Ma ne ek din mujhe kaha,"dadi se ek din milne chal jao. Bahut yad karti hai wo tumhe. Aur unki umra bhi ho gai hai. Accha hoga agar hum sab unka khyal rakhe". Mein bhi dadi se kafi dino se mili nhi thi isliye dusre din mein unse milne chal gayi.
"Aa gai meri poti"
Dadi ne muskurate huye mujhe andar bulaya. Maine unhe kuch fal diye jo mein unke liye lai thi. Unhone kuch fal khaye. Aur Thodi der bad unki akhan lag gayi. Aur kyuki mere pas aur kuch karne ke liye nahi tha. Mein unka kamra dekhne lagi. Kuch samay bad, Mujhe ek baksa dikha jo kafi purana tha. Maine use khol ke dekha. Aur mujhe kuch aisa dikha jo maine umeed nahi kia tha. {INSAN KE HADDI}. Mein bahut jyada dar gai thi. Maine turant apna saman liya aur jaise hi piche mudhi....
Dadi mere samne khadi thi. Muskura kar wo kehti hai,
"kuch dhoond rahi ho?".Mere pas dadi ke sawal ka jawab nhi tha. Mujhe waha se jaldi se jaldi nikalna tha.
Maine bola,"baba call kiye the, unhe mujhse kuch kam hai, mein bad mein aati hu dadi".Aur mein waha se nikal gayi. Ghar aa ke pata chala ki shyam chacha ki patni(chachi) ki maut ho chuki thi. Ab mere pasine chutne lage the kyuki Sayad mujhe pata tha ki kon dayan thi jisne chachi ko mara tha aur sayad patu ko bhi...
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
By clicking the star icon below, you can vote in this chapter. So please do vote!
आप पढ़ रहे हैं
DEATH STORY✔️
Mystery / Thriller[ FEATURED ON WATTPAD @AmbassadorsIN ] Kabhi socha hai bhoot preth mein itne sare logo ko vishwas kyu hai? Adhe log jo bhoot preth mein vishwas karte hai unhone bachpan mein kahaniya suni hai bhooto ke dayano ke isliye unhe in sab chizo mein vishwas...