;(

4.DADI- dadi bhi ek real character hain. Mujhe yad hain, ek bar main gaon mein thi toh ek budhi aurat mere pas aa kar mujhe boli thi ki tumari dadi dayan hain. Aur mein ye sunkar boht hasi thi. Par ye mere kam aya aaj kahani ko aur accha banane mein. Thanks to that old lady.

5.PATU ki MA- gaon mein ye bola jata hai ki ek dayan banne ke liye apne pati ya bacche ki bali deni padhti hain. Bas yahi soch kar mene is kahani mein patu ki ma ko dayan bnaya hain. In real life, wo ek kafi acchi ma hain. Unki aur ek beti aur ek beta hain. Aur unse meri bat hote rehti hain. So don't hate her❤️.

Other facts:-

Kuch scenes like jab mein jenki mein thi aur ek call aya. Wo real life mein bhi hua tha. Aur wo mujhe abhi tak yad hain kese didi ne fir mujhe patu ke guzar jane ki khabar di thi.
Ye scene last part mein bhi add hain. Kyu add hain ye janne ke lie

[ DEATH STORY 2: jenki ] dekhe.


Maine yeh sare facts ko connect kar ke ye story create kiya hai. Ye kahani Dec 10 mein publish hui hain but mere dimag mein ye kai salo pehle publish ho gai thi. Aur aaj maine isi akhirkar likh dala. Mujhe nhi pata tha ki kuch logo ko meri kahani acchi lagegi isliye maine bas 1 part likha tha aur bad mein publish kia tha. Bad mein jab kuch logo ko acchi lagne lagi meri kahani to mujhe aage likhne ka motivation mila & fir mene 2 din mein puri kahani likh di.

Seeing votes and views in each chapter motivate me a lot. If you're reading this, please consider voting "DEATH STORY".
And do read "DEATH STORY 2: Jenki".

Credits-
-Thanks to my friends and family for motivating & supporting me.
-thanks to my mysterious family for giving me ideas to write.
- and thanks to all my readers for reading "DEATH STORY: SEASON 1". I love you all.

~~ ❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️~~

DEATH STORY✔️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें