1 mahine pehle -
Bablu ke per ka dard aur badhte ja raha tha. Sonam iske waje se kafi pareshan thi. Use samjh nahi aa rha tha ki woh kare to kare kya... Sonam ko sandeh tha ki ye koi dayan ka kiya ho sakta tha, islie usne pandit ji ko bulaya. Pandit ji ke sath unke mitra(badhe pandit) bhi the. Unhone Bablu ke per ko dhyan se dekha. Aur kaha,"mujhe kuch chizo ki jarurat padhegi, pani, tel aur ek kapda."
Sonam ne ye sare chizo ki vyavastha ki. Pandit ji ne Bablu ke per mein tel lagaya aur kuch mantra padhe. Aur fir kapde se dhak diya. Thori der bad, bablu ka dard kam ho chuka tha. Badhe pandit ne kaha,"sonam tumara shak sahi tha, ye kisi dayan ne kiya hai".
"Kon hai woh dayan ?" Sonam ab gussa mein thi.
"Mein abhi yakin se yeh nahi bata sakta ki kisne ye kiya hoga. Par jisne bhi ye kiya hai woh ghar ka hi koi sadasya hai. Aur jald hi uske aansh ki maut ho jayegi. Woh dayan apne akhiri padhao mein hai. use balidan dene ki awaseyakta padhegi."
2 sapte bad -
Patu ke antim sanskar mein Bablu bhi samil tha. Sab log sokh mein the. Laxmi apni beti ke lash ke samne sar rakh kar ro rahi thi. Aur isi bich Bablu ko ehsas hua ki ....laxmi ke aansh ki maut ho chuki thi.
Usne ghar aa kar sonam ko bataya.Dayan ko rokna bahut jaruri tha. Woh ghar ke kisi aur sadasya ko bhi nishana bana sakti thi.
Islie sonam aur Bablu ne pandit ji ko bulaya. Ab sawal ye tha ki woh dayan(laxmi) ko kese rokte? Dayan apna akhiri padao par kar chuki thi. Lekin badhe pandit ke pas is sawal ka bhi jawab tha. Unhe ek yagh bethana tha jisme unhe bahut sare chizo ki jarurat thi jisme se ek tha, patu ke aashti(manavee haddi). Jise lane ka kam badhe pandit ne Bablu aur sonam ko sopa tha. Baki chize badhe pandit apne gaon se lane wale the isliye unhe kuch dino ka samay chahie tha.Ab bs Kuch hi din baki the, badhe pandit ke wapas aane mein. Lekin sayad dayan ko ye kabar pohch chuki thi ki usko rokne ke liye Bablu aur sonam kuch kar rahe the.
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
By clicking the star icon below, you can vote in this chapter. So please do vote!
आप पढ़ रहे हैं
DEATH STORY✔️
Mystery / Thriller[ FEATURED ON WATTPAD @AmbassadorsIN ] Kabhi socha hai bhoot preth mein itne sare logo ko vishwas kyu hai? Adhe log jo bhoot preth mein vishwas karte hai unhone bachpan mein kahaniya suni hai bhooto ke dayano ke isliye unhe in sab chizo mein vishwas...