part3: DAYAAN

173 15 7
                                    


Dayan woh aurat hoti hai jo apne manaav roop se santusth nhi hoti hain. Use aur shakti aur takat ki jarurat mehsus Hoti hai. Yeh shakti use milti hai kale jadu se. Kuch dayan kale jadu mein manavee haddi ka upayog karti thi. Isse unki takat dugni ho jati thi. Aksar dayan apni takat unke upar hi dikhati thi jinko woh pasand nahi karti thi. Aur takat dikhana matlab nazar lagana. Nazar lagane ke bad wo insan kafi dino tak bimar rehta tha. Fir kya ....uss insan ko pandit ji ke pas jana padhta tha. Aur humare pandit ji apni kuch puja karke, us insan ko thik kar diya karte the. Par kuch dayan ka naazar bahut dino ke liye hone ke karan kuch logo ki maut ho jati thi. Aur kon dayan ne, kise nazar lagaya aur kyu lagaya .. yeh batane mein pandit ji asamarth the. Lekin unse badhe pandit jo ki unke dost the, wah kuch dino ke bad aane wale the. Pandit ji ka kehna tha ki woh unse bhi kafi badhe pandit the.

Story continued from part 2 -

Laxmi ki bat sunkar, shyam heran the. Unhe pata tha ki gaon mein kuch dayan the lekin unme se ek unke ghar mein hi hogi yeh unhone nahi socha tha. Wo laxmi ki bat par vishwas nahi karna chahte the par jis tarah Bablu antim sanskar ke samay dare huye dikh rahe the usse shyam ko sonam pe shak hone laga tha.

Aur unka shak asliyat mein badal gaya jab unhone sonam aur Bablu ko rat ke 3 baje dusre hi din, patu ke savghar mein khodata hua dekha.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
By clicking the star icon below, you can vote in this chapter. So please do vote!


DEATH STORY✔️जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें