Us din jenki mein, maine kuch aisa suna jo maine kabhi sapne mein bhi nahi socha tha...
Main bachpan se bahut sare baccho ko padhana chahti thi. Teacher jo banna tha. Mein apne gaon mein sare baccho ko bulaya karti thi lekin koi padhne nahi aata tha. Aur jab main bethe bethe darwaje ke taraf dekhti thi ki koi toh aa jaye. Muskurati hui patu mere pas aa kar bol dia karti thi, "mujhe padhaiye didi". Aur fir main bhi has kar use padhana suru kar diya karti thi. Par ab darwaje ke taraf dekhne se bhi patu nahi aane wali thi...
Story continued from part 1-
Didi darwaje se andar aai aur uske chehre se pata chal raha tha ki kuch bura hua hai. Wo mujhe bulayi aur boli,
"patu ab is duniya mein nahi hai".Mere pas lafaz nhi the apna dukh bayan karne ke lie...
"Avi ma baba ne call kiya tha, kal patu ka antim sanskar hai".Main us din soyi nahi. Kai sare khayal aa rahe the. Ek khayal jo bar bar aa raha tha wo tha,
"kese hua yeh patu ke sath?"-------------
Samke 4 baje , antim sanskar ke bad shyam, patu ki ma(laxmi) ke pas ja rahe the. Unhe pata tha ki laxmi(shyam ki bhabhi) ne abhi tak kuch nahi khaya hoga aur khaye bhi toh kaise.. unki nanhi si jaan ab nahi thi unhe khilane ke liye... Shyam ghar tak pohche hi the ki woh laxmi ko bolte huye sunte hai.
"Yeh sabb Bablu ki patni sonam ne kiya hai. Wahi dayan meri bacchi ko kha gai."
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
By clicking the star icon below, you can vote in this chapter. So please do vote!
आप पढ़ रहे हैं
DEATH STORY✔️
Misterio / Suspenso[ FEATURED ON WATTPAD @AmbassadorsIN ] Kabhi socha hai bhoot preth mein itne sare logo ko vishwas kyu hai? Adhe log jo bhoot preth mein vishwas karte hai unhone bachpan mein kahaniya suni hai bhooto ke dayano ke isliye unhe in sab chizo mein vishwas...