Antim sanskar mein kai sare log samil the.
Ek lash ko khatiya mein rakha gya tha. Aur us lash ke samne ek aurat beth kar apni beti ki maut ke liye ro rhi thi. Sare log use dekh rahe the. Sabke man mein ek hi sawal tha ki akhirkar yeh hua kese.Lekin is bhidh mein, 24 umra ke Bablu ko kuch ehsas hua. Aur wo piche mudh kar apne ghar ki taraf jane laga. Per mein Sujan hone ke karan Bablu dodhane ke halat mein nhi tha. Per ghaseette huye wo Ja hi rha tha ki uske kandhe mein kisine thap thapaya aur kaha,
"kaha ja rahe ho Bablu?".Bablu ki sanse tham si gai jese ki uski moth uske samne ho. Piche mudh kar dekha toh shyam bhaiya the, Bablu ke chachere bhai. Ye dekh Bablu ki sans mein sans aai. Aur usne kaha,
"kahi nahi bhaiya, bas ghar ja ke aaram karne ke bare soch raha tha".Shyam bhaiya thore uljhan mein the. Kyuki Bablu unhe kafi dara hua dikh raha tha. "Mein samjh raha hu tumhe patu se kafi lgaav tha lekin tumhe aapne aapko samjhana hoga ki patu ab is duniya mein nhi hai".
Bablu ko lgaav toh tha patu se lekin uske darne ka karan kuch aur tha. Bablu ne sar hilate huye kaha,"han bhaiya mein samjh raha hu", aur ghar ki aur chal para.
Mein apne mama ghar jenki mein thi.
Jab ek call aya. Meri didi ne call uthaya aur woh darwaja ke bahar chal gayi. Mujhe pata tha ki ma aur baba ko meri aur meri didi ki kafi chinta lage rehti hai lekin
itne rat ko wo kya bolne ke liye call kar sakte the?~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
By clicking the star icon below, you can vote in this chapter. So please do vote!
आप पढ़ रहे हैं
DEATH STORY✔️
Mystery / Thriller[ FEATURED ON WATTPAD @AmbassadorsIN ] Kabhi socha hai bhoot preth mein itne sare logo ko vishwas kyu hai? Adhe log jo bhoot preth mein vishwas karte hai unhone bachpan mein kahaniya suni hai bhooto ke dayano ke isliye unhe in sab chizo mein vishwas...